Aankhen Shayari - Page 2 - Hindi Shayari

Jaruri Toh Nahi

ज़रूरी तो नही की मोहब्बत को लफ़्ज़ों में बया करू, इधर देखो क्या मेरी आँखें तुम से कुछ नही कहती

Woh Jiske Saamne Humne

Wo Jiske Saamne Humne Ye Sar Jhukaya Hai,
Khuda Nahi Hai, Par Usko Khuda Banaya Hai…
Wafa Hai Unki aabkhon mein, Magar Be’wafa Sa Lagta Hai,
Ajab Tarah Ka Hi Usne Mizaaj Paya Hai

Raat Gujri To Mehakti Subah Aayi

Raat Gujri To Mehakti Subah Aayi,
Chand Dhal Gaya Suraj Ki Roshani
Aayi,
Neend Uddhi Subah Ki Taazgi Aayi,
Aur Aankhe’n Jo Khuli To Aap Ki Yaad
Aayi

Har Nazar Ko Ek Nazar

Har nazar ko ek nazar ki talash hai,
Har chehre mein kuchh to ehsah hai,
Aapse dosti hum yun hi nahi kar
baithe,
Kya karen hamari pasand hi kuchh
KHAAS hai

Khwab Bankar Teri Aankho Me

Khwab Bankar Teri Aankho Me
Samana Hai,
Dava Bankar Tere Har Dard Ko
Mitana Hai,
Hasil Hai Mujhe Jamane Bhar Ki
Khushiyan,
Meri har khushi ko bas tujh par
lootana hain

Teri Nigahon Ke Yoon Hi Kayal The

Teri Nigahon Ke Yoon Hi Kayal The
Hum,
Kya Jaroorat Thi Aajmane Ki,
Yoon Hi Behosh Pade Hai Teri Rahon
Main,
Kya Jaroorat Thi Alag Se Muskurane
Ki

Meri Aankhe Jhuthi Thi

Meri Aankhe Jhuthi Thi Ya Jismo Par Aaine The,
Har Chehre Mein Maine, Apna Hi Chehra Dekha

Teri Aankhon K Jadu

तेरी आँखों के
जादू से तू ख़ुद नहीं
है वाकिफ़;
ये उसे भी
जीना सीखा देता
जिसे मरने का शौक़ हो।

Teri Aankhon Se Kaash

Teri aankhon se kaash koi ishara to hota
Kuchh hi sahi ik jeene ka sahara to hota
Tod dete duniya ki hadon ko ham
Ik baar toone mohabbat se pukara to hota

Meri Aur Uski Aankhen

Meri aur uski aankhen
kitni milti julti hain
ek jaisi rangat wali hain
farq hai to bas itna sa
meri aankhon mai rang hai uska
uski aankhen khali hain

Pyar Chupta Nahi Ankhen

pyar chupta nahi ankhen chupane se,
dil rukta nahi kisi k samjane se.

Ruk jati hai dhadkan tujhe bhul jane se,
hum tujhe yaad karte hai jeene k bahane se

Bikhri Ankhon Se Moti

Bikhri ankhon sey moti hum piro na sakey
teri yaad me sari raat so na sakey

beh na jayain ansuon me tasvir teri,
ye soch kar hum ro na sakey

Yaad Mein Teri Aankhe

Yaad mein teri aankhe bharta hai koi,
har saans ke saath tujhe yaad karta hai koi,
maut to sachai hai aani hai,
lekin teri judaai mein har roz marta hai koi

Teri Bewafai Ko Us

Teri bewafai ko us wafa k saath nibhayenge,
K teri ankhon say bhi aansoo nikal jayenge,

Yeh wada hai k hum tujhe us mod tak layenge,
Jahan hum apna dard teri aankhon say chalka kay dekhayenge

Hai Husan Ka Purkaif

Hai husn ka purkaif nazara teri aankhe!
gar chand mera dil, to sitara teri aankhe!

jab jab bhi padhun inko mohabbat ki nazar se.
Lagti hain ek taza shumara teri aankhen

Yaad Mein Teri Aankhe

Yaad mein teri aankhe bharta hai koi,
har saans ke saath tujhe yaad karta hai koi,
maut to sachai hai aani hai,
lekin teri judaai mein har roz marta hai koi

Nashili Aankhon Se Woh

Nashili aankhon sey woh jab hamein dekhte hain,
hum ghabraa kar ankhen jhuka laitay hain,

kaun milaye unn ankhon se ankhen,
suna hai wo ankho se apna bana laitay hain

Aap Ki Aankhen

Aap ki aankhen, Unchi hui to dua ban gai,
Nichi hui to haya ban gai,
Jo jhukh kar uthi to khata ban gai,
Aur uth kar jhuki to ada ban gai

Kaise Bhulu Un Zaalim

Kaise Bhulu Un Zaalim Aankhon Ko Mein.
Kar Di Hai Zindagi Meri Bezar..
Jo Pyar Ke Badle De Gayin Hai Bass Intezaar

Teri In Aankhon Mein

Teri In Aankhon Mein Doob Bhi Jaye To Koi Gam Nahi
Kam Se Kam Tere Palkon Ki Chhaon To Naseeb Hogi