Glance through our Shayari Section and find the perfect Shayari to share on your social media account or to dedicate it to your near and dear ones. We have a wide range of heart touching Shayaris that are true to one’s feelings or emotions.
Ye yaad hai tumhari ya yaadon me tum ho,
Ye khwab hai tumhare ya khwabon me tum ho,
Hum nahi jaante hume bas itna bata do,
Hum jaan hai tumhari ya humari jaan tum ho.
Koi Waqt Purana Yaad Aya,
Phir Dour Sohana Yaad Aaya,
Or Chupkay Se In dewaron Pe,
Kuch Likh Kar JanaYaad Aaya.
Bahot Ajib Hoti Hai Ye Yaade Bhi Mohabbat Ki,
Jin Palo Me Hum Roye The,
Unhein Yaad Karke Hume Hansi Aati Hai,
Or Jin Palo Me Hanse The,
Unhe Yaad Karke Rona Aata Hai.
Bikhre Hue Tukde Chunkar Teri Yaadon Ke,
Beete Lamho Ki Tasveer Banata Hun,
Har Khushi Apni Tere Naam Likh Ke,
Tere Dukhon Ko Apni Taqdeer Banata Hun.
Chale Gaye Ho Door Kuch Pal Ke Liye,
Door Rehkar Bhi Kareeb Ho Pal Pal Ke Liye,
Kaise Yaad Na Aaye Aapki Ek Pal Ke Liye,
Dil Mein Rehte Ho Aap Har Pal Ke Liye.
Kuch Khubsurat Pal Yaad Aate Hai,
Palkon Par Aasu Chhod Jate Hain,
Kal Koi Our Mile Hume Na Bhulna,
Kyonki Kuch Rishtey Zindgi Bhar Yad Aate Hai.
Kyun tujhko dekhna chahti hai meri aankhein,
Kyu khamoshiya karti hai bas teri baatein,
Kyu itna chahane laga hu tujhko mai,
Ki taare ginte hue kat-ti hai meri raatein,
Tu hi kuch bata de kya mai karu inka,
Har pal jo mujhe tadpati hai teri yaadein.
Tanha chaand ko dekha hoga Koi yaad to aaya hoga,
Zabt ka sheesha chatkha hoga Yaad ne kankar phenka hoga,
Sawan ki bheegi khushbu ne Saanso ko sulgaya hoga.
Wo nahi aati par nishani bhej deti hai,
khwabon mein dastan purani bhej deti hai,
kitne mithe hain uske yadon ke manzar,
kabhi kabhi ankhon mai pani bhej deti hai.
Rehte Ho Aaj Bhi Sanson Mai Tum,
Yaadon Mai Tum Kitabo Mai Tum,
Jab Bhi Kalam Uthata Hu Likhne Ke Liye,
Banke Gazal Aa Jate Ho Lafzo Mai Tum.
Kaash Is Dil Ki Aawaz Mein Itna Asar Ho Jaye,
Hum Aapko Yaad Karein,Aur Khabar Ho Jaye,
Khuda Se Maangte Hain Ki Aap Jise Bhi Chaho,
Wo Zindagi Ki Raah Mein Apka Humsafar Ho Jaya.
Shayari to ek bahana hai,
irada to aapka ek lamha churana hai,
aap hame yaad karo ya na karo,
Bas hame to aapke khayalo me aana hai..
Aapki yaadon mai jeeta hun,
Aapko hamesha yaad karta hun,
Aap aaye is kadar yaad,
Ki aaj bhi aapki yaadon mai rota hun.
Mere Yaad Na Karne Se Aap Naraz Mat Hua Karo,
DOST Q K Halat Se Harre Huye Log Aksar Khamosh Raha Karte Hain.
Kisi ki yaado ko rok paana mushkil hai,
Rote huye dil ko manana muskil hai,
Ye dil apno ko kitna yaad karta hai,
Ye kuch kafzo mein baya kar paana muskil hai.
Khalvat-E-Ummeed Mein Raushan Hai Ab Tak Vo Chiraagh,
Jis Se Uthtaa Hai Qareeb-E-Shaam Yaadon Kaa Dhuaan.
Kehte Hain Ummeed Pe Jeetaa Hai Zamaana,
Vo Kyaa Kare Jis Ko Koi Ummeed Nahin Hai.