Teri aankhon ke ye jo pyale hain,
Meri andheri raaton ke ujale hain,
Peeta hoon jaam par jaam tere naam ka,
Hum to sharabi be-sharab wale hain
Jab peene se nafrat thi mujhe to zabardasti pilayi yaaron ne,
Ab aadat pad gayi peene ki to machaayi e duhayi yaaron ne,
Maine maana janab peeta hu peeta hu be-hisaab peeta hu,
Log logon ka khoon peete hai main to phir bhii sharab peeta hu
Rehta hu maikhane mein to sharabi na samaj mujhe,
Har wo shakhs jo masjid se nikle namazi nahi hota
Khali Hai Abhi Jaam, Mein Kuchh Sochh Raha Hun,
Aaye Gardishe Ayyam, Mein Kuchh Sochh Raha Hun,
Saaqi, Saagar Ko Zarra Thaam, Mein Kuchh Sochh Raha Hun
Yaaron Ki Mehfil Aise Jamai Jaati Hai,
Kholane Se Pehle Botal Hilaayi Jati Hai,
Fir Tute Dil Waalon Ko Awaaz Lagayi Jati Hai,
Ke Ao Yahan, Dard-e-DiL Ki Dawa Pilayi Jati Hai
Gham-E-Dunia Mein Gham-E-Yaar Bhi Shaamil Kar Lo,
Nasha Badhta Hai Sharabein Jo Sharabon Mein Milen To
Teri Yaad Ne Hamhe Jeene Na Diya,
Chain Se Humko Ab Marne Na Diya,
Hum Peete Hai Teri Yaad Me Zalim,
Par Iss Duniya Ne Hame Peene Na Diya
Hamesha Yaad Aati Hai Unki,
Aur Mood Ho Jata Hai Kharab,
Tab Hamesha Lekar Baithe Hai Hum,
Ek Hath Me Kalam Aur Ek Hath Me Sharab
Nasha Mohabbat Ka Ho Ya Sharab Ka,
Hosh Dono Mein Koh Jate Hai,
Fark Sirf Itna Hai Ke Sharab Sula Deti Hai,
Aur Mohabbat Rula Deti Hai
Saaqi Dekh Zamaane Ne, Kaisi Tohmat Lagayi Hai,
Aankhein Teri Nasheeli Hai, Sharabi Mujhe Kehte Hai
Kuch Nasha To Aapki Baat Ka Hai,
Kuch Nasha To Dheemi Barsaat Ka Hai,
Humein Aap Yun Hi Sharabi Na Kahiye,
Is Dil Par Asar To Aap Se Mulakat Ka Hai
Tohfe Mai Mat Gulaab Lekar Aana,
Meri Qabr Par Mat Chiraag Lekar Aana,
Bahot Pyaasa Hoon Barso’n Se Main,
Jab Bhi Aana Sharaab Lekar Aana
Peenay De Sharab Masjid Main Baid Kay Ghalib,
Ya Woh Jaga Bata Jahan Khuda Nahin Hai
Kehte Hai Peene Wale Mar Jate Hai Bhari Jawani Me,
Hum Ne Toh Dekha Hai Buzurgo Ko Jawan Hote Maikhane Me
Har Kisi Baat Ka Koyi Jawaab Nahi Hota,
Har Naam Ishq Mein Kharab Nahi Hota,
Yun To Jhum Lete Hain Nashe Me Rehne Wale,
Magar Har Nashe Ka Naam Sharab Nahi Hota
Yu Toheen Naa Kar Sharaab Ko Kadwa Keh Kar,
Zindgi Ke Tajurbe Sharaab Se Bhi Kadwe Hote Hein
मैखाने मे आऊंगा मगर पिऊंगा नही,
साकी ये शराब मेरा गम मिटाने की औकात नही रखती।
Mahekta Hua Jism Tera Gulab Jaisa Hai,
Neend Ke Safar Mein Tu Khwaab Jaisa Hai,
Do Ghoont Pee Lene De Aankhon Kee Mastiyan,
Nasha Teri Aankhon Ka Sharab Ke Jaam Jaisa Hai