Khuda Naseeb Kare Un Ko Daayami Khushiyaan
‘Adam’ Jo Log Hamein Be-Qaraar Rakhte Hain
Achchaa! Yaqeen Nahin Hai To Kashti Dubo Ke Dekh
Ek Tu Hi Naa-Khuda Nahin Zaalim, Khuda Bhi Hai
Nikal Kar Dair-O-Ka’baa Se Agar Milta Na Mai-Khana
To Thukaraaye Huey Insaan Khuda Jaane Kahaan Jaatey
Na Kahin Jahaan Mein Amaan Mili,
Jo Amaan Mili To Kahaan Mili,
Mere Jurm-E-Khana Kharaab Ko,
Tere Ufw-E-Banda Nawaaz Mein
Safeena Jab Ke Kinaare Pe Aa Laga, ‘Ghalib’,
Khuda Se Kya Shikwa-E-Jaur-E-Nakhuda Kahiye
Raqeebon Ne Rapat Likhwaai Hai Ja Ja Ke Thaane Mein,
Ke Akbar Naam Leta Hai Khuda Ka Is Zamaane Mein
Laakh Dhoonden, Gauhar-E-Maqsood Mil Sakta Nahin,
Hukm Gar Tera Na Ho, Patta Bhi Hil Sakta Nahin
Allah Re Kamaal-E-Khudi Ki Wus’aten
Mera Hi Saamna Hai Jidhar Dekhta Hoon Main
Us Ka To Noor Jalwa-Numa Har Bashar Mein Hai
Ai Ghaafilo Futoor Tumhaari Nazar Mein Hai
Aankh Bhi Chaahiye Nazzaara-E-Wahdat Ke Liye
But Ko Aasaan Nahin Munh Se Khuda Kah Dena
Woh Hai Sab Jagah Jo Karo Nazar, Woh Kahin Nahin Jo Ho Be-Basar,
Mujhe Aaj Tak Na Hui Khabar, Woh Kahaan Hai, Aur Kahaan Nahin
Jahaan Toofaan Mein Phans Kar Safeena Dagmagaata Hai,
Wahaan Qadar-E-Khuda-O-Na-Khuda Maaloom Hoti Hai
Aql Mein Jo Ghir Gaya, La Intehaa Kyonkar Hua,
Jo Samajh Mein Aa Gaya, Phir Woh Khuda Kyonkar Hua
Khuda Ka Matlab Hai Khud Mein Aa Tu, Khud Aagahi Hai Khuda Shanaasi,
Khuda Ko Khud Se Juda Samajh Kar Bhatak Raha Hai Idhar Udhar Kyon
Chamak Teri Ayaan, Bijli Mein, Aatish Mein, Sharaare Mein,
Jhalak Teri Hawaida Chaand Mein, Sooraj Mein, Taare Mein
Saudaagri Nahin, Yeh Ibaadat Khuda Ki Hai,
Ai, Be-Khabar, Jizaa Ki Tamanna Bhi Chhor De
Ghafil Khuda Ki Yaad Pe Mat Bhool, Zeenhaar,
Apne Taein Bhula De Agar Tu Bhula Sake