Jab Se Hua Hai Woh Khawab Ki Tarah,
Zindagi Guzar Rahi Hai Azaab Ki Tarah,
Khushbu Ke Kalam Se Shayad Likha Tha Usne Khut,
Har Lafz Mahak Raha Hai Gulab Ki Tarah.
Mere Mehboob Ko Jis Din, Janab Dekhoge,
Hosh Ud Jayenge Jab Benaqab Dekhoge,
Noor Par Ek Aftab Dekhoge,
Raat To Raat Rahi Din Mein Bhi Khwab Dekhoge.
Yaad Aate Hai To Zara Kho Lete Hai,
Aansu Ankho Me Uter Aye To Zara Ro Lete Hai,
Nind Aakho Me Aate Nahi Laken,
Aap Khuwabon Me Ayaingay Yahi Soch Kar So Lete Hai.
Yuhi Sapno Se Dil Lagaya Karo,
Kisi Ke Khwabo Mein Aaya Jaya Karo,
Jab Bhi Dil Kare Ki Koi Tumhe Bhi Subah Jagaye,
Bas Hume Yaad Karke So Jaya Karo.
Gulaab ki mehak bhi phiki si lagti hain,
Konsi khusboo mujme basa gaye ho tum,
Zindagi hain kya teri chahat ke siva,
Ye kaisa khawab ankhon ko dikha gye ho tum.
Dil Ke Sagar Mein Lehar Uthaya Na Karo,
Khwab Ban Kar Neend Ko Churaya Na Karo,
Bahut Zakhm Khaye Hain Mere Sanam,
Tum Khwabon Mein Aakar Jaya Na Karo.
Tanhaiyon main muskurana ishq hai,
Ek baat ko sab se choopana ishq hai,
Yun to neend nahi ati hume raat bhar,
Fir bhi unka khwabo me aana ishq hai.
Bichadte Hue Yaad De Jayenge,
Khud Sone Se Pehle Ek Khwab De Jayenge,
Aapko Gila Hai Hum Baat Nahi Karte,
Sanso Ke Rukne Se Pehle Jawab De Jayenge.
”Wo reh na paye ek pal mere bina
Khuda unko tu is tarah mera apna sa kar de
Main hi tham saku haath unka
Baki duniya ke liye unko tu Sapna sa kar de“
Hamare Ashk Mein Apka Khwab Chhupa Hai,
Hamari Khushi Mein Apka Ehsas Chupa Hai,
Tum Hamari Dastan Mein Raho Ya Na Raho,
Lekin Is Dil Mein Hamesha Aapke Liye Pyar Chupa Hai.
ज़िन्दगी एक हसीन ख़्वाब है,
जिसमें जीने की चाहत होनी चाहिये ।
ग़म खुद ही ख़ुशी में बदल जायेंगे,
सिर्फ मुस्कुराने की आदत होनी चाहिये ।
Kuchh To Jarur Huaa Hai Wo Aise Badal Nhi Sakte,
Wada Karke Wade Se Mukar Nhi Sakte,
Itane Nazuk To Tere Khwab Nhi Hai,
Jo Sheeshe Ki Tarah Tutkar Bikhar Nhi Sakte.
Khawab bhi shayad kaanch se kamzor hote hain,
Har roz bikhar jate hain faqat ek aankh ke khulne se…!
Khwabo mein aakar yun na sataya karo,
Karta hun pyar to sahi waqt aaya karo,
Raat ko bhi bhala aane ka waqt hai,
Din mein mil raat ko pass reh jaya karo,
Phir dekhein husan-e-shabab ka dum,
Pass aao to jaane door se na itraya karo.
Main Apni Aankhon Mein Jab Us Ka Khuwab Sochti Hoon,
Tu Kushboo Se Mehakte Gulab Sochti Hoon,
Yeh Mari Taqat e Parwazz Ka Hunar Hai Ke,
Main Haroof Likhti Hoon Lekin Kitab Sochti Hoon.
Sehmi Si Nigahon Mein Khwaab Hum Jaga Denge,
Sooni In Raho Pe Phool Hum Khila Denge,
Hamare Sang Muskura Ke To Dekhiye,
Hum Aapko Har Gham Bhulwa Denge.
Juda Hokar Bhi Woh Sataane Se,
Baaj Nahin Aate,
Door Rahkar Bhi Who Dil Jalane,
Se Baaj Nahin Aate,
Hum Toh Bhulna Chahte Hain,
Unka Vaajud Bhi Khuda,
Magar Who Khawabo Mein Aane Se,
Baaj Nahin Aate.
Saare Shikwe Janab Tere Hai,
Dil Pe Saare Azaab Tere Hai,
Tum Yaad Aao To Nind Nahi Aati,
Nind Aaye To Saare Khwab Tere Hai.
Nahi jo dil me jagah to nazar me rehne do,
Meri hayaat ko to apane asar me rehne do,
Main apni soch ko teri gali me chhor aaya,
Mere wazood ko khwabon ke ghar me rehne do.
Hum Pyar Unhi Se Karte Hain,
Ab The Bhi Jatana Chhod Diya,
Hum Unse Kabho Ruthe Hi Nahin,
Aur Usne Bhi Manana Chhod Diya,
Marna Bhi Muskil Sa Hoga,
Jiske Bagair,
Us Sakhs Ne Khwabon Mein Bhi ,
Aana Chhod Diya.