Silsile to Yuhin Chalte Rahenge,
Fasle Hai Badalte Rahenge,
Aap Kyu Nahi Samjhte Humari Baton Ko,
Aapke Bina To Hum Pal Pal Marte Rahenge.
Zindagi ke raste kaise bhi ho guzar jayenge,
ek din hum bhi chupke se mar jayenge,
aaj rahte hain dosto ke dil me yaad banke,
kal aansu banke aankhon se nikal jayenge.
Kalam Uthayi hai lafj Nahi Milta,
Jisko Dhund Rahe hai Wo Shaks Nahi Milta,
Firte hai Wo Zamane ki Talash Mein,
Bas Humare Liye Unhe Waqt Nahi Milta.
Mere ishq me dard nahi tha,
par dil mera bedard nahi tha,
Hoti thi meri aankhon se neer ki barsat,
par unke liye ansu or pani me fark nahi tha.
Tapish Suraj ki Hoti Hai,
Jalna Zameen ko Padta Hai,
Kasoor Aankho ka Hota Hai
Tadpna Dil ko Padta Hai.
Zara si bast der tak rulati rahi,
Khusi me bhi aankhe aansu bahati rahi,
Koi mil k kho gaya to koi kho k mil gaya,
Zindagi humko bas aazmati rahi.
Aankh wo Chahat Jis Mein Dil Ki Zubaan Hoti hai,
Sachchi Chahat to Bejuban Hoti hai,
Pyar Mein Dard Mila to Ghabrana Kaisa,
Dard se Chahat Aur Jawan Hoti hai.
Wo meri mohobbat se yun beimaan ho gaye,
jo kabhi apne the aaj anjaan ho gaye.
Unki berukhi ki intah to dekhiye,
wo lekar meri jaan kisi aur ki jaan ho gaye.
Kudrat Ke Karishmo Me Agar raat Na Hoti,
Khwabo Mein bhi Unse Mulaqat Na Hoti,
Ye Dil Har ek Gam ki Wajah Hai,
Ye Dil Hi Na Hota To Koi Baat na Hoti.
Zindagi se bas yehi gila hai,
Khushi ke baadh, kyu gham mila hai,
Humne to unse wafaa hi ki thi,
Par nahi jaante the ki wafa ka bewafaai hi silaa hai.
Aankho Ko Aankho Ka Pata na Hota Agar,
Dil Ko Dard ka Eshaas Hota Na Agar,
Kitna Haseen Hota ye Jindagi Ka Safar,
Yun Milke Bhichdna na Hota Agar.
jo rishta kayam hai wo hum nibhayenge,
nigaho se dur rahkar bhi aapko chahenge,
pata nahi aapne kiske saath ghar basaaya,
par hum aapka naam lete lete mar jaayenge.
Is Kadar Hamari Chahat Ka Imtihan na Lijiye,
Kyun ho Humse Khafa ye Bayan to Kijiye,
Kar dijiye Maaf Agar ho Gayi Humse Khata,
Khamosh Rehkar Hume Saja na Dijiye.
Zindagi jaise ek saza si ho gayee hai,
gham ke saagar mein is qadar kho gayee hai,
tum aa jao waapis yeh guzaarish hai meri,
mujhe shayad tumaari aadat si ho gayee hai.
Dil Ke Zhakam Unse Chupane Pade,
Ankh Bhar Aayi Magar Muskurana Pada,
Kaise Ultey Mohabbat ke Silsily,
Roothna Chahta Tha Magar Manna Padhe.
Haqeeqat karo byaan to mazaak lagta hai,
ibadat karo jab to jhootha khwab lagta hai,
Are ye dil hai dil, aur dil ki hai ye sdaa,
aur tum kehte ho ki tumhe ye haseen ittfak lagta hai.
Hothon Pe Hansi Khili thi,
Aankhon Mein Dard Soya tha,
Par Iss Bedard Jahan ko Kya Maloom,
ki ye Hasne Wala Bhi ek Din Roya Tha.
Humne Bhi pyar kiya tha, thora nshi besumar kiya tha, hamari to zindagi hi badal gayi,
jab usne ye kaha ki are pagal maine to majak kiya tha.
Ummed ke Pholo ko Khilte Hue Nahi Dekha,
Apne ko Kabhi Haste hue Nahi Dekha,
Unhe Mere Pyar Ka Eshas to hai,
Lekin Mujhe Kabhi Tadapte hue Nahi Dekha.
Zindagi ko tanha veerano me rahne do,
ye wafa ki batein khayalon me rahne do,
haqiqat me aazmane se tut jate hain dil,
ye ishq mohabbat kitabo me rahne do.