Dua Shayari - Page 3 - Hindi Shayari

Aaj Is Kadar Raha Mein

Aaj is kadar raha mein ishq bikhra pada hua hai,
Aaj har khusbu fiki aur gumanaam har dua hai,
Iss anjan duniya me aap kaha se aa gaye kon ho aap,
Jis ne mujhe itni mohabbat se chuaa hai.

aaj-is-kadar-raha-mein-ishq-bikhra-pada-hua-hai

Gamo Ki Dhoop Me Kabhi

Gamo ki dhoop me kabhi jana na pade,
In pyari palko ko kabhi bhigana na pade,
Bin mange mil jaye khushiya itni aapko ki,
Fir kisi dua ke liye sar jhukana na pade.

gamo-ki-dhoop-me-kabhi-jana-na-pade

Mujhe Khushi Na Mile

Mujhe khushi na mile ye dua karna,
Kabhi sanam na mile iltaza karna,
Dard ki, tanhai ki aadat si ho gayi,
Ya Khuda mar na jaun karam na karna.

mujhe-khushi-na-mile-ye-dua-karna

Dhadkate Dil K Pichhe

Dhadkate dil k pichhe koi baat hoti hai
Udas dil me kisi ki yaad hoti hai
Apko pata ho ya na ho par
Apki har khushi k pichhe hamari fariyad hoti hai.

dhadkate-dil-k-piche-kai-baat-hoti-hai

Dua Karte Hai Hum

dua karte hai hum sar ko jhukaye,
aap dost aap apni manzil ko paayen,
jab bhi aap ki raaho mein andhera aaye,
to roshni ke liye khuda hum ko jalaye.

dua-karte-hai-hum-sar-ko-jhukaye

Kabhi Khatam Na Ho

Kabhi khatam na ho teri khushi ka khajana.
Duniya bhul na paye tera muskurana,
Tum jaha bhi jao meri duwaye teri sath jaye,
Khuda kare tu har waqt muskuraye.

kabhi-khatam-na-ho-teri-khushi-ka-khajana

Mangi Thi Dua

Mangi thi dua aashiyane ki,
Chal padi aandhiya zamane ki,
Mere gham ko samajh na paya koi,
Meri to aadat thi muskurane ki.

mangi-thi-dua-aashiyane-ki

Palbhar Ki Bhi Tanhai

Palbhar ki bhi tanhai aapko nasib na ho,
koi bhi gam kabhi aapke karib na ho,
Rab aapki jindgi me itni khushiyan bhar de,
Ki aapse badhkar, koi bhi khushnasib na ho.

palbhar-ki-bhi-tanhai-aapko-nasib-na-ho

Dil Se Nikli Dua Hai Humari

Dil se nikli dua hai humari,
Zindagi se mile aapko khushiyan saari,
Gham na de khuda kabhi aapko,
Chahe to zindagi khatm kar de humari.

dil-se-nikli-dua-hai-humari

Khuda Likhe Teri Taqdeer

Khuda likhe teri taqdeer tere amaal se pehle,
Teri khwahsh puri ho tere izhar se pehle,
Ye meri dua hai dost,
Tujhe khushi mile khushiyon k intizar se pehle.

khuda-likhe-teri-taqdeer-tere-amaal-se-pehle

Kis Dilse Unki Wafa

Kis Dilse unki wafa ki Tareef Mangu,
Kis Pal Se Milne Ki Tarikh Mangu,
Gum hai unse Door hone Ka,
Kis Khuda Se unke Kareeb Aane Ki Dua Mangu.

kis-dilse-unki-wafa-ki-tareef-mangu

Parinde Bhi Sharmaye

Parinde bhi sharmaye tumhari aisi udan ho,
Phool bhi jal jaye tumhari aisi muskaan ho,
Dua hai humari ki tum kadam rakho jaha,
wahi manzil tum par meharbaan ho.

parinde-bhi-sharmaye-tumhari-aisi-udan-ho

Jisne Qatal Kar Diya

Jisne Qatal kar diya Hamari Aarzu ka,
Wo hi Humare Bayan par Bekasur Nikle,
Humne to Likh diya Apna Haal-e-Dil,
Ummed hai tumse Koi Dua Zarur Nikle.

jisne-qatal-kar-diya-hamari-aarzu-ka

Har Dam Karu Yaad

Har Dam Karu Yaad Tuhje Duaon Mein,
Tu Sada Rahe Mohabbat ki Chahon mein,
Izzat Ho Teri Sab Ki Nigahon mein,
Koi Gham Na mile tujhe Zindagi ke rahon mein.

har-dam-karu-yaad-tujhe-duaon-mein

Ek Dua Mangte Hai

Ek dua mangte hai hum apne Bhagwan se,
chahte hai aapki Khushi pure Imaan se,
Sub hasraten puri ho aapki,
aur aap Muskurayen Dilo Jaan se.

Ek Dua Mangte Hai

Teri Hawa Me Phulo Ki

Teri hawa me phulo ki mahakho,
pahli kiran me chidiyo ki chahak ho,
jab bhi kholo aap apni palke,
Un palko me bas khushiyo ki jahlak ho..

Reet Hai Jaane Kaisi

Reet Hai Jaane Kaisi Ye Zamane Ki,
Jo Saza Milti Hai Yaha Dil Lagane Ki,
Na Basana Kisi Ko Dil Mein Itna Ki,
Fir Dua Mangni Padhe Bhulane Ki.

reet-hai-jaane-kaisi-ye-zamane-ki

Hamari Dua Hai Aapki Zindagi

Hamari dua hai AAPKI zindagi or nikhar jaye,
Har nazar me bas pyaar hi pyaar nazar aaye,
AAPKO talash ho jiski mere DOST,
KHUDA kare wo khud AAPKI talash me aaye.

hamari-dua-hai-aapki-zindagi-or-nikhar-jaye

Toot Jaate Hai Sabhi Rishte

Toot Jaate Hai Sabhi Rishte Magar,
Dil Se Dil Ka Raabta Apni Jagah,
Dil Ko Hai Tujh Se Na Milne Ka Yaqeen,
Tujh Se Milne Ki Dua Apni Jagah.

toot-jaate-hai-sabhi-rishte-magar

Teri Dosti Ko Palko

Teri DOSTI KO palko par sajayenge,
Jab tak jindagi hai har RASM nibhayenge,
dene ko to kuchh nahi mere pass,
Par teri KHUSHI mangane khuda ke pas tak jayenge.

teri-dosti-ko-paklo-par-sajayenge