Hum Mitti ke Aashiyane Banate Gaye,
Bana Bana Kar Unhe Mitate Gaye,
Hume Koi na Apna Bana Saka,
Hum Har Kisi ko Apna Bate Chale Gaye.
Hum haste hai to unhe lagta hai ki hume aadat hai muskurane ki,
par wo nadan itna v nehi samajhte ki ye aada hai gum chupane ki.
Nibhaoghi tum kasme ye wada na karo,
Mohbbat humse itni jyada na karo,
Dekhe hai maine bhi daur tabhayi ke,
Aur hume satane ka irada na karo.
Kismat k hatho wo hi majboor hote hai,
hakikat se jo bahut door hote hai,
aksar aise logo ko hi mil jati saza,
jo har taraf se beksoor hote hai.
Pyar pyar se dur hota ja raha hai,
Pyar pyar se majbur hota ja raha hai,
Matlab nikalne ke liye har koi pyar karta hai,
Ye iss jmane ka dastur hota ja raha hai.
APNE dil ki duniya me usko bula na sake,
bahut KOSISH ki magar PAA na sake,
kisi Gair ko bana liya usne APNA,
fir bhi hum use BHULA na sake.
Badhi asani se dil lgaye jaate hai,
Par badhi mushqil se wade nibhaye jaate hai,
Le jaati hai mohabbat unn raho par,
Jaha diye nahi dil jalaye jate hai.
Chand ek noor hai,
isilye use khud pe gurur hai,
hum gurur kispe kare,
hamara to chand hi humse dur hai.
Jisko dekho wahi bejar aata hai,
Jara jara ghamkhar najar aata hai,
Hum kisko sunaye apna haal-e-dile,
Gham mein duba hua sansaar najar aata hai.
Koi wada na kar,koi irada na kar,
khwahishon me khud ko aadha na kar,
ye degi utna jitna likh diya khuda ne,
is taqdeer se ummeed jyada na kar,
Bahut Dur Magar Dil ke Pass Rehte ho,
Aankhon se Door Sahi Magar Dil Ke Pass Rehte ho,
Mujhe Bas itna Bata do Kya Tum Bhi,
Mere Bina Udaas Rehte ho.
Unki galiyoon se jab guzre to manzar ajeeb tha,
Dard tha magar wo dil ke kareeb tha,
Jise hum dhoondhte the apni hathoon ki lakeeroonmein¡,
Wo kisi doosre ki kismat, kisi aur ka naseeb tha.
Kudrat ke Karishmo Mein Agar Raat na Hoti,
Khwabon Mein Bhi Unse Mulaqat na Hoti,
Yeh Dil hi Gum ki Wajha hai,
Ye Dil na Hota to Koi Baat na Hoti.
kismat ka ye kaisa khel hai,
sirf do bato ka mel kai,
pehle hum rote the tab unhe yaad krte the,
ab unhe yaad karke rote he.
Teri bekhudi mein lakho paigam likthe hai,
Tere gham mein gujri baaten tamam likhte hai,
Ab to aansu chalkate h, uss kalam se bhi,
Jisse hum tumhara naam likthe hai.
“Yeh keh kar ‘sitamgar’ ne nigahe pher lee humse,
Mohabbat karne wala ‘reham’ ke kabeel nahi hota”
Na hote muqabil, na ladti najar,
Ye apni khata hai, gila kya kare,
Na hum muskurate, na wo pass aate,
Issi ki mili hai, saja kya kare.
Toota jo dil to dukh hota hai,
kar ke usse pyar dil ab bhi rota hai,
Dard ka ehsas hota hai usi ko,
Jo mohbbat pane ke bad khota hai.
Saanso ki dor humse chuthi jaa rahi hai,
Kismat bhi humse ruthti jaa rahi hai,
Maut ki taraf h kadam humare,
Mohabbat bhi humse chuthi jaa rahi hai.
Zakham ROOH par dekar mere,
WOO marham JISM pe lagane KO kehte hain,
WOO jo khud the KATIL mere,
mujhe INSAAF dilane KOO kehte hai.