Apni tabahiyon ka mujhe koi gham nahin,
Tumne kisi ke saath mohabbat nibha to di.
Mohabbat tark ki maine, girebaan sii liya maine,
Zamaane ab to khush ho zeher yeh bhi pii liya maine..
Wah afsana jise anjam tak, laana na ho mumkin,
Use ek khoobsurat mod dekar, chhodna achchha.
Chehre pe khushi chaa jaati hai ankhon me suruur aa jata hai,
Jab tum mujhe apna kehte ho apne pe ghuruur aa jata hai,
Tum hussn ki khud ik duniyaa ho shayed ye tumhe maluum nahin,
Mehfil mei tumhaare aaney se har cheez pe nuur aa jata hai,
Hum paas se tum ko kya dekhen tum jab bhi muqaabil hote ho,
Betaab nigahon ke aagay pardaa sa zaruur aa jata hai,
Jab tum se mohabbat ki hum ne tab jaa ke kahin yeh raaz khula,
Marne ka saleeqa aatey hi jeenay ka shauur aa jata hai..
Barbaad-e-mohabbat ki duaa sath liye ja,
Tuuta hua iqraar-e-wafaa saath liye ja,
Ik dil tha jo pehle hi tujhe somp diya tha,
Yeh jaan bhi ae jaan-e-adaa saath liye ja,
Taptii hui rahon se tujhe aanch na pohanche,
Diwanon ke ashkon ki ghataaa saath liye ja,
Shaamil hai mera khuun-e-jigr teri hinaa mei,
Yeh kum ho to khuun-e-wafaa saath liye ja,
Hum jurm-e-mohabbat ki saza paayen ge tanhaa,
Jo tujh se hui ho woh khataa saath liye ja.