Glance through our Shayari Section and find the perfect Shayari to share on your social media account or to dedicate it to your near and dear ones. We have a wide range of heart touching Shayaris that are true to one’s feelings or emotions.
Aap ka ashiyana dil mein basaya hai,
Apki yadon ko seene se lagaya hai,
Pata nahi yaad aapki hi kyon aati hai,
Dost to hamne auron ko bhi banaya hai.
Khubsurat Hai Zindagi, Khuwab Ki Tarha,
Jane Kab Tut Jae, Kanch Ki Tarha,
Mujhe Na Bhulna Kisi Baat Ki Tarha,
Apne Dil Me Hi Rakhna Khubsurat Yaad Ki Tarha.
Dil Ne Hume Deewana Bana Diya,
Roye Na They Kabhi Aapne Rula Diya,
Humne Har Waqt Yaad Kiya Aapko,
Lekin Aapne Yaad Karne Mein Zamaana Laga Diya.
Mausam hai barish ka aur yaad tumhari aati hai,
Barish ke har qatre se awaz tumhari aati hai,
Badal jab garajte hain, dil ki dharkan badh jati hai,
Dil ki har ek dharkan se awaz tumhari aati hai,
Jab tez hawayein chalti hai to jaan hamari jati hai,
Mausam hai barish ka aur yaad tumhari aati hai.
मैं अपनी चाहतों का हिस्सा जो लेने बैठ जाऊं,
तो सिर्फ मेरा याद करना भी ना लौटा सकोगे..
Humne Kab Tumse Mulakaat ka wada Chaha,
Dur rehkar to tumhe aur bhi jyada chaha,
Yaad aaye mujhe aur bhi siddat se Tum,
Bhulne ka Tumhe jab bhi Irada Chaha.
Yaadon ko teri hamne khone na diya,
Ghamo ne bhi chup hone na diya,
Aankhein to aaj bhi bhar aayi teri yaad mein,
Par teri di hui kasam ne hamein rone na diya.
लाख चाहता हूँ कि तुझे याद ना करूँ,
मगर, इरादा अपनी जगह बेबसी अपनी जगह…।
Pyar chupta nahin aankhon chupane se,
Dil rukta nahi kisi ko samjhane se,
Ruk jati hai dhadkane tujhe bhool jaane se,
Hum tumhe yaad karte hai jeene ke bahane se.
Dil dhadakne ka sabab yaad aaya,
Woh teri yaad the ab yaad aaya,
Badi mushkil se din guzara tha,
Phir tere wada-e-shab yaad aaya,
Baith kar saya-e-gul main Nasir,
Hum bohat roye woh jab yaad aaya.
Kabhi Ek Lamha Aisa bhi Aata Hai,
Jisme beeta Hua kal Nazar ata Hai,
Bas Yaadein Reh Jati Hai Yaad krne K Liye,
Aur Waqt Sab Kuch Leke Guzar Jata Hai !!
Aasman ko neend Aaye to sulaye kaha,
dharti ko mot Aaye to dafnae kaha,
Aur hame tumhari yaad Aaye to JAAN jaye kahan.
Kyon tujhi ko dekhna chahti hain meri aankhein,
Kyon khamoshiyaan karti bas hain teri baatein,
Kyon itna chahane laga hoon tujhko main,
Ki taare ginte huye kat-ti hain meri raatein,
Tu hi kuchh bata de kya main karoon inka,
Har pal jo mujhe tadpaati hain teri yaadein.
Koi Chala Gaya Door To Kya Karein,
Koi Mita Gaya Sab Nishan To Kya Karein,
Yaad Aati Hai Ab Bhi Unki Hume Had Se Jyada,
Wo Yaad Na Kare To Kaya Kare.
Kitne Chehre Hai Duniya Me Magar,
Humko Ek Chehra Nazar Ata Hai,
Duniya Ko Ab Hum Kya Yaad Kare,
Apki Yaado Me Sara Waqt Guzar Jata Hai.
Har Subah Teri Muskurati Rahe,
Har Sham Teri Gungunati Rahe,
Meri Dua Hai Ki Tu Jis Se Bhi Mile,
Har Milne Wale Ko Teri Yaad Aati Rahe.
Wo hume bhulane ki baat karte hain,
Zara pucho hume kitna Yaad karte hain,
Chehre pe hansi ka dikhawa hai,
Magar Tanhai me Aansuo se fariyad karte hain.
Hasi Ke Raste Pe Chala Karo,
Khushiyo Ki Mahak Liya Karo,
Pyar Se Dilon Ko Chuha Karo,
Jahan Tumhe Gum Nazar Aaye,
Is Nacheez Ko Yaad Kiya Karo.
Jahan yaad na aaye teri,
Woh tanhaai kis kaam ki.
Bigde rishte na bane,
To khudaai kis kaam ki.
Beshak apni manzil tak jana hai hamein,
Lekin jahaan se apne na dikhein,
Woh oonchaai kis kaam ki!
Raat palkein jhapki to ek haseen khwaab aa gaya,
Apke pyar ka mehekta gulab aa gaya,
Do pal aap bhi yaad kar liya karo humein,
Aankhe khule to aapki yaad mein aansuo ka sailab aa gaya.