Roop ki shoba se hai ulfat humko,
khat se salam bhejte hai hum tumko,
roop ki shoba hazaro saal tak rahe,
padhne wale aur badhe dua de tumko.
Aapki duaao se hame wo sahara mila,
Jo mil na saka wo kinara mila,
kin lafjon me hum bayan kare ki,
Jaane kitno ki bheed me koi dost itna pyara mila.
Shayad muqadar ne bheja ho paigam phir se,
Tere hontho pe aaya h mera naam phir se,
Muddato baad tujhe milkar aisa laga,
Meri duao ka mill gaya inaam phir se.
Bas Ek yahi Dua Hai Meri Apne KHUDA Se,
Aagah Rkhe Wo Har Pal Muje Apni Raza Se,
Mit te Hai to Mit jaye ye Hasti Meri,
Par DiL Na Dukhe Kabi Kisi ka Meri Waja Se.
Nahi ban jata apna koi yuhi dil lagane se,
Karni padti dua rab se sacha ristha pane ki,
Rakhna sambhal kar ye rishta apna,
Na toot jaye kahin ye kisi ke behkane se.
dua hai rab se kabhi aapko dard ka ahsas na de,
per koi pal aisa na gujre jab musibaat me hum sath na de,
kisi saans me hum aapko bhule rab hame wo saans na de.
Kaash dil ki awaaz mein itna asar ho jaaye,
hum aapko yaad kare or aapko khabar ho jaaye,
aaj iss rab se yahi dua hai meri ki,
jise aap chahe who apka Hamsafar ho jaya.
Jab Aap apne Liye Dua Mango To Dusro Ko Bhi yaad Karo,
Kya Pata Uske Naseeb Ki Khushi Tumhari Dua Ke Intezar Me Ho.
Sada khush rakhna mere Khuda Usko,
tere farishte bhi denge dua Usko,
dena usko zarurat se bhi zyada khushi,
kyunki uski khushi se hai milti kushi mujhko.
Subha ka ujalo sada sath ho,
Hr din Hr pal aap k liye Khaas ho,
Dil se dua nikalti hai aap k liye,
saari Khushian aap k pass Ho.
Tu hi mil jaye mujhe ye hi kaafi hai,
Mere lafzo ne ye hi dua har pal maangi hai,
Jaane kyun Dil khincha jata hai Teri aur,
Kya tune bhi mujhe paane ki Dua maangi hai.
Dua hai ki khush raho aap.
Mile na koi gam jaha bhi raho aap.
Samundar ki tarah Dil ho Gehra aapka.
Khushiyon se bhara rahe daaman aapka.
Har Roz Tujh Se Milne Ki Dua Karenge,
Teri Aarzo Mein apni Hasti Fanaa Karenge,
Tu Chahe kitna bhi Daaman Bacha Le Hum Se,
Hum Marte Dum Tak Tujh Se yu hi Wafa Karenge.
dil se nikali ye dua hai hamari,
Zindagi me mile apko khushiya sari
gum na de khuda apko khabhi,
Chahe to ek khushi kam karde hamari.
Teri dosti ne zindagi se pehchan karayi hai,
Mujhe wo tufano se phir lauta ke layi hai,
Bas itni hi dua karte rahe khuda se hum,
chale umar bhar ye dosti jo hamne nibhayi hai.
Duao ke Bheed me ek dua hamari,
jees me maangi hai humne har khushi tumhari,
Jab Bhi Aap muskaraaye Dil se,
Samjo dua kabool hamari.
Khawbo Ke Bina Neend Ki Khwahis Na Kar,
Pyar Ke Bina Jeene Ki Dua Na Kar,
Jo Tumse Juda Ho kar Jee Nahi Sakte,
Unse Door Jaane Ki Khwahis Na Kar.
Zindgi Me Bar-Bar ye Mukam Aye,
Tum Hamare hum Tumhare kaam Aye,
Bas Itni si dua hai khuda se,
k Agle janam me b Tumhare Dosto me Hamara Naam Aye.
Aye Khuda tu meri aakhri dua to sunle,
iss dard ko apna bana ke to dekh le,
tujhe pata chalega dil ka dard kya hota hai,
bas tu ek bar kisi se najre laga ke to dekh le.
Zindagi ne khushiyon ko pukara hai,
Zara muskurao aapka har gham hamara hai,
Phool khilte rahe jeevan mein aapke,
Kanto ke liye toh daman hamara hai.