Glance through our Shayari Section and find the perfect Shayari to share on your social media account or to dedicate it to your near and dear ones. We have a wide range of heart touching Shayaris that are true to one’s feelings or emotions.
Dil Men Hai Mulaqat Ki Khwahish Ki Dabi Aag,
Mehndi Lage Haathon Ko Chhupa Kar Kahaan Rakhoon.
Jaane Vaale Se Mulaqat Na Hone Payi,
Dil Ki Dil Mein Hi Rahi Baat Na Hone Payi.
Hooron Se Na Hogi Ye Madaaraat Kisi Ki,
Yaad Aayegi Jannat Mein Mulaaqaat Kisi Ki.
Uzr Aane Mein Bhi Hai Aur Bulaate Bhi Nahin,
Baais-E-Tark-E-Mulaaqaat Bataate Bhi Nahin.
Usne Kaha Itni Mulaqat Bahut Hai,
Main Ne Kaha Ruk Jaao Abhi Raat Bahut Hai,
Aansoo Mere Tham Jaayen To Phir Shauq Se Jaanaa,
Aise Mein Kahaan Jaao Ge Barsaat Bahut Hai.
Kahaan Vo Shokh Mulaqat Khud Se Bhi Na Hui,
Bas Ek Baar Hui Aur Phir Kabhi Na Hui.
Munhasir Waqt-E-Muqarrar Pe Mulaaqaat Huyi,
Aaj Ye Aap Ki Jaanib Se Nai Baat Huyi.
Ye Ek Shab Ki Mulaqat Bhi Ghaneemat Hai,
Kise Hai Kal Ki Khabar Thodi Door Saath Chalo.
Kuch Nasha To Aapki Baat Ka Hai,
Kuch Nasha To Dheemi Barsaat Ka Hai,
Humein Aap Yun Hi Sharabi Na Kahiye,
Is Dil Par Asar To Aap Se Mulakat Ka Hai.
Be-Qaraari Thi Sab Ummeed-E-Mulaqat Ke Saath,
Ab Vo Agli Si Daraazi Shab-E-Hijraan Mein Nahin.
Janu Main Uski Har Ek Baat,
Aaj Bhi Yaad Aati Hai Wo Pehli Mulaqat,
Gujre Wo Lamhe Wo Din Aur Raat,
Yahi To Hai Waqt Ki Mujh Ko Saugaat.
Mainne Mana Ke Mujhe Unse Muhabbat Na Rahi,
Ham-Nashin Phir Bhi Mulaaqaat Se Jee Dartaa Hai.
Tare Asman Me Chamkte Hain,
Badal Itni Dur Hai Fir Bhi Barste Hain,
Hum Bhi Kitne Nadan Hain Aap Dil Me Rehte Hain,
Or Hum Apse Milne Ko Tarste Hai.
Na Jee Bhar Ke Dekhaa Na Kuchh Baat Ki,
Badi Aarzoo Thi Mulaaqaat Ki.
Milne Ko Dil Gaya Tha So Lota Na,
Aaj Tak Yaaron Ne Kitni Door Basai Hain Bastiyan.
Aaj To Mil Ke Bhi Na Mile Hon Tujh Se,
Chaunk Uthte The Kabhi Teri Mulaaqaat Se Ham.
Lamhe Ye Suhane Saath Ho Na Ho,
Kal Mein Aaj Jaisi Koi Baat Ho Na Ho,
Yadoon Ke Haseen Lamhe Dil Mein Rahenge,
Chahe Sari Umar Hamari Mulaqat Ho Na Ho.
Ab Kaun Baat Rah Gayi Ye Baat Bhi Gai,
Yaani Kabhi Kabhi Ki Mulaaqaat Bhi Gai.
Chaand Nikla Tha Magar Raat Na Thi Pehli Si,
Yeh Mulaqaat, Mulaqaat Na Thi Pehli Si,
Rang Kuch Kaam Tu Howa Aj Tere Milne Se,
Yeh Alag Baat Keh Woh Baat Naa Thi Pehli Si.