Ek Raat Hui Barsaat Bahut
Main Roya Saari Raat Bahut
Har Gham Tha Zamaane Ka Lekin
Main Tanha Tha Us Raat Bahut
Phir Aankh Se Ek Saawan Barsa
Jab Sehar Hui To Khyal Aaya
Woh Baadal Kitna Tanha Tha
Jo Barsa Saari Raat Bahut
Lo aaj Phir Ronay Laga hai Asmaan,
Ban ke Barish,
Shayad Aaj us ko Phir
Ehsas Hua Hai Meri Tanhai ka
Meri Zindagi Mujhe Ye Bata,
Mujhe Bhula Ke Tujhe Kya Mila,
Meri Hasrato Ka Jawab De,
Mujhe Rula Ke Tujhe Kya Mila,
Tere 4 Din Ke Pyar Se,
Mujhe Umar Bhar Ka Gam Mila,
Mai To Toot Ke Bikhar Gaya,
Magar Mujhe Tod Ke Tujhe Kya Mila
जिंदगी देने वाले, मरता छोड़ गये,
अपनापन जताने वाले तन्हा छोड़ गये,
जब पड़ी जरूरत हमें अपने हमसफर की,
वो जो साथ चलने वाले रास्ता मोड़ गये
Tanha rehne ko majbur ho gaya hoon main,
Tujhe yaad karke zamaane Se kho gaya hoon main,
Yun na jgaa mujhe gehri neendon se zalim,
Odh ke kafan kabar mein so gaya hoon main
Ek Pal Ka Ehsas Bankar Ate Ho Tum
Dosre Hi Pal Khuwab Bankar Ur Jate Ho Tum
Janty Ho K Lagta Hia Dar Tanhaiyo se
Phr Be Bar Bar Tanha Chor jate ho Tum
Wo aksar tanha chhod jate hain
Bas mera dard mere sath rah jata hai
Main hanskar gale lag jata hu
Jab dard akela rah jata hai
Waqt Guzrega Toh Hum Sambhal Jayenge
Maut Se Pehla Samajh Jayenge
Ki Bewafai Unki Fitrat Hai, Na Ki Majburi
Tanhai Mein Hi Sahi, Hum Phir Se Bus Jayenge
Ajib tarah se socha tha zindgi k liye..
jina marna tha sirf usi k liye.
wo mujhko tanha chhod gye to
yaqeen aaya ki koi bhi nhi marta kisi k liye
Akela Mehsoos Karo Jab Tanhai Mein
Yaad Meri Aaye Jab Judai Mein
Main Tumhare Pass Hun Har Pal
Jab Chahe Dekh Lena Apni Parchhayi Mein
Tammana Se Nahi Tanhai Se Darte Hain
Pyaar Se Nahi Ruswaai Se Darte Hain
Milne Ki To Bohat Chahat Hai
Par Milne Ke Baad Judaai Se Darte Hai
kisi ko pyar ki sachhayi mar dalegi,
kisi ko dard ki gaharayi mar dalegi,
Bichhad ke koi jee nahi sakata,
jo bach gaya use tanhayi mar dalegi
Aansuon Ko Bahut Samjhaya,
Ki Tanhai Mein Aaya Karo,
Is Tarah Mahfil Mein,
Hamara Majak Mat Udaya Karo,
Is Par Aansu Tadap Kar Kahte Hain,
Itne Logon Mein,
Aapko Tanha Paate Hain,
Isiliye Chale Aate Hain
Hum Apni Hasti Mitakar Bhi Tanha Hain
Sab Kuch Luta Kar Bhi Tanha Hain
Log Door Tak Jate Hain Kisi Ke Liye
Aur Hum Uske Paas Rehkar Bhi Tanha Hain
Ajeeb Lagti Hai Shaam Kabhi kabhi,
Zindagi lagti Hai BeJan kabhi kabhi,
Samajh Aaye To Mujhe B Batana k,
Q Karti Hai Yaadein Pareshan kabhi Kabhi
Mere Baad Kidhar Jaayegi Tanhaai,
Main Jo Maraa To Mar Jaayegi Tanhai,
Main Jab Ro Ro Ke Dariya Ban Jaunga,
Us Din Paar Utar Jaayegi Tanhaai,
Tanhhai Ko Ghar Se Rukhsat Kar To Do,
Socho Kis Ke Ghar Jaayegi Tanhaai,
Veerana Hun Aabadi Se Aaya Hun,
Dekhegi Toh Dar Jayegi Tanhaai,
Yun Aao Ki Paon Ki Bhi Aawaj Na Ho,
Shor Huva Toh Mar Jaegi Tanhai
Tufaan Me Bikhrate Chale Gaye
Tanhai Ki Gehrai Me Utarte Chale Gaye
Jannat Thi Har Subah Sham Jin Dosto Ke Sath
Ek-Ek Kar Ke Sab Bichhadte Chale Gaye
Ek Kasak DilMe Dabi Reh Gayi,
Zndgi Me Unki Kami Reh Gyi,
Itna Pyar Karne Ke Baad Bhi wo Mujhe Na Mile,
Shayad Meri Mohbt Me Hi Kuch Kami Reh Gayi
Apno Ko Door Hote Dekha,
Sapno Ko Choor Hote Dekha,
Are Log Kahte Hain Ke Fool Kabhi Rote Nahin,
Hamne Foolon Ko Bhi Tanhaiyon Mein Rote Dekha
Jaa Chuke Hain Sab Aur Wahi Khamoshi Chaayi Hai
Pass Hain Har Oar Sannata, Tanhai Muskurai Hai