Dil ke muaamale mein nateeje ki fiqr kya,
Aage hai ishq jurm-o-saza ke maqaam se.
Le de ke faqat apne paas ik nazar to hai,
Kyun dekhe zindagi ko kisi ki nazar se ham.
Hazaar barq girein, laakh aandhiyan uthe,
Wah phool khil ke rahenge, jo khilne waale hain.
Nai duniya mein kuchh beete dino ke bhi nishaan honge,
Ajaaibkhaanon mein rakhenge, deeno ko imaano ko.
Na koi jaada, na manzil, na raushani, na suraag,
Bhatak rahi hai khalaaon mein zindagi.
Dekha hai zindagi ko kuchh is kareeb se,
Chehare tamaam lagne lage hain, ajeeb se.
Tang aa chuke hain kashmkash-e-zindagi se hum,
Thukra na dein jahan ko kahin bedili se hum.
E gham-e-duniya tujhe kya ilm tere waaste,
Kin bahaano se tabiyat raah pe laai gai.
Ummeed waqt ka sabse bada sahara hai,
Gar hausala hai to har mauj mein kinaara hai.
Ubhrenge ek baar abhi dil ke walwale,
Go dab gaye hain baare-gham-zindagi se hum.
Unhein apna nahin sakta magar itna bhi kya kam hai,
Ki kuchh muddat haseen khwaabon mein khokar jee liya maine.
Lo aaj humne tod diya rishta-e-ummeed,
Lo ab kabhi gila na karenge kisi se hum.
Yeh mana kisi qaabil nahin hun in nigaahon mein,
Bura kya hai agar is dil ki veerani mujhe de do.
Main dekhoon to sahi yah duniya tujhe kaise sataati hai,
Koi din ke liye tum apni nigahbaani mujhe de do.
Mere khwaabon ke jhrokhon ko sazaane waali,
Tere khwaabon mein kahi mera gujar hai ki nahin.
Meri jaan tujh pe sadke, ehsaan itna kar do,
Meri zindagi mein apni chaahat ka rang bhar do.
Phir na kije meri gustaakh nigaahon ka gila,
Dekhiye aapne phir pyaar se dekha mujhko.
Paas jaayein to hosh kho baithein,
Door rahiye to jaan pe banti hai.
Tere daaman mein gulista bhi hai veerane bhi,
Mera haasil, meri taqdeer, bata de mujhko.