Dua Shayari - Page 6 - Hindi Shayari

Khamoshi Mein Jo Sunoge

Khamoshi mein jo sunoge wo Awaaj hamari hogi,
Zindagi bhar sath rahe wo wafa hamari hogi,
Duniya ki har kushi ek din tumhari hogi,
kyunki in sab ke piche ek dua hamari hogi.

khamoshi-mein-jo-sunago-wo-awaaz-hamari-hogi

Sukoon Ho Tumhare Dil Me

Sukoon ho tumhare dil me is tarah.
phulon me hoti he khushbu jis tarah.
Khuda teri zindagi me de itni khushyan,
dharti pe hoti he barish jis tarah.

sukoon-ho-tumhare-dil-me-is-tarah

Agar Itni Hi Nafrat Hai

Agar itni hi nafrat hai humse toh,
Dil se kuch aisi Dua kro,
Ki aaj hi tumhari Dua bhi puri ho jaye,
Aur hamari zindagi bhi…!!

agar-itni-hi-nafrat-hai-humse-toh

Ya Rab Unko Sada

Ya rab unko sada lazawab rakhna,
Main unse door hoon unka khayal rakhna,
Mere jab Bhi hath uthe yahi dua nikli,
Un Ke gird hamesha khushiyon ka jaal rakhna.

ya-rab-unko-sada-lazawab-rakhna

Jeene Ki Jisne Nayi

Jeene ki jisne Nayi Ada Di Hai,
KHUSH Rahne Ki Usne DUA di Hai,
ae KHUDA Use sare jahan ki KHUSHI dena,
Jisne Apne “DIL” me muje jagah di hai

jeene-ki-jisne-nayi-ada-di-hai

Khuda Ki Fursat Me

Khuda ki fursat me ek pal aya hoga,
Jab usne ap jaise pyare insan ko banaya hoga,
Na jane kounsi dua kubool huyi hamari,
Jo usne aapko humse milaya hoga.

khuda-ki-fursat-me-ek-pal-aya-hoga

Tere Pyar Ne Zindaggi Se

Tere Pyar ne zindagi se pehchan karayi hai,
Mujhe wo tufano se phir lauta ke laayi hai,
Bas itni hi dua karte hai khuda se hum,
Bujhe na ye shama kabhi jo humne jalayi hai.

tere-pyar-ne-zindagi-se-pehchan-karayi-hai

Har Inayat Har Khushi

Har inayat har khushi aapki ho,
Mahak uthe wo mehfil jaha hasi aapko ho,
Koi bhi lamha aapka udas na ho,
Khuda kare jannat jaisi zindgi aapki ho..!

har-inayat-har-khushi-aapki-ho

Rooh Ki Pyaas Bujha Di

रुह की प्यास बुझा दी है तेरी क़ुरबत ने
तू कोई झील है, झरना है, घटा है,क्या है?
नाम होटों पे तेरा आए तो राहत सी मिले।
तू तसल्ली है, दिलासा है, दुआ है,क्या है?

Phoolon Ki Wadiyon Mein

Phoolon ki wadiyon mein basera ho aapka,
Taron ke aangan mein khubsurat savera ho aapka,
Dua hai meri ye apne dost ke liye,
saare jahan se bhi pyaara naseeb ho aapka.

phooon-ki-wadiyon-mein-basera-ho-aapka

Duniya Se Mile Gum

Duniya se mile gum bahut hai,
in gamo se aankhe nam bhut hai,
kab ke mar jate in gamo ko pa kar,
par dosto ke duaao mein dum bhut hai.

duniya-se-mile-gum-bahut-hai

Khushbu Mangi Thi Rabb Se

Khushbu mangi thi Rabb se,
Wo hume lajawab phool thama gaye,
Thodi khushi mangi thi dua me,
Wo hume aapse milakar sabse khush nashib bana gaye.

khusbu-mangi-hai-rabb-se

Hamari To Dua Hai

Hamari to dua hai ye koi gila nahi,
Wo Phool jo aaj tak yaha khila nahi,
Khuda kare aapko wo sab kuchh mile,
Jo aaj tak kisi ko kabhi mila nahi.

hamari-to-dua-hai-ye-koi-gila-nahi

Dard Or Gam Se

Dard or gam se aap anjan rahe,
khusiyo se apki pahchan rahe,
Hamare to Dil ki sirf etni Dua hai,
aapke chere par sda Muskan rahe

dard-or-gam-se-aap-anjan-rahe

Yeh Bhi Ek Dua Hai

Yeh bhi ek dua hai khuda se,
Kisi ka dil na dukhe hamari wajah se,
Aye khuda kar de kuchh aisi inaayat hum pe,
Ki khushiyaan hi milein sabko hamaari wajah se.

yeh-bhi-ek-dua-hai-khuda-se

Mere Dil Ne Jab

Mere Dil Ne Jab Bhi Dua Mangi Hai,
Tujhe Manga Hai Teri Wafa Mangi Hai,
Jis Mohabbat Ko Dekh Ke Dunia Ko Rashk Aaye,
Tere Pyar Karne Ki Wo hi bas ek Ada Mangi Hai.

mere-dil-ne-jab-bhi-dua-mangi-hai

Aasman Ki Bulandiyo Par

Aasman ki bulandiyo par naam ho apka,
chand ki darti par mukam ho apka,
Hum to rahte hai choti -si duniya me,
par kuda kare sara jhan ho apka.

aasman-ki-bulandiyo-par-naam-ho-apka

Ruthkar Baith Ne Jana

Ruthkar baith na jana humko manane wale,
Raah khud bhul na jana Raah dikhane wale,
Aapke aangan main barse khushi ke baadal,
Yahi dua karte hai hum ashk bahane wale.

rulkar-baith-na-jana-humko-manane-wale

Meri Chahat Ne Use

Meri Chahat ne Use beinteha Khushi Dedi,
Badle Mein Usne Mujhe kuch yu Khamoshi Dedi,
Khuda Se jo Mangi dua maine Marne Ki,
to Usne Bhi kuch yu Tadapne Ke Liye Zindagi Dedi.

meri-chahat-me-use-beinteha-khushi-dedi

Koi Khwaish Aapki

Koi Khwaish Aapki Adhuri Na Rahe,
Chaho Jise Aap Usse Duri Na Rahe,
Khusiyo K Phool Itne Khile Ajpki Zindgi Me,
Hamari Yaad bhi Aap K Liye Zaruri Na Rahe

koi-khwaish-aapki-adhuri-na-rahe