Tumhein maloom bhi hai main tanha jee nahin sakta,
Meri aadat badalne tak to mere saath ruk jao..
Sukun Apne Dil Ka Maine Kho Diya,
Khud Ko Tanhai Ke Samundar Me Dubo Diya.
Jo Tha Mere Kabhi Muskurane Ki Wajah,
Aaj Uski Kami Ne Meri Palko Ko Bhigo Diya…
Hum Phool Hain Gulab Sahi,
Daaman Kaanto Ne Thama Hai,
Apno Ne Hamein Thukraya Hai,
Haath Gairo Ne Thama Hai,
Roti Hai Aaj Hum Par Tanhai Humari,
Woh Bhi Na Paaye Shayad Parchhayi Humaari,
Tumhaari Dosti Ko Dekhkar Sabhi Rask Karta Hain,
Jo Bas Chalta To Duniya Chin Leti Zindagi Teri
Geele Kagaz Ki Tarah Hain Zindagi Apni,
Koi Jalata Bhi Nahin Koi Bahata Bhi Nahin,
Is Qadar Hain Akale Rahaon Mein Dil Ki,
Koi Bulata Bhi Nahi Koi Batlata Bhi Nahin
Mein akela tha magar itnaa nahin tha,
Mera akelapan mukammal tere aaney se hua
kitni buri lagti hai zindagi jab
hum tanha mehsus karte hain
marne k baad milti hai chaar kandhe
aur jeete jee hum ek ke liye taraste hain
Zindagi Ki Raaho Mein Har Kadam Par Tanhayi Hai,
Koi Mere Saath Nahi Bas Teri Bewafayi Hai,
Mere Sahar Mein Yeh Dar Diwar Kis Ki Hai,
Yaha Meri Mohabbat Thi Aaj Majar Kis Ki Hai,
Mila Tha Jo Ek Sathi Woh Bhi Hum Se Chhutha Hai,
Bewafa Nahi Jab Woh Fir Kyu Hum Se Rutha Hai,
Is Tarah Se Mujhe Barbaad Kiya Hai Usne,
Ki Sham Kuchh Bhi Nahi Subah Kuchh Bhi Nahin
Fursat Ki Shaam Dil Ki Uddasi Tumhari Yaad,
Tanhai Mein Bhi Kitna Bada Kaarvaan Hai Saath
Bikhri Kitaaben, bheegy auraaq aur Tanhai pasand sa Dil,
is Mohabbat ne to meri Umar pe bhi taras nahi khaya
Pyar Ka Ajib Sila Dia Hai Usne,
Meri Tanhaiyo Me Muji Ko Rula Dia Hai Usne,
Kehta Tha Meri Jaan Hai ,
Aaj Usi Jaan Ko Bhula Dia Hai Usne
Aas Thi Jinse Hamein Khushi Ki Yaaro,
Usne Hi Zindagi Mein Gham Milaye Meri,
Yakin Hai Humko Ek Din Tanhai Mein,
Kabhi Toh Yaad Karegi Woh Wafaye Meri,
Teri Yaadein Jab Satane Lage Mujhko,
Dil Halka Karne Ko Ro Leta Hu,
Kabhi Hoton Se Kabhi Aankho Se Lagakar,
Tera Rumal Asko Se Bhigo Leta Hu
Kyu Hame Kisiki Talash Hoti Hai
Kyu Dil Ko Kisiki Aas Hoti Hai
Chand Ko Dekho Vo B Tanha Hai
Fir B Uski Chandni Se Roshan Raat Hoti Hai
Kya rabta kisi ki judaai se mera,
Bharta hi nahin dil kabhi tanhai se mera.
Kitna Dur Nikal Gye Riste
Nibhate Nibate,
Khud Ko Kho Diya Humne Apno
Ko Pate Pate,
Log Kahte Hai Dard Hai Mere Dil Me,
Aur Hum Thak Gye Muskurate Muskurate
Chhod Gaye Pardesh Mujhe,
Kya Khat Likhna Bhi Bhool Gaye,
Main Aisi Abhagan Hu,
Mujhe Yaad Karna Bhi Bhool Gaye,
Khat Likhne Se Kya Fayda,
Jab Jawab Aap Dete Hi Nahin,
Tanhai Mein Rone Se Kya Fayda,
Jab Aap Pass Aate Nahin
Usne Mujhe Apni Bewafai Ka Sabut De Diya,
Mujhe Meri Khushiyo Ki Judai Ka Sabut De Diya,
Usne Dikha Diya Ishq-E-Wafa Ka Anjaam Kya Hota Hai,
Mujhe Duniya Ki Bheed Me Meri Tanhai Ka Sabut De Diya.
Woh paas hi na aaye toh izhaar kya karte,
khud bane nishana toh shikar kya karte,
marne par bhe khuli rahi hamari Aankhein,
issey zyada kisi ka intezar kya karte
unse ab koi wasta to nahi hai,
Lekin unke hisse ka waqt aaj bhi “TANHA” guzarta hai..
Akele Baith Kya Sochte Ho,
Ye Tanhai Hai Dakhil Bekasi Mein,
Tumhe Khul Jaayegi Dil Ki Tamanna,
Abhi Hai Band Khusbu Is Kali Mein,
Woh Lekar Kya Karen Ask Ke Dil,
Kisi Mein Daag Hai Kanta Kisi Mein,
Tumhe Kya Chhodkar Khush Ho Eh Daag,
Ki Tum Toh Roye Dete Ho Khusi Mein
Tanha Sa Tha Duniya Ki Bheed Me
Socha Koi Apna Nahi Takdeer Mein
Ek Din Jab Dosti Ki Aapse To Yun Laga
Kuch Khaas Tha Mere Haath Ki Lakeer Mein