Glance through our Shayari Section and find the perfect Shayari to share on your social media account or to dedicate it to your near and dear ones. We have a wide range of heart touching Shayaris that are true to one’s feelings or emotions.
Lo Aaj Ham Ne Tod Diyaa Rishtaa-E-Ummeed,
Lo Ab Kabhi Gilaa Na Karenge Kisi Se Ham.
Bahut Taveel Shab-E-Gham Hai Kyaa Kiyaa Jaaye,
Ummeed-E-Subah Bahut Kam Hai Kyaa Kiyaa Jaaye.
Tum Aise Kaun Khudaa Ho Ki Umar Bhar Tum Se,
Ummeed Bhi Rakkhoon Naa-Ummeed Bhi Na Rahoon.
Yahi bahot hai k to ne palat k dekh liya,
Ye lutaf bhi meri umeed se zyada hai.
Mit Chale Meri Ummeedon Ki Tarah Harf Magar,
Aaj Tak Tere Khaton Se Teri Khushboo Na Gayi.
Dil mei hain armaan baaki,
Meri laash mei hai jaan baaki,
kaat diye hain zalim zamane ne par mere,
Magar hoslo mei hai meri udaan baaki.
Ek udaan kab tak yun kaid rahegi,
Roko na chod do isse,
Ek udaan hi sapno ko zindagi degi,
Sapno se jod do isse.
Har Taraf Hai Darinde Ab Duniya Me Kahan Insaan Baki Hai,
Kamiyabi Ki Mehfil Me Abbi Meri Pehchaan Baki Hai,
Me Toh Parinda Hun Kis Had Tak Rokoge Tum Mujhe,
abhi Mere Paro Me Kamyabi Ki Udaan Baki Hai.
Manzile Unhi Ko Milti Hai,
Jinke Sapno Me Jaan Hoti Hai,
Sirf Pankho Se Kuch Nahi Hota Doston,
Hauslo Se Udaan Hoti Hai .
Jindagi ki asli udaan abhi baaki hai,
Jindagi ke kai imtehan abhi baaki hai,
Abhi to naapi hai mutthi bhar zamin humne,
Abhi to sara aasman baaki hai.
तुम्हें अपना कहने की तमन्ना थी दिल में,
लबों तक आते आते तुम ग़ैर हो गए !
Ham bhatakte rahe hain rahon mein,
Raat din kaat rahe the aanhon mein,
Ab tamana hui hai mere jeene ki,
Baat kuch to hai teri nigaahon mein.
Ek khwahish hai jhalak mil jaye us chahre ki,
Ki is deedar ke baad koi tamana na rahe.
Kajal Banke Teri Aankho Mein Samane Ki Tamanna Hai,
Dawa Banke Tere Dard Mitane Ki Tamanna Hai,
Yun To Haasil Hai Zamane Ki Har Cheez Mujhe,
Sirf Ek Baar Tujhe Dulhan Ke Roop Mein Paane Ki Tamanna Hai.
Shama-E-Tamanna Jawaan Aaj Bhi Hai,
Har Hasrat Lekin Bezuban Aaj Bhi Hai,
Manzilon Ko Nahi Naseeb Mere Kaafile To Kya,
Rahon Pe Mere Kadmon Ke Nishaan Aaj Bhi Hain.
Koi Nikla Hai Dil Se Tamanna Banke,
Waqt Thehar Chuka Hai Tamasha Banke,
Subah Aur Sham Ke Maikhano Mein,
Rehta Main Kis Qadar Tanha Banke,
Shab-E-Akhir Kashmash Mein,
Jalta Hun Main Parvana Banke,
Waqt Kam Hai Phir Bhi Khayalon Mein,
Uski Gali Se Nikloonga Janaza Banke.
Na Jane Kis Gam Ko Chupane Ki Tamanna Thi Usko,
Aaj Har Ek Baat Per Haste Hue Dekha Usko.
Tamanna dil ki ek hasrat hai,
Puri ho jaye to insan khush kismat hai,
Na puri ho to gam na kar na,
Kyun ki adhuri rahna to tamannao ki fitrat hai.
Yeh Meri Thi Tamanna Koi Mera Bhi Yaar Hota,
Jisko Mere Har Ek Gham Ka Ehsaas Hota,
Jo Rahta Hamesha Mere Sukh Dukh Ka Saathi,
Kaash Mere Bhi Koi Itna Paas Hota.
Dil Ki Dil Se Doori Nahi Hoti,
Kash Koi Majburi Nahi Hoti,
Aap Se Abhi Milne Ki Tamanna Hai,
Lekin Kahte Hain Na Ki Har Tamanna Puri Nahi Hoti.