Glance through our Shayari Section and find the perfect Shayari to share on your social media account or to dedicate it to your near and dear ones. We have a wide range of heart touching Shayaris that are true to one’s feelings or emotions.
Tumhara Dil Kabhi Pighle Agar Gham ki Hararat se,
Tumhe maloom ho jayega rona kisko kehte hain.
Koi Dikha K Roye, Koi Chupa K Roye,
Humain Rulane Wale, Humain Rula K Roye,
Marna Ka Maza To Tab Hai Yaro,
Jab Qatil Bhi Janaze Per Aa Kar Roye.
Gahri thi raat lekin hum khoye nahi,
Dard bahut tha dil mein, lekin hum roye nahi,
Koi nahi hamara jo puchhe humse,
Jag rahe ho kisi ke liye, ya kisi ke liye soye hi nahi.
Bheeg Jaati Hain Palkein Tanhai Main,
Dartey Hain Koi Jaan Na Le,
Pasand Karte Hain Taiz Barsaat Ko
Kahain Koi Rotey Huye Pehchan Na Le.
Alvida kehkar jab wo chal diye,
Ankhon ne sare haseen khwab kho diye,
Gum yeh nahi ki wo mujhe chhod gaye,
Dard to tab hua jab Alvida kehkar wo khud ro diye.
Kitne Dardnak The Wo Manjar Jab Hum Bichade The
Usne Kahaa Tha Jeena Bhi Nahi Or Rona Bhi Nahi.
Yeh Baarish use bhi rulati hogi,
Kabhi kabhi meri bhi yaad dilati hogi,
Usne jab kaha tha mujhe khud ko bhul jane ko,
Har ek barish ki boond use us pal ki yaad dilati hogi.
Waqt Yaksaan Nhi Rehta Kabhi Sun Lo,
Khud Bhi Ro Padte Hain Auron Ko Hansane Wale.
Tere liye ghumte hain tere peeche peeche,
Hamari jaan basi hai aapke kadamo ke neeche,
Magar jab hum yahan hote hain to aap vahan hote ho,
Is judaai mein hum yahan rote hain to aap vahan chain se sote hain.
Chahe To Hame Dil Se Mita Dena,
Chahe To Hame Dil Se Bhula Dena,
Magar Aye Jo Kabhi Mere Yad, Aye Jaan,
Rona Mat Sirf Muskura Dena.
Yuhin Kisi ki Yaad Mein Rona Fizul Hai,
Itne Anmol Aansu Khona Fizul Hai,
Rona To Unke Liye Jo Hum Pe Nisar Hai,
Unke Liye Kya Rona Jinke Aashiq Hazar Hai.
Koi Chupke Chupke Rota Hai,
Koi Dil Hi Dil Me Rota Hai,
Par Jo Dil Hi Dil Me Rota Hai,
Uska Dard Bada Hota Hai.
Tanhai Mere Dil Mein Samati Chali Gayi,
Kismat Bhi Apna Khel Dikhati Chali Gayi,
Mehkti Fiza Kee Khushbu Mein Jo Dekha Pyaar Ko,
Bas Yaad Unki Kee Aayi Aur Rulati Chali Gayi.
Apni bebasi par aaj fir mujhe rona sa aaya,
Dusro ko nahi maine toh apno ko ajmaya,
Maine har ek dost ki tanhayi door ki,
Fir b khud ko har mode par tanha hi paya.
Rulane Wale Akhir Hume Rula Denge,
Zeher Deke Gehri Nind Me Sula Denge,
Phir B Koi Gum Na Hoga Hume,
Dard To Tab Hoga Jab Aap Hume Bhula Denge.
jeene k liye dard ka samaan bohat hai,
kuch roz se apna dil pareshan bohat hai,
milte hain shabo-roz sabhi log hum se,
aik tjh se mulakat ka arman bohat hai.
Chand Kaliyaan Nishaat Ki Chun Kar,
Muddaton Mahv-E-Yaas Rahta Hoon,
Tera Milna Khushi Ki Baat Sahi,
Tujh Se Mil Kar Udaas Rahta Hoon!
Tujh Se Mil Kar Hamein Rona Tha Bahut Rona Tha,
Tangi-E-Vaqt-E-Mulaaqaat Ne Rone Na Diya.
Har Mulaqat Ka Anjaam Judaai Kyon Hai,
Ab To Har Vaqt Yahi Baat Sataati Hai Hamein.
‘Nadeem’ Jo Bhi Mulaqat Thi Adhoori Thi,
Ki Ek Chehre Ke Peechhe Hazaar Chehre Thi.