Glance through our Shayari Section and find the perfect Shayari to share on your social media account or to dedicate it to your near and dear ones. We have a wide range of heart touching Shayaris that are true to one’s feelings or emotions.
Haan Mujhe Rasm-E-Mohabat ka Saliqa Hi Nahe,
Jaa Kisi Aur Ka Hony ki Ijazat Ha Tujhy
Hum Ye Nahi Kehte Ki Roz Yaad Karo Humein,
Magar Bhool Jao Is Ki Ijaazat Nahi Tumhe..
Khud ko Is dil main basane ki ijazat de do,
Mujh ko tum apna banane ki Ijazat de do,
Tum meri zindagi ka aik haseen lamha ho,
Phoolon se khud ko sajane ki Ijazat de do.
Apni Agoosh Main Ek Roz Chupa Lo Mujhko,
Ghum-E-Duniya Se Aaj Bachaa Lo Mujhko,
Unko De Hai Ishaaron Main Ijaazat Maine,
Maangne Se Na Milun To Chura Lo Mujhko.
Ho ijazat agar aapki to ik baat pochoo,
Jo suno to aaj dil ki ik baat kahoo,
Jabse aapse mile, tabse fool mehakane lage,
Jabse aapko dekha, yeh raste gulshan hone lage,
Jaane kyun har pal hum aapke khayalo mein khone lage.
Kabhi ibadat ki thi hamne bhi kisi chehre ki,
Waqt gujra aur aaj chehre se naqab uter gya,
Masumiat ki duhai dete they hum kabhi jiski,
Aaj uska khayal bhi dil se uter gya.
Badi Muddat Ke Baad Mujhe Siddat Mili,
Aaj Waqt Ne Saath Chalne Ki Ibadat Ki,
Waqt Ke Mohtaj Kaisi Ye Uljhan Jo Huai,
Maut Ne Dastak Dene Se Pahle Ijajat Jo Li.
Haqeeqat Karo Byaan To Mazaak Lagta Hai,
Ibadat Karo Jab To Jhootha Khwab Lagta Hai,
Are Ye Dil Hai Dil, Aur Dil Ki Hai Ye Sdaa,
Aur Tum Kehte Ho Ki Tumhe Ye Haseen Ittfak Lagta Hai.
Ishq shaan hai is jahaan ki,
Ishq jannat hai assmaan ki,
karlo ishq tum bhi ek baar yaron,
kyu ki ishq ibadat hai khuda ki.
Ibadat Rab Ki Aur Soorat Yaar Ki Ho,
Sajda Rab Ka Aur Rasam Pyar Ki Ho,
Ashiqo Ke Mahzab Ka Kya Kahna,
Zikar Rab Ka Aur Baat Yaar Ki Ho
Kehte hai ki khuda kabhi galti nahi karta ,
Par kismat ko meri likhte waqt khud khuda ne bhi galati kar di,
Taqdeer main naam likha kisi aur ka, aur
Dil main chaahat kisi aur ki bhar di
Dil ab bhi majbur hai yaaro tumhari yaad me,
Waqt ab bhi guzarta hai bs tumhari yaad me,
Jane kab kya galti ho gai mujhse jo di aaisi saza,
Laut aao ki dil to hai ab bhi tumhare hi paas me
Humse na jane kaisi galti ho gayi,
saja bhi had se zada ho gayi,
mana ki jeete hum hain,
magar ab wo baaji bhi tumhari ho gayi.
Suhani Raaton Ki Chandni Mein Kabhi Na Tum Be-Naqaab Aana,
Main Dil Pe Qaaboo To Kar Sakoon Ga Nigah Shayid Gunah Karde.
Khuda Ka Wasta Khud Ko Kam Nazar Na Karna,
Jo Tera Sath Ne De us Ko Hamsafar Na Karna,
Jo Bhi Galti Tum Se Hui So Hui,
Ye Nadani Dobara Ab Umar Bhar Na Karna.
Aasoo Aa Jate Hain Ankhon Me Rone Se Pehle,
Her Khwab Toot Jate Hain Sone Se Pehle,
Ishq Hai Gunah Ye To Samajh Gaye,
Kaash Koi Rok Leta Ye Gunah Hone Se Pehle.
Aaj Yeh Tanhai Ka Ehsaas Kuch Hadd Se Zyada Hai,
Tere Sang Na Hone Ka Malaal Kuch Hadd Se Zyada Hai,
Phir Bhi Kaat Rahe Yeh Jiye Jane Ki Saza Yehi Sochkar,
Shayad Is Zindagani Mein Mere Gunaah Kuch Hadd Se Zyada Hai.
Wo Mera Hai To Wo Mujhse Door Kyun Hain?
Door Rehkar Jeene Ko Hum Majboor Kyun Hain?
Gunah(Pyar)Hum Dono Ne Kiya Tha Ek Jaisa,
To Mera Kasoor Kyun Hai Aur Wo Bekasoor Kyun Hai..
Galti karke woh galti ka naam puchhate hain,
Dard dekar woh dawa ka naam puchhate hain,
Mar gaye hum unki isi adaa pe,
Hokar meri jaan meri jaan ka naam puchhate hain
Zabt Karte Hain Aah Karte Hain,
Zindagi U Hi Tabah Karte Hain,
Raoze Mahsher Ka Khauf Hai Phir Bhi,
Darr Darr K Hum Gunah Karte Hain.