Apni mohabbat fana kaun karega,
Sabhi nek ban gaye to gunha kaun karega,
allah mere chahane waale ki hifazat karna,
warna meri zindagi ki dua kaun karega.
Dard ki diwar par fariyad likha karte hai,
har raat tanhai ko abad kiya karte hai
E kuda unhe jarur khush rakhna,
jinhe hum din raat yaad kiya karte.
Jo aaya mere hothon par banke dua aaya,
Mera jikar uske gaalo par banke haya aaya,
Jo dekha maine mehakta hua koi gulaab kahi,
Meri aankhon mein uska chehra baar-baar aaya.
Zindagi gujar jaye par pyar kam na ho,
Yaad rakhna hame chahe pas hum na ho,
Qyamat tak chalta rahe dosti ka ye safar,
Dua karna rab se ye rista khatam na ho.
Phool Khile Zindagi Ki Raaho Mein,
Hasi Chamkti Rahe Aapki Nigah Mein,
Kadam-Kadam Par Mile Khushi Ki Bahar Aapko,
Dil Deta Hai Yahi Dua Baar-Baar Aapko.
dil se dua hai kushiyon ka nur barse,
kushiyan itni mile ki chahkar b aap gamo ko tarse.
Aye Rooh Tu Zara Dhire-Dhire Nikal,
Kahi Us Be-khabar Ko Khabar Na Ho Jaye,
Meri Zindagi Ki Dua Maangti Hai Wo sada,
Kahi Uski Dua Ka Asar Na Ho Jaye.
hum aapko yaad karte hai,
khuda se fraiyaad karte hai,
khushiyaan hi khushiyaan aapke daman mei ho,
na koi gum ki parchhayi aapke aangan mei ho.
Dua karte hai tere hontho pe hardum phool bhikhre,
mere ashqo se sanam teri jawani nikhre,
bas yahi soch ke darr jata hu mein kabhi kabhi,
ki kahi tumse na tera bhi dildar bichade.
Dua Yehi Hai Har Pal Muskurao Tum,
Qadam Jahan Rakho Wahan Khushiyan Pao Tum,
Na Aaye Koi Dard Paas Tumhare,
Jisko Chaho Usko Sada Paas Pao Tum.
Kisi se pyar itna karna ki hadh na ho,
Par etbaar bhi itna rakhna ki shak na ho,
Wafa itni ho ki kabhi bewafai na ho,
Aur dua itni karna ki kabhi judayi na ho.
Har Duaon Mein Dil Se Dua Karte Hai,
Hath Failaye Rab Se ilteza Karte Hai,
Unn Par Gum Ka Saaya Na Aane Paaye,
Jo Hume Apno Mein Gina Karte Hai.
Dil me Hontho pe ek duwa rahti hai,
Har ghari muje ap ki parwah rahti hai,
khuda har khushi de zindagi me app ko,
har duwa main meri ye Guzaarish rahti hai.
Rab Na Kare Apko Khushiyon Ki Kami Ho,
Apke Kadmo Ke Neeche sada Phulon Ki Zami Ho,
Ansu Na Ho Apki Ankhon Mai Kabhi,
Agar Ho To Wo Bhi Khushi Ki Nami Ho.
Mohabbat ko log jab khuda mante hai,
Pyar karne walo ko kyu bura mante hai,
Jab zamana hai patthar dil,
to phir Kyu patharo se dua mangte hai.
Tujhe Ansu bhari wo Dua mile Jise Kabhi na inkar khuda kare,
Tuje Hasrat Na Rahe Kabhi Jannat ki,
Tere Aangan mein Mohabbaton ki aisi hawa chale
Milo ke faslo me bhi duri na ho,
Bat na ho, aisi majburi na ho,
Meri tamanna hai hum Dost rahein umar bhar,
Ap bhi dua karna ki ye dua meri adhuri na ho!
Teri Chahat Teri Ulfat Ki Adda Kaafi Hai,
Zinda Rehne Ke Liye Teri Wafa Kaafi Hai,
Be-Wajah Hath Uthane Ki Zrurat Kya Hai,
Dil Se Maango to Faqt ek Dua Kaafi Hai.
Humne to der kardi ane mein,
margar dil or jaan se mange hum dua,
har koi appke karibh ho,
har koi appka saath de,
humari sirf yehi hai dua.
Aap khubsurat hain itne,
Ki har shakhs ki zuban par aap hi ka tarana hai,
Hum nacheez kahan kisi ke kaabil,
Aur aapka to khuda bhi diwana hai.