Kis lutf se jhunjhla ke wo kahte hain shab-e-vasl,
Zaalim teri aankhon se gayi neend kidhar aaj.
Bahut dino se hai ye mashgala siyasat ka,
Ke jab jawan hon bachay tou qatal ho jayen.
Rooh ko shaad karey dil ko jo pur-noor kare,
Har nazare mein yeh tanveer kahan hoti hai.
Taaruf rog ban jaye toh usko bhulna behtar,
Taaluq bojh ban jaye toh usko todna acchha.
Tere bachpan ko jawani ki dua deti hoon,
Aur dua de ke pareshan si ho jati hoon.
Zindagi ek sulagti si chita hai “Sahir”,
Shola banti hai na ye bujh ke dhuaa hoti hai.
Kaun kehata hai muhabbat ki jubaan hoti hai,
Ye haqiqat to nigaahon se bayyn hoti hai.
Duniya mein tazrbaat-o-hawaadis ki shql mein,
Jo kuchh mujhe diya hai wo lauta raha hun main.
Lo aaj humne tod diya rishta-e-ummeed,
Lo ab kabhi kisi se gila na karenge hum.
Jaan-e-tanha pe gujar jaayen hazaaron sadme,
Aankh se ashq rawan ho ye jaruri to nahin.
Unke rukhsaar par dhalkte hue aansoo tauba,
Maine shabnam ko bhi sholon pe machalte dekha.
Kis darza dil-shiqan the mohabbat ke haadse
Hum zindagi mein phir koi armaan na kar sake
Abhi zinda hun lekin sochta rehta hun khalwat mein,
Ki ab taq kis tamnna ke sahaare jee liya maine.
Is rengati hayaat ka kab tak uthaaye baar,
Beemar ab uljhane lage hai tabeeb se.
Tujh ko khabar nahin magar ik saada-lauh ko,
Barbaad kar diya tere do din ke pyaar ne.
Chand kaliyaan nashaat ki chun kar muddaton mahav-e-yaas rehata hun,
Tera milana khushi ki baat sahi tujh se mil kar udaas rehati hun.
Bas ab to daaman-e-dil chhod do bekaar ummeedon,
Bahut dukh sah liye maine bahut din jee liya maine.
Is tarah zindagi ne diya hai humara saath,
Jaise koi nibaah raha ho raqeeb se.