Lafzon Ke Fasaane Dhoondhte Hain Hum Log,
Lamhon Mein Zamaane Dhoondhte Hain Hum Log,
Tu Zeher Hi De Sharaab Keh Kar Saqi,
Peene Ke Bahaane Dhoondhte Hain Hum Log
Sab Kehte Hain Ki Buri Hai Yeh Sharaab,
Maine Bhi Maana Ki Yeh Sharaab Nasha Chadati Hai,
Fir Puchte Hain Sab Mujhse Ki Kyon Peeta Hun Main,
To Kya Bataun Yaaro Yeh Sharab Hi Hai Jo Unka Gham Bhulati Hai
Kaash Humein Bhi Koi Samjhane Wala Hota,
To Aaj Hum Itne Nasamjh Na Hote,
Kaash Koi Ishq Ka Jaam Pilane Wala Hota,
To Aaj Hum Bhi Is Sharab Ke Deewane Na Hote
Kal Ke Liye Kar Aaj Na Khisat Sharab Mein,
Yeh Suu-e-Zan Hai, Saqi-e-Kausar Ke Baab Mein
Kuch Bhi Bacha Na Kehne Ko Har Baat Ho Gayi,
Aao Kahin Sharab Piyein Raat Ho Gayi
Wo Bhi Din The Jab Hum Bhi Piya Karte The,
Yun Na Karo Humse Peene Pilane Kee Baat,
Jitni Tumhare Jaam Mein Hai Sharab,
Utni Hum Paimaney Mein Chod Diya Karte The
Main Talakhiye Hyaat Se Ghabra Ke Pee Geya,
Gham Kee Siyah Raat Se Ghabra Ke Pee Geya,
Itni Dakik She Koi Kaise Samajh Sake,
Yazdan Ke Vakiyat Se Ghabra Ke Pee Geya
Mehfil-e-Ishq Sajao To Koi Baat Bane,
Daulat-e-Ishq Lutao To Koi Baat Bane,
Jaam Haathon Se Nahi Hai Peena Mujhko,
Kabhi Aankhon Se Pilao To Koi Baat Bane
Aaj Pee Lene De Jee Lene De Mujhko Saqi,
Kal Meri Raat Khuda Jaane Kahan Guzregi
Ye Kaali Kaali Botlein Jo Hain Sharaab Kee,
Raatein Hain In Mein Band Hamare Shabaab Kee
Aaye The Hanste Khelte Mai-Kane Mein ‘Firaq’,
Jab Pi Chuke Sharab To Sanjida Ho Gaye
Pi Liya Karte Hain Jeene Ki Tamanna Mein Kabhi-Kabhi,
Kyonki Dagmagana Bhi Zaroori Hai Sambhalne Ke Liye
Kyon Intezar Karen Kisi Mehkti Hui Shaam Ka,
Teri Nazron Se Hi Chalakta Hai Nasha Kisi Madira Ke Jaam Ka
Pehle Sharaab Zeesat Thi Ab Zeesat Hai Sharaab,
Koi Pila Raha Hai Piye Ja Raha Hun Main
Nazar saaki par hain aur lab paimaane par,
Dil hamara hai aaj fir kisi ke nishaane par.
Woh khaali pyala liye lete hain kabar main apni,
Kehte hain sharab milaegi jannat kay aane par
Hamari kahani sun saki ki bhi aankhon main aansoo aa jate hain,
Saare maikhane ki sharab peekar bhi hum nashe main nahi aate hain,
Kya karein saki ab to itni jyada peene lage hain,
Kay hum maikhane main bhi darwaje se lauta diye jate hain
Mohabbat yahan bikhti hai aur ishq neelaam hota hai,
Bharose ka katal yahan khule aam hota hai.
Zamane se thokar milli to chale hum maikhane mein,
Aur wahi zamana hame sharabi sare aam kehta hai
Jaam se kabhi itni nafrat naa karo,
Ki peena chaho to kabhi pee na sako.
Kisi ko bhi itna pyar na karo,
Ki bichad kar jeena chaho to jee na sako