Zindagi wo jo guzar jaye,
Ansoo wo jo beh jaye,
Khusi wo jo mil jaye,
Gam wo jo beet jaye,
Magar DOST Wo jo HUMESHA sath nibhaye.
Jaam pe jaam pine se kya fayada,
Shaam ko pee subaha phir utar jayegi,
Peena hai to do bund dosti ke pee,
Sari zindagi teri nashe mein guzar jayegi.
Dost ka pyar dua se kam nahi hota,
Woh chahe door ho phir bhi koi gham nahi hota,
Aksar pyar mein dosti kam ho jati hain,
Magar dosti mein pyar kabhi kam nahi hota.
Dosti nazron se ho to use kudrat kehate hain,
Sitaron se ho toh jannat kehate hain,
Aankhon se ho toh mohabbat kehate hain,
Aur dosti aap se ho toh kismat kehate hai.
Hamari Us Sitare Se Dosti Ho Gyi,
Jise Dekh kr Savera Ho Jye,
Socha Chura Lu Use Asman Se,
Phir Socha Khi Asman Me Andhera Na Ho Jye.
Na rahe Koi Gila Is Qadar Wafa Denge,
Apki Ek Khushi Ki Khatir Ansu Tak Baha Denge,
Kabhi Na Bholenge Apki Dosti Ko Hum,
Dor Reh Kar Bhi Apko Dil Se Dua Denge.
Duniya mein jeene ke bhane hazar hote hain,
Jo jeete hain bina dosti ke woh bekar hote hai,
Jo karte hain sachchi dosti ki kadar,
Bas wahi is dosti ke haqdar hote hai.
Pyar se pyara shabd hai “D-o-s-t-i”,
Jeene ka shara hai “D-o-s-t-i”
“D-o-s-t-i” se shikwa kabhi na karna,
Kyunki doston ki jaan hai “D-o-s-t-i”
Khushi ki parchhaiya ka naam ha zindgi,
Gamo ki gahhriyo ka naam ha zindgi,
Ek pyaara sa yaar hai humara,
Usi ki pyari si hassi ka naam hai zindgi,
Yadon ke sahare duniya nahi chalti,
Bina mile kabi mehfil nahi banti.
Ek baar dil se pukaaro to dost,
Doston ki chahat ke bina, ye dhadkan nahi chalti.
Khuda Ki Ibadat Se Milte Hain,
Dost Uski Rahmat Se Ham Nibhatehen,
Dosti Nahi Chahate Ham Koi Dost Khona,
Isliye Kisi Khas Ko Hi Dostbanate Hain.
Jab se aapko jana hai,
Jab se aap sa dost paya hai,
Har dua me aap ka naam aaya hai,
Dil karata hai punchu us rab se ke,
Kya itna pyara dost sirf mere liye banaya hai?
Rishton ki yeh duniya hai nirali,
Sab rishton se pyari hai dosti tumhari,
Manzoor hai aansu bhi aakhoon mein hamari,
Agar aa jaye muskan honthon pe tumhari.
khusboo ki tarah meri saanso me rehna,
lahu banke nus nus me behna,
dosti hoti hai risto ka anmol gehna,
isliye humari dostio ko kabhi alvida na kehna.
दूरियों से फर्क पड़ता नहीं,
बात तो दिलों कि नज़दीकियों से होती है,
दोस्ती तो कुछ आप जैसो से है,
वरना मुलाकात तो जाने कितनों से होती है.
Ek dost mila, kuchh alag sa laga,
Khwahishon ka gulistan sa laga,
Us pe qurban hai puri yaari meri,
Kyun ki woh meri zindagi ka ashiyana sa laga.
Dil se dil juda nahi hote,
Yuhi kisi pe fida nai hote,
Pyar se bada to dosti ka rishta hai Kyunki,
dost bewafa nahi hote.
Wada karte hain dosti nibhayenge,
Koshish yahi rahegi tujhe na satayenge,
Zarurat pade toh dil se pukarana,
Marr bhi rahe honge to mohlat lekar aayenge.
Socha na tha kabhi aisi dosti hogi,
Sath mere aap jaisi hasti hogi,
Jannat ki galiyon ke khawab kyon dekhoon,
Agar tum jaisa dost sath hoga to narak me bhi masti hogi…
Rab se sacha koi ho nahi sakta,
Apse achha koi ho nahi sakta,
Apki dosti hamare nasib me hai to humare,
Nasib se achha kisi aur ka nasib ho nehi sakta,