Aye khuda dua ye meri khali na jaye,
Ke mere dost ki palkon mein kabhi aansu na aaye,
Aansu nikle to khushi ke nikle,
Gham ke aansu mere hisse mein aa jaye.
Mousam chahe badalte rahe,
par yaadon ke phool jaroor khilenge,
waqt badlega rishte badlenge,
par hum aapke dost the hai aur hamesha rahenge.
हर किसी कै किसमत मै ऐसा लिखा नही हौता,
हर मंजिल मै तैरै जैसा दौस्त का पाता नही मिलता,
मैरी तकादीर हौगी कुछ खास,
वरना तैरै जैसा यार मुझै कहा मिलता.
Fasle mita kar aapas mein pyar rakhna,
Dosti ka ye rishta hamesha yunhi barkarar rakhna,
Bichhad jayein jo kabhi aap se hum,
Aankhon mein hamesha hamara intejar rakhna.
Mehak Dosti ki Kam nahi hoti,
Dosti se zindagi khatam nahi hoti,
Saath agar zindagi mein ho aap jaise dost ka,
Zindagi jannat se kam nahi hoti.
दोस्ती अच्छी हो तो रंग़ लाती है,
दोस्ती गहरी हो तो सबको भाती है,
दोस्ती नादान हो तो टूट जाती है,
पर अगर दोस्ती अपने जैसी हो,
तो इतिहास बनाती है
Hakeekat samjho ya afsana,
Begana kaho ya deewana,
Suno mere dil ka fasana,
Teri dosti hai mere jeene ka bahana.
Kinaro par sagar ke khazane nahi aate,
Phir jivan me dost purane nahi aate,
Jee lo in palon ko has ke janaab,
Fir laut ke dosti ke zamane nahi aate.
गुनाह करके सजा से डरते है,
ज़हर पी के दवा से डरते है,
दुश्मनो के सितम का खौफ नहीं हमे,
हम तो दोस्तों के खफा होने से डरते है.
Dosti ki rahon mein kabhi akelapan na mile,
Aye dost zindagi mein tumhe kabhi gham na mile,
Dua karte hain hum khuda se,
Tuhme jo bhi dost mile hum se kam na mile.
Sachi Dosti Bezubaan Hoti Hai,
Ye to Aankhon Se Bayan Hoti Hai,
Dosti Me Dard Mile to Kya Hua,
Dard Me Hi To Apne Aur Parayo Ki Pehchan Hoti Hai.
Aapki dosti hamari, suron ka saz hai,
aap jaise dost par, hame naz hai,
chahe kuch ho jaye zindagi mein,
dosti vaise hi rahegi, jaise aaj hai.
Teri dosti ne bahut kuchh sikha diya,
Meri khamosh duniya ko jaise hansa diya,
Karzdaar hain hum khuda ke,
Jisne aap jaise dost se mila diya.
Pyar ka haq ada kiya karte hai,
Dosti mein jaan fida kiya karte hai,
Phulo se bhi jakhm na aaye aapko,
Khuda se bas yahi dua karte hai.
Kuch Riste Anjane Me Ban Jate Hai,
Pehele Dilse Fir Zindegi Se Jud Jate Hai,
Kehte Hai Us Pal Ko DOSTI,
Jisme Anjane, Na Jane Kab Apne Ban Jate Hai.
Aapki aankhon mein milegi hamein panah,
Chahe samjho dil lagi ya samjho gunah,
Bhaley hi hamein koi deewana qarar de,
Hum to ho gaye aapki dosti mein fanaa.
Khushi ke ye pal aap yu hi sambhale rakhna,
Ye kaliyon se pyari muskan yu hi khilaye rakhna,
Pyar ki yeh mehfil yu hi sajaye rakhna,
Aur dosti ki ye khushboo yu hi mehkaye rakhna.
Zindagi nahin humein doston se pyaari,
Doston pe haazir hai jaan hamaari,
Aankhon mein hamaari aansoon hai toh kya,
Jaan se bhi pyaari hai muskaan tumhaari.
Din beet jaate hain suhani yaadein bankar,
Baatein reh jaati hain kahani bankar,
Par dost to hamesha kareeb rahenge,
Kabhi muskaan to aankhon ka pani bankar.
Khamoshiyon mein ek ada itni pyari lagi,
Apki dosti hum sabse nyari lagi,
Ye na tute kabhi yahi dua hai hamari,
Kyoki duniya mein ek yahi cheej hume hamari lagi.