Glance through our Shayari Section and find the perfect Shayari to share on your social media account or to dedicate it to your near and dear ones. We have a wide range of heart touching Shayaris that are true to one’s feelings or emotions.
Sabhi Naghme Saz Me Gaye Nahi Jate,
Sabhi Log Mehfil Me Bulaye Nehi Jate,
Kuch Pas Reh Kar Bhi Yaad Nahi Aate,
Kuch Dur Rehkar Bhi Bhulaye Nahi Jate.
Tu Naam Ka Darya Hai Rawani Nahi Rakhta,
Badal Hai Wo Bay Faiz Ke Pani Nahi Rakhta,
Yeh Akhri Khat Akhri Taswee Be Le Ja,
Main Bholne Walon Ki Nishani Nahi Rakhta.
Kaise Kehde Ki Unse Milne Ki Chahat Nahi,
Bekarar Dil Ko Ab Bhi Rahat Nahi,
Bhula Dete Unhe Bhi Magar Kya Kare Dost,
Kisi Ko Bhulane Ki Is Dil Ko Aadat Nahi.
Tujhe Bhul Jaon Ye Koshish Kr K Dekhunga,
Waise Daryaon Ka Ulta Behna Mumkin Nai.
Beete Pal Wapas La Nahi Sakte,
Sukhe Phool Wapas Khila Nahi Sakte,
Kabhi Kabhi Lagta Hai Aap Hamein Bhul Gaye,
Par Dil Kehta Hai K Aap Hamein Bhula Nai Sakte.
Bun K Ajnabi Mille The Zindagi K Safr Mein Kahin,
In Yadon K Lamhon Ko Kabhi Bhoolaingay Nahin,
Agar Yaad Rakhna Fitrat Hai Aapki,
Bhool Jane Ki Adat Hamain Bhi Nahin.
Tere Bina Hum Jeena Bhool Jaate Hain,
Zakhmon Ko Seena Bhool Jate Hain,
Tu Zindagi Main Sabse Azeez Hai Hamain,
Tujhse Har Bar Yeh Kehna Bhool Jaate Hain.
Na Illm Tha Mohabbat Kya Cheez Hai,
Na Bekarari Na Rusvayi Ka Pata Tha,
Tum Kya Aaye Mere Zindagi Mein,
Hum Apna Naam Tak Bhool Chuke.
Jane Kis Baat Ki Mujhko Saja Deta Hai,
Meri Hasti Hui Ankhon Ko Rula Deta Hai,
Ek Muddat Se Khabar Bhi Nahi Teri,
Koi Is Tarah Bhi Kya Apne Pyar Ko Bhula Deta Hai.
Apne Dil Ki Sun Afwahon Se Kaam Na Le,
Mujhe Yad Rakh Beshak Naam Na Le,
Tera Veham Hai K Hum Bhool Gaye Tujhe,
Meri Koi Aisi Saans Nai Jo Tera Naam Na Le.
Ajab Tarah Se Socha Hai Zindagi K Liye,
Zakham Zakham Likhte Hain Har Kushi K Liye,
Wo Shaks Muje Bhool Gaya To Yaqeen Aya,
Koi Bhi Shaks Zaroori Nahi Kisi K Liye.
Apno Ne Zehar Ka Jaam De Diya,
Gairon Ne Bewafa Ka Naam De Diya,
Jo Kehte They Hamein Bhool Na Jana,
Unho Ne Hi Bholne Ka Paigam De Diya.
Yeh Bahein Humein Jab,
Apni Panahon Mein Bulathi Hein,
Humein Apni Kasam Hum,
Har Sahara Bhool Jate Hain.
Reet Hai Jane Kaisi Yeh Jamane Ki,
Jo Saza Milti Hai Dil Laganne Ki,
Na Basana Dil Main Kisi Ko Itna,
Ki Phir Dua Mangni Pada Bhulane Ki.
Tum Banke Dost Aise Aaye Zindagi Mein,
Ki Hum Yeh Zamana Hi Bhool Gaye,
Tumhen Yaad Aaye Na Aaye Hamari Kabhi,
Par Hum To Tumhe Bhulana Hi Bhool Gaye.
Bhoolna Tumhe Na Asaan Hoga,
Jo Bhule Tumhe Vo Nadan Hoga,
Aap To Baste Ho Rooh Mein Hamari,
Aap Hume Na Bhule Ye Apka Ehsan Hoga.
Ishq Me Tere Har Had Se Guzar Jana Chahta Hoon,
Log Jeete Hai Ashaqi Main Main Teri Chaht Main Mar Jana Chahta Hoon,
Aye Mere Yaar Na Samjha Hai Na Samjhe Ga Tu Sagar Ka Naseeb,
Log Pane Ke Liye Jeete Hain Main Tujhe Kho Ke Jeena Chahta Hoon,
Yaad Karegi Tu Mujhe Jitna Utna Hi Mujhe Yaad Ayegi,
Yaad Aaoon Na Tujhe Main Main Tujh Ko Bhool Jana Chahta Hoon.
Tumko Bhula Payenge Itna Hum Me Dum Nahi,
Tumne Diya Jo Gam Wo Maut Se Kam Nahi,
Yaaro Dil Ke Jakhm Dikhaon Phasana Yaar Kaa Hain,
Mohabbat Jhoothi Hain Bahana Pyaar Kaa Hain.
Bhool Se Agar Koi Bhool Hui,
To Bhool Samajke Use Bhool Jana,
Arey Bhoolna Sirf Bhool Ko,
Bhoolkar Bhi Hume Na Bhool Jana.
Hum Ko Bhool Na Jana Tum,
Yeh Kehte Hain Sab Hi,
Lekin Aata Hai Waqt Kuchh Aisa,
Ke Bhool Jaate Hain Khud Hi.