Humdum To Sath Sath Chalte Hain,
Raaste To Bewafa Badalte Hain,
Tera Chehra Hai Jab Se Aankhon Mein,
Meri Aankhon Se Log Jalte Hain.
Tera Chehra Jab Samne Aaya,
Mera Dil Dekh Tumko Muskuraya,
Shukr Karta Hu Ma Us Khuda Ka,
Jisne Mujhe Tujhse Milaya.
Tera chehra aaj bhi masoom hai,
Aaj bhi meri chahat main wahi sukoon hai,
Tere chehre pe ek muskan ke liye,
Jaan bhi waar de aisa mere pyar ka junoon hai.
Kitni khoobsurat ho tum,
kitna haseen chehra hai tumhara,
log kate hain tumhe chaand ka tukda,
main kahta hoon chaand tukda hai tumhara.
Khayal me aata hai jab us ka Chehra,
To labon pe aksar faryaad aati hai,
Hum bhool jate hai us k sare sitam,
Jab us ki thori si mohabbat yaad aati hai.
Uss haseen chehre ki kya baat hai,
Har dil aziz, kuch aisi uss mein baat hai,
Hai kuch aisi kashish uss chehre mein,
Ke ek jhalak ke liye saari duniya barbad hai .
Nikalo Apna Chaand sa Chehra Agosh-e-Bistar se,
Subha Taras Rhi Hai Tera Deedar Karne Ko,
Aap khubsurat hain itne,
ke har shakhs ki zuban par aap hi ka tarana hai,
hum nacheez to kahan kisi ke kaabil,
aur aapka to khuda bhi diwana hai.
Itne Haseen Chehre Ko Dekh Kar Chand Bhi Sarma Gaya,
Aaya Mere Paas Or Chupke Se Farma Gaya,
Ke Jaa Rha Hu Main Chhupane Ko Apni Ye Khoobsoorti,
Kyu Ki Mujh Se Bhi Haseen Koi Aaya Or Iss Jahaan Per Chha Gaya.
Chaand Sa Yeh Chehra Dekhne Ke Izazat De Do,
Mujhe Ye Shaam Sajane Ki Izazat De Do,
Mujhe Qaid Kar Lo Apne Ishq Mein Ya Fir,
Mujhe Ishq Karne Ki Izazat De Do.
Chand sa tera masoom chehra Tu haya ki ek murat hai,
Tujhe dekh ke kaliyan bhi sharmaye Tu itni khoobsurat hai.
Ek adaa aap ki dil churaney ki,
Ek ada aapki dil me bs jane ki,
Ek chehra aap ka chand sa,
Or ek jid hamari chand pane ki.
Kitna Hasin Chaand Sa Chehra Hai,
Uspe Shabab Ka Rang Gehra Hai,
Khuda Ko Yakin Na Tha Wafa Pe,
Tabhi To Ek Chaand Pe Hazaaro Taaro Ka Pehra Hai.
Kitni khoobsurat ho tum,
kitna haseen chehra hai tumhara.
log kate hain tumhe chaand ka tukda,
main kahta hoon chaand tukda hai tumhara
Aap khubsurat hain itne,
ke har shakhs ki zuban par aap hi ka tarana hai,
hum nacheez to kahan kisi ke kaabil,
aur aapka to khuda bhi diwana hai.
Na Jaane Kya Maasumiyat Hai Tere Chehre Mein,
Saamne Se Zyada Tujhe Chhup Ke Dekhna Acha Lagta Hai.