Kisi din teri nazron se door ho jayenge hum,
Door fizaon me kahin kho jayenge hum,
Meri yaadein se lipat ke rote rahoge tum,
Jab zameen ko odh ke so jayenge hum…!!
Kabar Par Meri Woh Shama Jalate Rahe,
Mout Per Yun Hi Woh Dil Behlaate Rahe,
Roundh Kar Har Khwaiish Meri Panv Tale,
Be-Basi Per Yun Hi Woh Muskrate Rahe,
Ashquon Ki Thi Tapish Jo Meri Kabar Per,
Unse Apne Zakhm Hi Sehlate Rahe.
Yun Dil Se Dil Ko Juda Na Kijiye,
Jara Soch Samaj Kar Faisla Kijiye,
Agar Ji Sakte Hai Aap Mere Bina,
To Beshak Mere Maut Ki Dua Kijiye.
महफील भी रोयेगी, हर दिल भी रोयेगा ,
ङुबी जो मेरी कस्ती तो साहील भी रोयेगा ,
हम इतना प्यार बीखेर देगे इस दुनीया मे के,
मेरी मौत पे मेरा कातील भी रोयेगा…!!
Dard Jitna Hai Meri Nigaho Me,
Paoge Na Utna Kisi Ki Raho Me,
Bitani Chahte The Zindagi Jiski Baho Me.
Maut B Na Mil Payi Unki Panaho Me.
Marna To Sabko Ek Na Ek Din Hi Padega,
Magar Dekhna Hai Kiski Mout Ka Sadma Kitno Ko Lagega,
Kya Khushi Manayenge Ya Phir Gum Me Doob Jayenge,
Dekhte Hai Mere Jnaze Me Mere Kitne Apne Ayenge.
Kya Pata Kab Maut Ka Paigam Aa Jaye,
Na Jane Kab Zindgi Ki Aakhiri Sham Aa Jaye,
Mai To Intzar Karta Hun Kisi Aise Samay Ka,
Ki Meri Zindgi Kisi Dost Ke Kam Aa Jaye.
Dard Jitna Hai Meri Nigaho Me,
Paoge Na Utna Kisi Ki Raho Me,
Bitani Chahte The Zindagi Jiski Baho Me,
Maut B Na Mil Payi Unki Panaho Me.
Mere Janaazey Ki Peechey Saara Zamaana Nikla,
Magar Woh Na Nikla Jiske Liye Mera Janaaza Nikla.
shama yun hi jal rahi hai parwaanon ko dekh kar,
maine maut dekhi hi nahi apne janaze ko dekh kar.
Zamin Ke Paap Chupane Ko Gagan Hota Hai,
Mann Ka Paap Chupane Ko Badan Hota Hai,
Shayad Mar Kar Bhi Paap Chupate Hain Log,
Isi Liye Har Laash Per Kafan Hota Hai.
Har Kadam Par Usi Ki Yaad Aati Hai,
Ab Toh Rooye Bina Hi Aankh Bhar Aati Hai,
Unke Bina Kya Haalat Ho Gaye,
Ab Toh Har Ek Pal Me Maut Nazar Aati Hai.
Aankhen Apki Ho Par Ansu Mere,
Zindagi Apki Ho Par Sanse Meri,
Dil Apka Ho Par Dhadkan Meri,
Zindagi Ke Ahkri Modh Par Duaa Hogi Yehi,
Kafan Apka Ho, Aur Maut Meri.
yaari subah teri aur shaam meri ho,
Din teri aur raat meri ho,
Hasi teri aur udaasi meri ho,
Jab maut aaye to yaar sirf,
Kabar teri aur usmein laash meri ho.
Milna Hai To Mil Isi Dunia Ke Chaman Mein,
Phir Kya Milna Hoga Jab Laash Hogi Kafan Mein.
Gamon Ka Bojh Main Dhota Raha,
Raat Bhar Bas Yunhi Rota Raha,
Zindagi Ke Is Safar Me,
Maut Ki God Me Main Sota Raha,
Na Kabhi Aayi Khushi Ki Bahar,
Na Mila Mujhe Mera Wo Pyar,
Apne Daaman Ko Sukha-Sukha Ke,
Aansuon Se Use Bhigota Raha,
Zindagi Ke Is Safar Me,
Maut Ki God Me Main Sota Raha.
Na Koi Meri Manzil Hai Na Kinara,
Tanhai Meri Mehfil Aur Yaadein Mera Sahara,
Unse Bichad Kar Kuch Yun Waqt Guzra,
Kabhi Zindagi Ko Tarse Kabhi Maut Ko Pukara.
Wo Maut Bhi Badi Suhani Hogi,
Jo Aap Ki Pyar Main Aani Hogi,
Ye Dua Hai Khuda Se Ke Pehle Hum Jaaye,
Kyon Ke Welcome Ki Rasam Bhi To Nibhani Hogi.
Kabhi khamoshi bhi bahut kuch keh jati hai,
Tadpane ke liye yaade reh jati hai,
Kya fark padta hai dil ho ya koyla
Jalne ke baad to sirf raakh hi reh jati hai.
Kabar Per Meri Woh Shama Jalate Rahe,
Maut Per Yun Hi Woh Dil Behlaate Rahe,
Rondh Kar Har Khwaish Meri Panv Tale,
Be-Basi Per Yun Hi Woh Muskrate Rahe,
Ashquon Ki Thi Tapish Jo Meri Kabar Per,
Unn Se Apne Zakhm Hi Sehlate Rahe.