Meri aankhein aur deedaar aap ka,
Ya qayaamat aagayiee yaa khwab hai.
Tum beshaq hume dil se nikal do,
Hum tumhe dil ke sheeshe mai hamesha sajayenge,
Tum chahe jitne bhi door jao humse,
Tumhe satane teri yaado mai aa jayenge,
Kabhi bhulne ki koshish ki jo tumne toh yaad rakhna,
Hum khwaab me aake tumhe jaga jayenge.
Jisne Loota Karwa Mera,
Wahi Toh Tha Meharba Mera,
Khwabon Ki Adla Badli Mein,
Jal Gaya Th Aashiyaa Mera,
Husn Ka Jalwa Bina Dekhe,
Kho Gaya Tha Dilruba Mera,
Koul Se Hatne Ki Saajis Mein,
Usne Pakda Girebaa Mera,
Kaliyan Chahat Ki Masal Dali,
Fir Bhi Tha Woh Baghbaan Mera.
Khawab dekhne ki jab aadat ho jaati hai,
Haqiqat berang nazar aati hai,
Koi jeene ke liye intzaar karta hai,
Aur Kisi ki zindgi intzaar mein beet jaati hai.
Tere haath ki main wo lakeer ban jaun,
Sirf mai hi tera muqadar teri takdeer ban jaun,
Mai tujhe itna chahu ki tu bhool jaye har rishta,
Sirf mai hi tere har rishte ki tasveer ban jaun,
Tu aankhe band kare to aau mai hi nazar,
Iss tarah mai tere har khawab ki tabeer ban jau.
khwab ki vaadiyo se nikalta hua,
chand sokar utha aankh malta hua,
haath par dhoop ki pattiyan rakh gaya,
koi phulon ki chadar badlata hua,
shish mahal ke sisho se takra gaya,
pathron se sabhlata utarta hua,
sham tak hoga suraj hamari tarah,
koi sukha hua ped jalta hua,
ek aahat si najdeek aati huyi,
lon mein sham ka phool khilta hua.
Woh Rait Kar Ke Mere Khwab Ki Zameenon Ko,
Mere Wajood Main Darya Talaash karta Hai.
Raat ki Tanhiyon main App ko Yaad karte hai,
Aap ka jikar chand sitron main karte hai,
Log hum se aksar yeh kethe hai,
Hum khwabon main bhi Aap ka Naam pukara karte hai.
Parda-e-noor manke chhaye hain
Aansuon ki tarah machalte khwab,
Bikhre sishon par gir ke toot jaaye
Neend mein nange paanv chalte khwab,
Aisi sunsan dopahar mein kahan
Chand taaron ki tarah chalte khwab,
Bistre-e-dil par khoon ugalte khwab
Raat bhar karvatein badlate khwab.
Ap Mere Se Rahe Chahe Jitni Dur,
Khowab Me Ana Bas Kijiye Manjur,
Chahta Hoon Ap Ek Wada Toh Karen,
Phir Vale Hi Ap Mere Sath Na Chalen.
Ho gayi raat aasman mein nikal gaye sitare,
So gaye sari panchi kya khub khile nazare,
Aap bhi so jayiye is haseen raat mein,
Dekhiye Sapne pyare pyare.
Tu mera sapna, mera armaan hai par,
shayad tu apni ahmiyat se anjaan hai,
mujhse kabhi bhi ruth mat jana aap,
kyunki meri duniya aap ke bina viraan hai.
Kaash Aapki Surat Itni Pyari Na Hoti,
Kaash Aapse Mulaqat Hamaari Na Hoti,
Sapno Mein Hi Dekh Lete Aapko,
To Aaj Milni Ki Itni Bekarari Na Hoti.
Apni ankho ke ashq baha kar sona,
tum meri yaado ka diya jalakar sona,
dar lagta hai neend hi chhin na le tujhe,
tu roz mere khwabo mein aa kar sona.
Zindagi ye rang dikhati hai kitne,
Gair ho jate hain, ek pal mein apne,
Sapno ki duniya mein kabhi na jana yaar,
Dil toot jata hai, jab toot te hain sapne.
Sapne the sapno ke aap sahil hue,
na jane kaise hum apki dosti ke kabil hue,
karazdaar rahenge hum uss haseen pal ke,
jab aap hamari zindagi mein shamil hue.
DiL Me Chipi Yado Se Sawaru Tuje,
Tu Dikhe To Apni Ankho Me Utaru Tuje,
Tere Naam Ko Mere Labo Par Aise Sajaya hai,
So Bhi Jau To Khwabo Me Pukaru Tuje.
Palko Me Kaid Kuch Sapne Hai,
Kuch Begane or Kuch Apne Hai,
Na Jaane Kya Kasish He In Khyalo Me,
Kuch Log Humse Dur Hoke Bhi Kitne Apne Hai.
Honth keh nahi sakte jo fasana Dil ka,
Shayad nazar se wo baat ho jaye,
Is ummid me karte hain intezaar raat ka,
ki shayad sapne me mulakat ho jaye.
WOh Palkhon ke kinare jo hum ne kabhi bhighoye hi nahi,
Yeh mat Samajhna Ke Hum Kabhi ROye HI nAHi,
Woh ROz Puchhtey Thay ke Khuwabon Mein kIya Dekha,
Aur Ik Hum Hain Jo Ik Umar Se SOye HI NAHi.