Glance through our Shayari Section and find the perfect Shayari to share on your social media account or to dedicate it to your near and dear ones. We have a wide range of heart touching Shayaris that are true to one’s feelings or emotions.
Uski chahat ne rulaaya bahot hai,
Uski yaadon ne tadpaya bahut hai,
Hum unse bahut pyar karte hai,
Iss majburi ko usne aazmaya bahut hai.
Sitare chahte hain ki raat aye,
ham kya likhen ki aapka jawab aye,
Sitaro ki chamak to nhi mujhme,
ham kya karen ki aapko hamari yaad aye.
Kal tak tanha the,
aaj intzar karte hai,
kal tak kuch na tha,
aaj aitbaar karte hai,
yu hi nahi aati aapko hichkiya,
hum yaad aapko baar baar karte hai.
Kisi Ki Yaad Dil Me Aaj Bhi Hai,
Bhul Gaye Wo Par Pyar Aaj Bhi Hai,
Hum Khush Rahne Ka Dawa To Karte Hai Par,
Unki Yaad Me Behte Aansu Aaj Bhi Hai.
Yaad aati hai to kho jate hai,
Aansu ankhon me utar aye to ro jate hai,
Neend nahi aati aankhon me lekin,
Aap sapno me avoge ye soch ka so jate hai.
Eh hichkiya kyun mujhe aane lagi hain,
fizao se bhee siskiya aane lagi hain,
yeh soch kar dil hain bahut khus kii,
yaad hamari bhii kisi ko aane lagi hain.
Shikwa Kisi Ka Na Faryaad Kisi Ki,
Honi Thi Youn Hi Zindagi Barbad Kisi Ki,
Ehsaas Mita Aur Miti Sari Ummiden,
Sab Mit Gaya Par Na Miti Yaad Kisi Ki.
Dard-e-Fitrat ne itna barbad kiya,
Teri yaadon ke Siwa aur kuch na yaad kiya,
Zindagi kr na Saki is dard ka ilaj,
Sukoon tab tab Mila jab jab tujhe yaad kiya.
Hichkiya aane se ek baat ka to ehsaans hua,
ki aap hume roz yaad karti hain,
milne nahi aati to kya hua,
phone par to baat karti hain.
Ek teri yaad hai jo dhadakti hai yahan,
Warna is Seena-E-Veeran main rakha kya hai.
Tere hi dam se aabad hai duniya meri,
Tu nahi to is jahan main rakha kya hai.
Jo main zinda hoon to ye pyaar hai tera,
Warna is Rooh-E-Bejaan main rakha kya hai.
Teri yaadon ko seene se laga rakha hai,
Tanhai me mar na jaoun kafan sila rakha hai,
Jab log dafnayen to pehle dil ko nikal laina,
Kahin wo na dab jaaye jisi dil me basa rakha hai.
Hichkiya dila kar ye kaisi uljhan badha rahe ho,
Ankhe band hai fir bhi nazar aa rahe ho,
bas itna bata do humein, yaad kar rahe ho,
ya apni yaad dila rahe ho.
Aisa nahi ki aap yaad aate nahi,
Khataa sirf itni hai ki hum bataate nahi,
Rishta aapka anmol hai hamare liye,
Samajhte ho aap isliye hum jatate nahi.
Ishq Paane Ki Tamanna Mein Sanam,
Zindagi Barbad Banker Reh Gayi,
Jis Surat Ko Dil Mein Basaya Tha Kabhi,
Aaj Woh Surat Ek Yaad Bankar Rah Gayi.
Nikli Mohabbat Ki Baat To Tum Yaad Aa Gaye,
Uthe Dil Mein Wo Zazbat To Tum Yaad Aa Gaye,
Garmi Ne Sukha Diya Tha Teri Yaadon Ko,
Hui Jab Pyaar Ki Barsat To Tum Yaad Aa Gaye.
Rooh Ko Tadpa Rahi Hai Unki Yaad,
Dard Ban Kar Chaa Rahi Hai Un Ki Yaad,
Ishq Se Ghabra Rahi Hai Un Ki Yaad,
Rukte-Rukte Aa Rahi Hai Un Ki Yaad,
Wo Hanse Wo Zer-e-Lab Kuch Keh Uthe,
Khwab Se Dikhla Rahi Hai Un Ki Yaad,
Main To Khudari Ka Qayal Hun Magar,
Kya Karun Phir Aa Rahi Hai Un Ki Yaad,
Ab Khyal-e-Tark-e-Rabt Zabt Hi Se Hai,
Khud B Khud Sharma Rahi Hai Un Ki Yaad.
Uska Naam Likh Likh Kar Mitana Bhool Jaati Hun,
Usko Jab Yaad Karti Hun, Bhulana Bhool Jaati Hun,
Bahut Si Aisi Baatain Hain, Jo Mere Dil Main Rehti Hain,
Magar Jab UsSe Milti Hun, Toh Sunana Bhool Jaati Hun.
Majburiyo Ko Hum Ankho Me Chupa Lete Hai,
Hum Kaha Rote Hai Halaat Rula Dete Hai,
Hum To Har Pal Yaad Krte Hai apko,
Par ap Yaad Na Karne Ka ilzam Laga Dete Hai.
Kadmo Ki Doori Se Dilon Ke Fansle Nahi Badhte,
Door Hone Se Dil Ke Ehsaas Nahi Marte,
Kuch Kadmon Ka Fansla Hi Sahi Hamare Beech,
Lekin Aisa Koi Pal Nahi Jab Hum Aapko Yaad Nahi Karte!
Jab aap ka naam juban par aata hai,
Pata nahi dil kyun muskurata hain,
Tasalli hoti hai mann ko koi to hai apna,
Jo haste hue har waqt yaad aata hai.