Parveen Shakir Shayari - Page 2 - Hindi Shayari

Ghar Ka Darwaaza Khulaa Rakha Hai

Ghar ka darwaaza khulaa rakha hai,
Waqt mil jaye to zehmat karnaa..

Gungunatey Huye Lamho Main Usey

Gungunatey huye lamhon main usey,
Dheyaan mera kabhi aaya ke nahin..

Woh Bachpane Ki Neend Ki To Ab

Woh bachpane ki neend ki to ab khawb ho gayi,
Kya umar thi ke raat huyi aur so gaye.

Doobi Hain Meri Ungliyaan Khud Apne

Doobi hain meri ungliyaan khud apne lahuu main,
Yeh kaanch ke tukrron ko uthaney ki sazaa hai.

Woh Ek Rishta Benaam Bhi Nahin Lekin

Woh Ek rishta benaam bhi nahin lekin,
Main ab bhi us ke isharon pe sar jhukaon gi.

Koi Aahat Na Koi Chaap Na Koi Awaaz

Koi aahat na koi chaap na koi awaaz,
Dil ki galiyan meri sunsaan hain aye koi..

Badal Dena Hai Rasta Ya Kahin Par

Badal dena hai rasta ya kahin par beth jana hai,
Ke thaktaa ja raha hai humsafar ahistaa ahistaa..

Rasta Hi Naya Hai, Na Main Anjaan

Rasta hi neya hai, na main anjaan bohat hoon,
Phir kuye’malaamat mein hoon, nadaan bohat hoon,

Ik umar jisey khawab ki manind hi dekha,
Chooney ko mila hai to pareshaan bohat hoon,

Mujh mein kabhi aahat ki tarah se koi aye,
Ik band gali ki tarah sunsaan bohat hoon,

Uljhen ke keyi baar abhi lafz se mafhoom,
Saada hai bohat woh, na main asaan bohat hoon..

Bohat Se Log The Mehmaan

Bohat se log the mehmaan mere ghar lekin,
Wo janta tha ke hai ehtamam kis ke liye..

Kaun Chahega Tumhe Meri Tarah

Kaun chahega tumhe meri tarah,
Ab kisi se na mohabbat karna.

Tere Pehlu, Tere Dil Ki Tarah Abaad Rahe

Tera pehlu, tere dil ki tarah abaad rahe,
Tujh pe guzrey na qayamat shab-e-tanhai ki..

Rail Ki Seeti Mein Kaise Hijr

Rail ki seetti mein kaise hijr ki tamheed thi,
Us ko rukhsat karke ghar lotte to andaaza hua..

Tamaam Raat Mere Ghar Ka Ek

Tamaam raat mere ghar ka ek dar khulaa raha,
Mein raah dekhti rahi woh raasta badal geya..

Sundar, Komal Sapnon Ki Baraat Guzar

Sundar, komal sapnon ki baraat guzar gayi jaana,
Dhoop ankhon tak aa pohanchi hai, raat guzar gayi jana,

Bhanwar samay tak jis ne humain baaham uljhaaye rakha,
Woh albeli resham aesi baat guzar gayi jaana,

Sadaa ki dekhi raat humain is baar mili to chupkay se,
Khaali hath pe rakh ke kya soghaat guzar gayi jaana,

Kis kompal ki aas mein ab tak wese hi sarsabz ho tum,
Ab to dhoop ka mausam hai, barsaat guzar gayi jaana..

Woh To Khushbu Hai Hawaaon Mein

Woh to khushbu hai hawaaon mein bikhar jayega,
Masla phool ka hai, phool kidar jaayega..

Mere Lafzon Se Nikal Jaye Asaar

Mere lafzon se nikal jaye assar,
Koi khawhish jo tere baad karoon.

Iss Baar Jo Eendhan Ke Liye

Iss baar jo eendhan* ke liye katt ke gira hai,
Chirriyon ko barra pyaar tha uss boorrhe shajar se.

Main Sach Kahungi Magar Phir Bhi

Main sach kahungi magar phir bhi haar jaun gi,
Woh jhoot bole ga aur la’jawab kar de ga..

Bhoola Nahin Dil Hijar Ke Lamhaat

Bhoola nahin dil hijar ke lamhaat karre woh,
Raatain to barri theen hi din bhi barre woh.

Bhoola Nahin Dil Hijar

Bhoola Nahin Dil Hijar

Jahan Sawaal Ke Badle Sawaal Hota Hai

Jahan sawaal ke badle sawaal hota hai,
Wahaan mohabton ka zawaal hota hai,

Kissi ko apnaa banana hunnar hi sahi,
Kisi ke ban ke rehna kamaal hota hai.