Yeh ghurbaten meri aankhon main kesi utri hain,
Ke khawb bhi mere rukhsat hain, ratjagaa bhi geya.
Tumse Kitna Pyar hai Dil Me Utar Ke Dekh Lo,
Na Yaqeen Aaye To Phir Dil Badal Ke Dekh Lo,
Hum Ne Apni Har Saanss Per Naam Tera Likh Diya,
Ek Tujhe Paane Ki Khatir Khud Ko Pagal Kar Diya,
Ishq Me Tum Bhi Sanam Hadh Se Guzar Ke Dekh Lo,
Tum Sey Kitna Pyar Hai Dil Me Utar Ke Dekh Lo,
Jaane Kyun Saare Jahaan Se Ho Gayi Bekhabar,
Jab Se Tum Ankhoon Me Aaye Jaagti Hai Ye Nazar,
Apny Ratoon Se Meri Ratein Badal Ke Dekh Lo,
Tum Sey Kitna Pyar Hai Dil Me Utar Ke Dekh Lo.
Bhulane se jo bhule na wo kahani chor jaoungi,
teri ankhoon me pani ki aise nami chor jaoungi,
lipat kar dair tak dar-o-dewar royege,
main aisi sog me lipti jawani chor jaoungi,
mitaoge kahan thak tum meri batan meri yadan,
main har ik mor per apni nishani chor jaoungi,
mera ya lafz mujha mar kay bhi marna nahi denge,
main chup ho ke bhi lehje ki rawani chor jaoungi,
kuch is tarhan se niklongi is dunya ko thukra kar,
main dushman ke bhi chehre par herani chor jaoungi …!!!
Toti hai meri Neend Magar tum ko esse kya,
Bajty rahein hawaoon say dar tum ko esse kya,
Tum moj moj Misl-e-Saba Ghoomty raho,
Kat jaen meri soch k par, tum ko esse kya,
Oron ka hath thamo, unhen rasta dikhao,
Mein bhul jaoon apna hi ghar, tum ko esse kya,
Lay jaein Mujhay Mal-e-Ganeemat k sath adouu,
Tum nay to daal di hai sapar, tum ko esse kya,
Tum nay to thak k dasht mein khaimay laga liyee,
tanha kattay kisi ka safar,tum ko esse kya..!!!
Waqt ke sath anaasar bhi rahe sazish mein,
Jal gaye pairr kabhi dhoop kabhi barish mein,
Woh tou ik saada-o-kam shauq ka talib nikla,
Hum ne naahiq hi ganwaya usey aarayesh mein,
Zindagi ki koi mehroomi nahin yaad ayi,
Jab talak hu mthey tere qurb ki asaayesh mein,
Aik dunya ka qaseeda tha agarche mere naam,
Lutf aata tha kisi shakhs ki fehmayesh mein,
Us ki ankhen bhi meri tarah se girdi kahin aur,
Khawb ka qarz barh jata hai ik khawish mein.
Gawahi Kaise Tootti, Muamla Khuda Ka Tha,
Mera Aur Uska Rabta To Haath Aur Dua Ka Tha.
Gulab Qaimat-E-Shaguft, Shaam Tak Chuka Sake,
Ada Wo Dhoop Ko Hua, Jo Qarz Bhi Saba Ka Tha.
Bikhar Gaya Hai Phool To Hum Hee Se Pooch Guchh Hui
Hisaab Baghbaan Se Hai Kia Dharaa Hawa Ka Tha,
Lahoo Chashida Hath Us Ne Choom Ker Dikha Diya,
Jaza Wahan Mili Jaha Marhala Saza Ka Tha,
Jo Barishon Se Kabal Apna Rizq Ghar Mein Bhar Chuka,
Woh Sheher-e-Moor Se Na Tha Door Bais Balaa Ka Tha..
Bajaa Ke Aankh Mein Neendon Ke Silsilay Bhee Nahee,
Shikast-e-Khwaab Ke Ab Mujh Mein Honslay Bhee Nahee,
Nahee Nahee ! Ye Khabar Dushmanon Ne Di Hogi,
Wo Aaye, Aa Ke Chalay Bhee Gaye ! Milay Bhee Nahee,
Ye Kon Loog Andheron Ki Baat Kartay Hain ?
