Shayari

Glance through our Shayari Section and find the perfect Shayari to share on your social media account or to dedicate it to your near and dear ones. We have a wide range of heart touching Shayaris that are true to one’s feelings or emotions.

Latest Shayari

Unhe Chahna Hamari Kamjori Hai

Unhe Chahna Hamari Kamjori Hai,
Unse Keh Nahi Pana Hamari Majboori Hai,
Wo Kyun Nahi Samajhtey Hamari Khamoshi Ko,
Kya Pyar Ka Izhaar Karna Itna Jaruri Hai.

unhe-chahna-hamari-kamjori-hai
Vote This Post DownVote This Post Up 0
Category: Shayari On Izhar

Kasoor To Tha En Nigaaho Ka

Kasoor to tha en nigaaho ka,
Jo chupke se deedar kar betha,
Humne to khamosh rehne ki thani thi,
Par bewafa ye zuban izhar kar betha.

kasoor-to-tha-en-nigaaho-ka
Vote This Post DownVote This Post Up 0
Category: Shayari On Izhar

Kab Unki Aankhon Se Izhaar Hoga

Kab Unki Aankhon Se Izhaar Hoga,
Dil Ke Kisi Kone Mein Hamare Liye Pyar Hoga,
Guzar Rahi Hai Raat Unki Yaad Mein,
Kabhi To Unko Bhi Hamara Intezaar Hoga.

kab-unki-aankhon-se-izhaar-hoga
Vote This Post DownVote This Post Up 0
Category: Shayari On Izhar

Ankho Se Aankhe Milakar To Dekho

Ankho Se Aankhe Milakar To Dekho,
Humare Dil Se Dil Milakar To Dekho,
Saare Jaha Ki Khushiyan Tere Daaman Me Rakh Denge,
Humse Pyar Ka Izhaar Karke To Dekho.

ankho-se-aankhe-milakar-to-dekho
Vote This Post DownVote This Post Up 0
Category: Shayari On Izhar

Dil Ye Mera Tumse Pyar

Dil ye mera Tumse Pyar karna chahta hain,
Apni Mohabbat ka izhaar karna chahta hai,
Dekha hain jab se Tumhe aye mere Sanam,
Sirf tumhara hi Dedaar karne ko dil chahta hai.

dil-ye-mera-tumse-pyar
Vote This Post DownVote This Post Up +1
Category: Shayari On Izhar

Na Dil Se Hota Hai

Na dil se hota hai,
Na dimag se hota hai,
Yeh pyar to ittfaq se hota hai,
Par pyar kar ke pyar hi mile,
Yeh Ittefaq kisi-kisi ke sath hota hai.

na-dil-se-hota-hai
Vote This Post DownVote This Post Up +2
Category: Shayari On Ittefaq

Nazar Aur Naseeb Ke Milne Ka

Nazar aur naseeb ke milne ka ittefaq kuch aisa hai,
ki nazar ko pasand hamesha wahi cheez aati hai,
jo naseeb mein nahi hoti.

nazar-aur-naseeb-ke-milne-ka
Vote This Post DownVote This Post Up -2
Category: Shayari On Ittefaq

Dosti To Sirf Ek Ittefaq Hai

Dosti To Sirf Ek Ittefaq Hai,
Ye To Dilon Ki Mulakat Hai,
Dosti Nahi Dekhti,
Din Hai Ki Raat Hai,
Isme To Sirf Wafadari Aur Jasbaat Hota Hai

dosti-to-sirf-ek-ittefaq-hai
Vote This Post DownVote This Post Up -1
Category: Shayari On Ittefaq

Ittefaq Se Hum Mile

Ittefaq se hum mile,
Ittefaq se aap hume pasand aaye,
Ittefaq se hum dost bane,
Humari dosti ab ittefaq nahi,
Zindagi ki khoobsurat hakikat hai.

ittefaq-se-hum-mile
Vote This Post DownVote This Post Up +1
Category: Shayari On Ittefaq

Milna Ek Ittefaq Hai

Milna ek ittefaq hai,
Aur bichadna majburi hai,
Char din ki is zindagi mein,
Sabka sath hona jaruri hai.

milna-ek-ittefaq-hai
Vote This Post DownVote This Post Up 0
Category: Shayari On Ittefaq

Insaaniyat Woh Ehsaas Hai

“Insaaniyat Woh Ehsaas Hai Jo Humein Duniya Mein Jeena Sikhati Hai.
Neki Aur Imaanadari Ho paas To khuda Tak Le Jaati hai.
Kisi Gareeb Ka Sahara Ban jaao To Labon Par Muskurati Hai.
Kisi Aur Ke Dard Mein Apne Aankhon Se Aansuu Bahati hai”.

insaaniyat-woh-ehsaas-hai
Vote This Post DownVote This Post Up +7

Farishte Se Behtar Hai Insaan Banna

फरिश्ते से बेहतर है इन्सान बनना,
मगर इसमें पड़ती है मेहनत ज़ियादा.

Vote This Post DownVote This Post Up -1

Jashan-E-Insaan Shumaari Mein

jashan-e-insaan shumaarii mein sar ginane nikale ahal-e-hakkam,
murdaa ho ke un kii zaruurat se ham bhii zindo.n me.n shumaar hue.

jashan-e-insaan-shumaari-mein
Vote This Post DownVote This Post Up 0

Kuch Bure Log To Hote Hi Hain

Kuch Bure Log To Hote Hi Hain Iss Duniya Mein Paida,
Dharam Mazhab Se Pehle,Insaaniyat Ke Kaun Hai Tarafdaar Dekhna.

kuch-bure-log-to-hote-hi-hain
Vote This Post DownVote This Post Up 0

Duniya Pe Aisa Waqt Padega Ki Ek Din

दुनिया पे ऐसा वक़्त पड़ेगा कि एक दिन,
इन्सान की तलाश में इन्सान जाएगा.

Vote This Post DownVote This Post Up +1

Insaniyat Ko Sooli Chade Huye

Insaniyat Ko Sooli Chade Huye,
Yahan Ek Zamana Bita Gaya Hai,
Hoton Par Toh Jhoot Hai Lekin,
Haath Mein Dekho Geeta Hai.

insaniyat-ko-sooli-chade-huye
Vote This Post DownVote This Post Up -1

Mujhe Insaniyat Ka Dard

मुझे इंसानियत का दर्द भी बख़शा है कुदरत ने,
मेरा मक़सद फ़क़त शोलानवाई हो नहीं सकता.

Vote This Post DownVote This Post Up 0

Mushkil Hai Daur Itna

Mushkil hai daur itna,Aur umar thak gayi,
Ab kis se jakar puchhe,Manzil kidhar gayi,
Insaniyat milegi,Sabne hanste hue kaha
Wah toh kab ki marr gayi.

mushkil-hai-daur-itna
Vote This Post DownVote This Post Up +4

Insaniyat Ki Baat Toh Itni

इंसानियत की बात तो इतनी है शैख़ जी,
बदकिस्मती से आप भी इन्सान बन गए.

Vote This Post DownVote This Post Up -1

Insaniyat Insan Ko Insan Bna Deti Hai

Insaniyat insan ko insan bna deti hai,
lagan har mushkil ko aasan bna deti hai,
warna kon jata mandiro me pooja karne,
aastha hi pattharo ko bhagwan bna deti hai.

insaniyat-insan-ko-insan-bna-deti-hai
Vote This Post DownVote This Post Up +1