Sochta hoon ke bhujaa doon main yeh kamre ka diya,
Apne saaye ko bhi kyon saath jagaaon apne
Meri Mohabbat pe AITBAR to KIYA hota
ae JAAN kisi AUR ke HONE se pehle
MERA intezar to kiya hota
Insan Kahan Marta Hai Auron Ka Mara Hua,
Insan Ko Khud Uski Tanhai Maar Deti Hai,
Yun Toh Ji Bhi Sakta Hai Yeh Yaar Ki Judai Mein,
Magar Isko Toh Yahan Jag Hansayi Maar Deti Hai
Wo Bhi Tanha, Mein Bhi Tanha
Bhir Mein Har Shaqs Tanha
Raat Ke Aagosh Mein
Kat Ta Hai Ab Waqt Tanha
Ungliyon Ko Yaad Hai Wo
Uske Haatho Ki Chuuan
Dhund Ke Chhat Jaane Pe
Dekha Apna Haath Tanha
Doob kar suraj ne mujhe aur tanha kar diya,
Mera saaya bhi chupaa hai mere doston ki tarah
Har ek manzar pr udasi chhayi hai,
Chand ki roshni me v kami aayi hai,
Akale achhe the hm apne aashiane me,
Jane Q toot kr aaj fir apki yaad aayi hai
Bhale Bhool Jana Aap Hamein,
Hum Aapko Bhool Na Paayenge,
Aapka Hi Saath Mangenge Sada,
Hum Jab Bhi Jahan Mein Aayenge
Ada Labon Se Dil Ki Baat Ho Jane Do
Qabool Aaj Dil Ki Ibadat Ho Jane Do
Tanha Chal Rahe Ho Dasht E Zeest Mein
Do Pal Mujhko Zara Saath Ho Jane Do
Ruswaayi ka dar hai ke andheron se mohabbat,
Main chaand ko aangan main utarney nahin deta
Udas na baitho fiza tang karegi,
Gujre hue lamho ki sazaa tang karegi,
Kisi ko na lao dil ke itna karib,
Q ki uske jane ke baad uski har adaa tang karegi
Raat Ki Tanhai Dasti Hai,
Yaar Ki Bewafayi Hasti Hai,
Pyar Mein Mila Jo Tohfa Ise,
Sagar Ko Woh Ruswayi Dasti Hai
Log tanhaai se dar ke janglon main aa gaye,
Sheher ki galiyon mein ab ye kesa sanaatta hua
Toot Jate hain Bikhar Jate hain
Kaanch Ke Ghar Hain Muqaddar Apne
Ajnabi To Sada Pyar Se Milte Hain
Bhool Jate Hain To Aksar Apne
Tanhai Se Dar Nahi Lagta Mujhe,
Mahfil Se Ghabra Jata Hun Main,
Koshish Karta Hun Yaadein Dafnane Ki,
Magar Tujhko Bhool Nahi Pata Hun Main
Aankhein Roi Padhi Hani, Na Unka Paigam Aaya
Chale Gaye Humein Akela Chodkar, Yeh Kaisa Mukaam Aaya
Meri Tanhai Mujhpar Hansi Yeh Keh Kar, Aur Boli
Bataa Aakhir Mera Siva Tere Kaun Kaam Aaya
Jab Yaad Tumhari Aati Hai,Dil Khun Ke Aansu Rota Hai,
Yeh Dard Denewala Kya Jane,Dil Ka Dard Kaisa Hota Hai
kaha koi aisa mila jis par dil luta dete ….
har ek ne dhoka diya kis-kis ko bhula dete,,
hum apna gum dil me dabaye phirte hai,,,
karte hai baya to mehfil ko rula dete hai
Dil Ki Kone Se Ek Awaaz Aati Hai,
Hame Har Pal Unki Yaad Aati Hai,
Dil Puchta Hai Baar Baar Hamse,
Jinhe Hum Yaad Karte Hai,
Kya Unhe Bhi Kabhi Hamari Yaad Aati Hai?
Tere Hote Huye Bhi Tanhai Mili Hai,
Wafa Karke Bhi Dekho Buraai Mili Hai,
Jitni Dua Ki Tumhe Pane Ki,
Us se Jayada Teri Judai Mili Hai
Shayad kisi muqaam par main kaam aa sakoon,
Mujh ko bhi sath lijiye tanhaa na jayiye.