Abhee Tou Chaand Teri Yaad Ke Dhalay Bhee Nahee,
Abhee Se Mere Raffugar Ke Haath Thaknay Lagay,
Abhee Tou Chaak Mere Zakham Ke Silay Bhee Nahee,
Khafaa Agarche Hamesha Howay Magar Ab Ke,
Wo Barhami Hai Ke Hum Se Unhain Gilay Bhee Nahee.
Justajuu Khoye Howon Ki Umar Bhar Karte Rahe,
Chaand Kay Hamrah Hum Har Shab Safar Karte Rahe,
Raaston Ka iLm Tha Na Ham Ko Simton Ki Khabar,
Sheher-e-Na-Maaloom Ki Chaahat Magar Karte Rahe,
Ham Ne Khud Se Bhee Chhupaya Hai Aur Saaray Sheher Ko,
Tere Jaanay Ki Khabar Deewaar-o-Dar Karte Rahe,
Wo Na Aaye Ga Hamain Maaloom Tha, Os Shaam Bhi,
Intezaar Os Ka Magar Kuch Soch Kar Karte Rahe,
Aaj Aaya Hai Hamain Bhee Un Uraanon Ka Khayaal,
Jin Ko Tere Zaim Mein, Be-Baal-o-Par Karte Rahe.
Ajab Makaan Hai Ke Jis Mein Makeen Nahee Aata,
Hudood-e-Sheher Mein Kia Dil Kaheen Nahee Aata,
Mein Jis Ke Ishq Mein Ghar Baar Chodh Baithi Thi,
Yehi Wo Shaks Hai Mujhko Yaqeen Nahee Aata,
Maza Hee Shair Sunaanay Ka Kuch Nahi Jub Tak,
Qaseedah-Go Yun Mein Wo Nukta Chee.n Nahee Aata,
FIshaar Jaa.n Ke Bohat Hain Agar Nazar Aayein,
Har Ik Zalzala Zair-e-Zameen Nahee Aaata,
Bharam Hai Mehr-o- Maa-o-Najam Ka Bhi Bas Jab Tak,
Muqaabil In Ke Wo Roshan Jabee.n Nahee Aata.
Sahaab Tha Ke Sitaara, Guraiz Paa Hee Laga,
Wo Apni Zaat Ke Har Rang Mein Hawa Hee Laga,
Mein Aisay Shakhs Ki Masoomiyat Pe Kia Likhuun ?
Jo Mujh Ko Apni Khataaon Mein Bhee Bhalaa Hee Laga,
Zabaa.n Se Chup Hai Magar Aankh Baat Karti Hai,
Nazar Uthaayi Hai Jub Bhee Tou Bolta Hee Laga,
Jo Khwaab Dene Pe Qaadir Tha, Meri Nazron Mein,
Azaab Daitay Howay Bhee Mujhe Khudaa Hee Laga,
Na Mere Lutf Pe Hairaan Hai Na Apni Uljhan Per,
Mujhe Ye Shakhs Tou Har Shakhs Se Judaa Hee Laga.
Wo Rut Bhi Aai Ke Mai Phool Ki Sahaili Huii,
Mehek Mai Champa Kali, Roop Mai Chambeli Huii,
Wo Sard Raat Ki Barkha Se Kiyu Na Pyaar Karun ?
Yeh Rut To Hai Mere Bachpan Ke Saath Kheli Huii,
Zameen Pe Paaon Nahi Par Rahe Takabbur Se,
Nigar-E-Gham Koi Dulhan Nai Nawaili Huii,
Wo Chaand Ban Ke Mere Saath Saath Chalta Raha,
Mai Us Ke Hijr Ki Raaton Mai Kab Akaili Huii ?
Jo Harf-E-Saada Ki Surat Hamesha Likhi Gai,
Wo Larki Tere Liye Kis Tarah Paheli Huii ?
Ik shakhss ko sochti rahi main,
Phir aayina dekhne lagi main,
Us ki tarah apna naam le ker,
Khud ko bhi lagi neyi neyi main,
Tu mere bina reh na saka to,
Kab tere baghair jee saki main,
Aati rahe ab bhi kahin se awaz,
Ab to tere pass agayi main,
Daaman tha tera ke mera maatha,
Jo daagh bhi they mittaa chuki main..
