Rahat Indori Shayari - Page 2 - Hindi Shayari

Roz Taaron Ko Numaish Mein

Roz taaron ko numaish mein khalal padta hain,
Chaand pagal hain andhere mein nikal padta hain,

Uski yaad aayi hain saanson, jara dhire chalo,
Dhadknon se bhi ibaadat mein khalal padta hain.

Ye Sahara Jo Na Ho To Pareshaan

Ye sahara jo na ho to preshaan ho jaaye,
Mushkile jaan hi lele agar aasan ho jaaye,

Ye kuch log fariston se bane firte hain,
Mere hatthe kabhi chad jaaye ti insaan ho jaaye.

Kam Sab Gerjaruri Hain

Kam sab gerjaruri hain, jo sab karte hain,
Aur hum kuch nahi karte, gajab karte hain,

Aap ki nazaron mein, sooraj ki hain jitni ajmat,
Hum charaagon ka bhi, utna hi adab karte hain.

Sarhadon Par Tanaav He Kya

Sarhadon par tanaav he kya,
Jara pata to karo chunaav hain kya,

Shaharon me to baaroodo ka mausam hain,
Gaonv chalo amroodon ka mausam hain.

Ishq Ne Goothe The Jo Gajre

Ishq ne goothe the jo gajre nukile ho gaye,
Tere haathon me to ye kangan bhi dheele ho gaye,

Phool bechare akele rah gaye hain shaakh par,
Gaonv ki sab titaliyon ke haath peele ho gaye.

Jawaan Aankhon Ke Jugnoo

Jawaan aankhon ke jugnoo chamak rahe honge,
Ab apne gaonv me amrood pak rahe honge,

Bhulade mujhko magar, meri ungaliyon ke nishaan,
tere badan pe abhi tak chamak rahe honge.

Naye Safar Ka Naya Intezaam

Naye safar ka naya inetzaam kah denge,
Hawa ko dhup, charaagon ko shaam kah denge,

Kisi se hatth bhi chhupa kar milaiye,
Warna maulvi saahab ise bhi haraam kah denge.

Jawaniyon Me Jawani Ko

Jawaniyon me jawani ko dhul karte hain,
Jo log bhul nahi karte, bhul karte hain,

Agar Anaarkali hain sabab bagaavat ka.
Salim hum teri sharten kabool karte hain.

Har Ek Harf Ka Andaaz

har ek harf ka andaaz badal rakha hain,
Aaj se humne tera naam gazal rakha hain,

Maine shaahon ki mohabbt ka bharm tod diya,
Mere kamre me bhi ek Tajmahal rakha hain.

Kabhi Mahak Ki Tarah Hum Gulon

Kabhi mahak ki tarah hum gulon se udate hain,
kabhi dhuyen ki tarah parvaton se udate hain,
Ye kechiya hume udne se khaak rokengi,
Ki hum paron se nahi housalon se udate hain.

Tujhe Pata Nahi Tera Gulam

Gulab, khwab, dwa, jahar, jaam, kya kya hain,
mein aa gay hun bata intzaam kya kya hain,

Fakir, shaah, kalndar, imaam, kya kya hain,
Tujhe pata nahi tera gulam kya kya hain.

Masjidon Ke Sahan Tak Jana

Masjidon Ke Sahan Tak Jana Bahut Dushvar Tha,
Der Se Nikala To Mere Raste Mein Dar Tha,
Apne Hi Phailao Ke Nashe Mein Khoya Tha,
Darakht Aur Har Masum Tahani Par Phalon Ka Bar Tha.

Shaakhon Se Toot Jaaye Wo Paate

Suraj, sitaare, chaand mere saath me rahe,
jab tak tumhare haath mere haath me rahe,

Shaakhon se toot jaaye wo patte nahi hain hum,
Aandhi se koi kah de ki aukaat me rahe.

Log Har Mod Pe Ruk Ruk Ke

Log Har Mod Pe Ruk Ruk Ke Sambhalate Q Hain,
Itna Darate Hain To Phir Ghar Se Nikalate Q Hain,
Main Na Jugnu Hun Diya Hun Na Koi Tara Hun,
Roshni Wale Mere Naam Se Jalate Q Hain.

Jagne Ki Bhi Jagane Ki Bhi Aadat Ho Jaye

Jagne ki bhi jagane ki bhi aadat ho jaye,
Kash tujh ko bhi kisi shayer se mohbbt ho jaye,

Door hum kitne dinno se hain ye kabhi gaur kiya,
Fir na kehna jo ayanat me khayanat ho jaye.

Intezamat Naye Sire Se

Intezamat Naye Sire Se Sambhale Jayen,
Jitne Kamzarf Hain Mehafil Se Nikle Jayen,
Mera Ghar Aag Ke Lapaton Mein Chupa Hai,
Lekin Jab Maza Hai Tere Aangan Mein Ujale Jayen.

Aankhon Mein Paani Rakho

Aankhon mein paani rakho, hothon pe chingaari rakho,
Jinda rahna hai to tarkibe bahut saari rakho,

Raha ke patthar se badh ke kuch nahi hain manjilen,
Raaste aawaz dete hain safar jaari rakho.

Dosti Jab Kisi Se Ke Jaye

Dosti Jab Kisi Se Ke Jaye,
Dushmanon Ke Bhi Raye Li Jaye,
Maut Ka Zeher Hai Fizaon Mein,
Ab Kahan Ja Ke Sans Li Jaye.

dosti-jab-kisi-se-ki-jaye

Ab Hum Makaan Ke Tala Lagaane

Ab hum makaan ke tala lagaane wale hain,
Pata chala hain ki mehaman aane wale hain.

Har Ek Chehare Ko Zakhmon Ka

Har Ek Chehare Ko Zakhmon Ka Aaina Na Kaho,
Ye Zindagi To Hai Rahamat Ise Saza Na Kaho,
Na Jane Kon Si Majaburiyon Ka Qaidi Ho,
Wo Sath Chod Gaya Hai To Bevafa Na Kaho.