Main Aap Apni Talaash Mein Hoon
Mera Koi Rahnuma Nahin Hai
Woh Kya Dikhayen Ge Raah Mujh Ko
Jinhen Khud Apna Pataa Nahin Hai
Ye In Ke Mandir, Ye In Ki Masjid
Ye Zar-Paraston Ki Sajda-Gaahen
Agar Ye Inke Khuda Ka Ghar Hai
To In Mein Mera Khuda Nahin Hai
Is Saadgi Ko Kaun Na Apnaaye Ai Khuda!
Dil Haath Bhi Uthaata Nahin Aur Dua Buland
Jab Makaan-O-Laa-Makaan Sab Se Guzar Jaataa Hoon Main
Allah-Allah Tujh Ko Khud Apni Jagah Paataa Hoon Main
Main Ne Din Raat Khuda Se Ye Du’aa Maangi Thi
Koi Aahat Na Ho Dar Pe Mere Aur Tu Aaye
Ye Roz-Marra Ke Kuch Vaaqeyaat-E-Shaadi-Wa-Gham
Mere Khuda Yehi Insaan Ki Zindagaani Hai
Allah To Sab Ki Sunta Hai, Jurrat Hai ‘Shakeel’ Apni Apni
Haali Ne Zubaan Se Kuchh Na Kaha, Iqbal Shikaayat Kar Baithey
Khuda Ke Waastey Parda Na Ka’bey Se Uthaa Zalim
Kahin Aisa Na Ho Yaan Bhi Wohi Kaafir Sanam Nikley
Tujhe Is Se Ziyada Koi Samjha Hi Nahin Sakta
Khuda Woh Hai Jo Hadd-E-Aqal Mein Aa Hi Nahin Sakta
Button Se Tujhe Umeeden Khuda Se Naa-Umeedi
Mujhe Bata To Sahi Aur Kaafiri Kya Hai
Aa Jaao Ge Haalaat Ki Zadd Per Jo Kisi Din
Ho Jaaye Ga Ma’loom Khuda Hai Ke Nahin Hai
Baatein Bhi Ki Khuda Ne Dikhaaya Jamaal Bhi
Vallaah Kya Naseeb Janaab-E-Kaleem Tha
Jis Ko Bhi Sheikh-O-Shaah Ne Hukm-E-Khuda Diya Qaraar
Hamne Nahin Kiya Woh Kaam Haan Baa-Khuda Nahin Kiya
Bada Sukoon Hai, Din Chain Se Guzarte Hain
Ham Ab Kisi Se Nahin Bas Khuda Se Darte Hain
Yaad-E-Khuda Ka Waqt Bhi Aaye Ga Koi Ya Nahin ?
Yaad-E-Gunah Kab Talak Shaam-O-Sahar Namaaz Mein ?
Gawaahi Kaise Tootti, Mu’amla Khuda Ka Tha
Mera Aur Uss Ka Raabta To Haath Aur Dua Ka Tha