Khushi ki baat hai ya dukh ka manzar dekh sakti hoon,
Teri awaaz ka chehra main chuu kar dekh sakti hoon,
Abhi tere labon pe zikar fasl-e-gul nahin aya,
Magar ik phool khilte apne andar dekh sakti hoon,
Kinaara dhoondne ki chaah tak mujh mein nahin hogi,
Main apne gird aik aesa samandar dekh sakti hoon,
Vasaal-o-hijar apne yaksaa’n* hain, woh manzar hai chahat mein,
Main aankhain band kar ke tujh ko aksar dekh sakti hoon,
Abhi tere siwaa duniyaa bhi hai maujood is dil main,
Main khud ko kiss tarah tere baraabar dekh sakti hoon..
Wo Aks-e-Mauja-e-Gul Tha, Chaman Chaman Mein Raha,
Wo Rang Rang Mein Utraa, Kiran Kiran Mein Raha,
Wo Naam Haasil-e-Fun Ho Ke Mere Fun Mein Raha,
Ke Rooh Ban Ke Meri Soch Ke Badan Mein Raha,
Sakoon-e-Dil Ke Lye Mein Kahan Kahan Na Gayi,
Magar Ye Dil, Ke Sadaa Oski Anjuman Mein Raha,
Wo Sheher Waalon Ke Aagay Kaheen Mohazzib Tha,
Wo Ek Shakhs Jo Sheheron Se Door Ban Mein Raha,
Charaagh Bujhtay Rahay Aur Khwaab Jalte Rahe,
Ajeeb Tarz Ka Mausam Mere Watan Mein Raha.
Marne se bhi pehle mar gaye the,
Jeeny se kuch aese dar gaye the,
Raste mein jahan talak diye the,
Saare mere hamsafar gaye the,
Aankhain abhi khul nahin saki th,
Aur khawb mere bikhar gaye the,
Jab tak na khila tha us ka waada,
Mausam mere be’samar gaye the,
Ab tak wohhi nasha e paziraayi,
Kya jaaniye hum kidhar gaye the.
Ku-ba-ku phail gai bat shanasai ki,
Us ne khushbu ki tarah meri pazirayi ki,
Kaise kah dun k mujhe chor diya hai us ne,
Bat to sach hai magar bat hai ruswayi ki,
Wo kahin bhi gaya lauta to mere pas aya,
Bas yahi bat hai achi mere harjai ki,
Tera pahlu tere dil ki tarah abad rahe,
Tujh pe guzre na qayamat shab-e-tanhai ki,
Us ne jalti hui peshani pe jo hath rakha,
Rooh tak aa gayi tasir masihayi ki..
Yeh kab kehti hoon tum mere galle ka haar ho jao,
Wahin se laut jana tum jahan se bezaar ho jao,
Mulaqaton main waqfa is liye hona zaroori hai,
Ke tum ik din judayi ke liye tayaar ho jao,
Bohat jald samajh main anay lagte ho zamane ko,
Bohat aasan ho thore bohat dushwaar ho jao,
Balaa ki dhoop se aayi hoon mera haal to dekho,
Bas ab aesa karo ke tum saaya-e-deewaar ho jao,
Abhi parrhne ke din hain likh bhi lena haal-e-dil apna,
Magar likhna tabhi jab laayeq-e-izhaar ho jao..
Bichrra jo Ek baar to milte nahin dekha,
Iss zakham ko hum ne kabhi silte nahin dekha,
Ik baar jisse chaat gayi dhoop ki khawhish,
Phir shaakh pe uss phool ko khilte nahin dekha,
Yak-lakht gira hai to jarren tak nikal aayin,
Jiss pairr ko aandhi main bhi hilte nahin dekha,
Kaanton main ghire phool ko choom aayegi lekin,
Titlee ke paron ko kabhi chhilte nahin dekha,
Kiss tarah meri rooh ko harri kar geya akhir,
Woh zeher jisse jism main khilte nahin dekha..