Badi mehnat se meri duniya lutai hogi,
Meri mohabbat ki hasti mita hogi,
La tere pairon mein marham laga du,
Kyon ki Mere dil ko thokar marne mein tujhe chhod to ati hogi.
Kabhi koi apna anjan ho Jata hai
kabhi kisi anjan se pyar ho Jata hai
Ye Jaruri nahi ki Jo khushi de usi se pyar ho
Dil todne walo pe bi DIL Nisar ho jata hai..
Log puchte hain kyu surkh hain tumhari aankhein,
Hans ke keh deti hoon raat ko so na saki,
Laakh chahoon bhi magar ye keh na sakoon,
Raat ko rone ki hasrat thi magar ro na saki..
Kisi Aur Ki Bahon Mein Rehkar,
Wo Mujhse Wafa Ki Baat Karte Hai,
Ye Kaisi Chahat Hai Yaro,
Wo Bewafa Hai Ye Jankar Bhi Hum Unhi Se Pyar Karte Hai.
Jaane kyu log hame aajmate hai,
Kuch pal sath rahne ke baad dur chale jate hai,
Sach hi kahte hai log ki sagar ke milne ke baad,
Log barish ko bhul jate hai.
Pal pal uska saath nibhaate hum,
Ek ishare peh duniya chhor jate hum,
Samundar ke beech mein pohanch kar fareb kiya usne,
Woh kehta to kinare peh hi doob jate hum.
Kisi ko pyar itna dena ki had na rahe,
par aitbaar bhi itna rakhna ki shak na rahe,
wafa itni karna ki bewafai na ho,
aur dua bus itni karna ki judai na ho.
Woh To Apne Dard Ro-Ro Ke Sunate Rahe,
Humari Tanhayion Se Ankh Churate Rahe,
Aur Hume Bewafa Ka Naam Mila, Kyunki,
Hum Har Dard Muskura Kar Chupate Rahe.
Kuch Waqt Tanhai Mein Beetaya Toh Kuch Yaadein Taza Ho Gayi Raah Mein Mila Tha Koi Saathi Kaise Mujh Se Bewafa Ho Gayi
Itni bedardi se dil ko mere voh tod degi,
Yeh maloom na tha mujhe akela voh chhor degi,
Aey mere masoom dil tu tanhai se pyar kar le,
Bewafa bhi ab wafa ka saath chhor degi.
Dil Ke Khareed Daar Toh Hazaar Mil Jayenge,
Dhokha Dene Wale Aapko Hazaar Mil Jayenge,
Hum Jaisa Dost Na Mil Payega Aapko,
Bewafa Yaar Toh Beshumaar Mil Jayenge.
Kabhi Raste Juda Ho Jate Hai,
Kabhi Log Khafa Ho Jate Hai,
Hum To Sabse Wafa Karte Hai,
Lekin Na Jane Kyu Apne Hi Humse Bewafa Ho Jate hai.
Kash ke hum unke dil pe raaj karte,
Jo kal tha wohi pyar aaj karte,
Hume gum nahi unki bewafai ka,
Bas Armaan tha ki hum bhi apne pyar pe naaz karte.
Rone ki saza na rulane ki saza hai,
Ye dard mohabat ko nibhane ki saza hai,
Haste hai to aankhon Se nikal aate hai aansu,
Ye us shaks se dil lagane ki saza hai
Barbaad Kar Gaye Wo Zindagi Pyaar Ke Naam Se,
Bewafai Hi Mili Sirf Wafa Ke Naam Se,
Zakham Hi Zakham Diye Us Ne Dawa Ke Naam Se,
Aasman Bhi Ro Pada Meri Mohabbat Ke Anjam Se.
टूटे हुए दिल ने भी उसके लिए दुआ मांगी,
मेरी साँसों ने हर पल उसकी ख़ुशी मांगी,
न जाने कैसी दिल्लगी थी उस बेवफा से,
के मैंने आखिरी ख्वाहिश में भी उसकी वफ़ा मांगी.
Jane kya soch ke lehrein sahil se takrati hain,
Aur phir se laut jati hain,
Samaj nahi ata ke woh kinaro se bewafai karti hain,
Ya phir laut ke samandar se wafa nibhati hain.
Wafa ke badle bewafai na diya karo,
meri ummid thukra kar inkar na kiya karo,
teri mohabat me hum sab kuch kho baithe,
jaan chali jayegi imtehan na liya karo
वफ़ा की तलाश करते रहे हम
बेबफाई में अकेले मरते रहे हम,
नहीं मिला दिल से चाहने वाला
खुद से ही बेबजह डरते रहे हम,
लुटाने को हम सब कुछ लुटा देते
मुहब्बत में उन पर मिटते रहे हम,
खुद दुखी हो कर खुश उन को रखा
तन्हाईयों में सांसे भरते रहे हम,
वो बेवफाई हम से करते ही रहे
दिल से उन पर मरते रहे हम|
Jo hukum karta hai woh iltejaa bhi karta hai,
Yeh Aasman bhi jaake kahin pe jhukta hai,
Tu agar bewafa hai to yeh buri khabar bhi sun le,
Mera intezaar koi aur bhi kartaa hai.