Deta Raha Fareb Koi Sadgi Ke Sath,
Itna Bada Majak Meri Zindgi Ke Sath,
Shayad Saja Mili Hai Us Jurm Ki Hume,
Humne Pyar Hi Kiya Ek Ajnabi Ke Sath
Aajnabee Se Dost Jab Banati Hai Dosti,
Dil Ke Karib Dil Ko Lati Hai Dosti
Sare Farq Bus Yun Hi Mitati Hai Dosti,
Khushi Aur Gum Mein Gana Sikhati Hai Dosti
Dost Ke Liye Jina Sikhati Hai Dosti,
Dhadkan Ka Sur Ban Jati Hai Dosti
Ajnabi Ki Tarah Mile Or Ulfat Ho Gayi,
Ajnabi Dost Aesa Mile Ki Dosti Ho Gayi,
Sachi Dosti Ka Irada Tha Unse,
Lekin Muje Unse Sachi Mahobbat Ho Gayi
Koi Ajnabi Jab Apna Ban Jaye,
Raah Me Roshni Ki Shama Jalaye,
Har Pal Yaad Karke Jab Koi Muskuraye,
Wahi To Hai Apna Jiski Har Khushi Humari Zindgi Ban Jaye
Duniya me sabhi hain ajnabi,
Hum hain aap ke liye ajnabi,
Aap hain mere liye ajnabi,
Ye ajnabi hi ban jate hain zindgi,
Kyuki ajnabi se hi hoti hai mohabbat aur dosti
Woh Kaath Ke Purze Ura Raha Tha
Hawaoon Ka Rukh Dikha Raha Tha
Kuch Aur Bhi Ho Gaya Numaayan
Main Apna Likha Mita Raha Tha
Wo Ek Din Ek Ajnabi Ko
Meri Kahani Suna Raha Tha
Dil Mein Aansuon K Siwa Koi Cheez Nahi Tikti
Kab Milegi Uski Yaadon Se Mujhe Mukhti
Zindegi Toh Mela Hai Ajnabiyon Ka
Kisi Ajnabi K Chale Jane Se Zindegi Toh Nahi Rukhti
Yun Nazar Ki Baat Aur Dil Chura Gaye,
Andhero Ke Saaye Mein Dhadkan Suna Gaye,
Hum To Samjhe The “Ajnabi” Aapko,
Aap To Hume Apna Bana Gaye
Zindagi Mein Har Chiz Pahli Baar Hoti Hai
Kahin Kisi Se Pyaar To Kahin Takrara Hoti Hai
Jo Kya Hua Ke Hum Ajnabi Hai Aapke Liye
Magar Dosti Ajnabiyon Se Hi Pahli Baar Hoti Hai
Ek Ajnabi Hai Magar,Rooh-Shanas Lagta Hai
Meri Tarha Mujhe,Wo Bhi Udaas Lagta Hai
Karon Talash Tou Ho Shak Wajood Pe Us K
Jo Aankhain Band Karon,Aas Paas Lagta Hai
Ek Ajnabi Se Mujhe Itna Pyaar Kyon Hai,
Inkar Karne Par Chahat Ka Ikraar Kyon Hai,
Use Pana Nahi Meri Taqdeer Mein Shayad,
Phir Har Mod Pe Usi Ka Intezaar Kyon Hai
Usse Yakeen Ho Jaye Kuch Iss Ada Se
Sunana Hall-E-Dil Hamara Ajnabi …
Woh Khud Hi Keh De Kisi Ko Tarpana Buri Baat Hai
Bheer Mein Ik Ajnabi Ka Saamna Acha Laga
Sub Se Chup Kar Wo Kisi Ka Dekhna Acha Laga
Surmayi Ankhon K Neechay Phool Se Khilnay Lagay
Kehtay Kehtay Kuch Kisi Ka Sochna Acha Laga
Baat Tau Kuch B Nahi Thi Laikin Is Ka Aik Dum
Haat Ko Honton Pe Rakh K Rokna Acha Laga
Dil Main Kitnay Ahad Bandhay Thay Bhoolnay K Usay
Wo Mila Tau Sub Iraday Torna Acha Laga
Jis Shakhs Ki Khatir Ujarha Khud Ko
Kal Shab Ja Raha Tha Ik Ajnabi K Sath
Wo Ajnabi Tha To Mujse Dil Lagaya Kyun?
Is Gair Ko Apna Banaya Kyun ?
Wo Mera Hota To Mujhe Chhod K Kyun Jata?
Wo Mera Nahi Tha To Meri Zindagi Me Aya Kyun?
Ajnabi Mehfil Mein Kisi Se Dil Na Lagana.
Suna Hai Bin Bulaye Anay Waly Bin Bataye Chaly Bhi Jate Hain
Wo Ajnabi Say Koi, Rishta Zaroor Hai
Maine Kisi Jaghan Use Dekha Zaroor Hai
Ye Aur Baat Hai Wo Milta Nhi Humein
Lakin Humare Pas Wo Rehta Zaroor Hai
Hum Hi Samajh Na Paye Tu, Us Ka Qasoor Kiya
Kuch Khamoshi Ke Lub Se Wo Kehta Zaroor Hai
Sansoon Ke Aane Jane Sy Milta Hai Ye Ehsas
Es Dil Mein Koi Aj Bhi Rehta Zaroor Hai
Dil Ke Ghar Mein Basne Wale Ajnabi Nahi Hote
Har Waqt Yaad Ane Wale Ajnabi Nahi Hote
Khushi Dene Wale To Apne Hote Hain
Par!Gham Dene Wale Bhi Ajnabi Nahi Hote
Kabhi Jo Hum Pe Jaan Diya Karti Thi
Jo Kehte Thy Wo Maan Liya Karti Thi
Kal Anjaan Ban Kr Pass Se Guzar Gyi
Woh Jo Door Se Pehchan Liya Karte Thi