Glance through our Shayari Section and find the perfect Shayari to share on your social media account or to dedicate it to your near and dear ones. We have a wide range of heart touching Shayaris that are true to one’s feelings or emotions.
Dosti Insan Ki Zaroorat Hai,
Dilon Pe Dosti Ki Huqumat Hai,
Aap Ke Dosti Ki Wajah Se Zinda Hain,
Warna Kitno Ko Hamari Zaroorat Hai.
Mujhe Guman Hai K Chaha Hai Bohut Zamanay Ne,
Mujhe Main Azeez To Sab Ko Hon Magar Zaroraton Ki Tarah.
Mujhe kisi ki zarurat nahi Siway tere,
Mere nazar ko talash jis ki barson se,
Kisi ke paas wo surat nahi Siway tere,
Jo mere dil or meri zindagi se khel sake,
Kisi ko itni ijaazat nahi Siway tere..!!
Wada Karte Hain Dosti Nibhayenge,
Koshish Yahi Rahegi Tujhe Na Satyaenge,
Zarurat Pade Toh Dil Se Pukarana,
Mar Bhi Rahe Honge To Mohlat Lekar Aayenge.
Geet Ki Zaroorat Mehfil Mein Hoti Hai,
Pyar Ki Zaroorat Dil Mein Hoti Hai,
Bin Dosti Ke Adhuri Hai Yeh Zindagi,
Kyunki Dost Ki Zaroorat Har Pal Mehsus Hoti Hai.
Zakham Jab Mere Seene K Bhar Jayenge,
Aansu B Moti Bankar Bikhar Jaeenge,
Ye Mat Puchna Kis Kis Ne Dard Diya,
Warna Kuch Apno Ke Bhi Chehre Utar Jayenge.
Barbad Kar Geya Wo Zindagi Pyar K Nam Se,
Bewafai Mili Sirf Wafa K Nam Se,
Zakhm Hi Zakhm Diye Usne Dawa K Nam Se,
Khud Bhi Ro Para Wo Meri Mohabat Ke Anjam Se.
Kon Kise Dil Me Jagah Deta Hai,
Ped Bhi Sukhe Patte Gira Deta Hai,
Waakif Hai Hum Duniya Ke Rivaajo Se,
Jo Bhi Milta Hai Ek Naya Zakhm Deta Hai.
Main Zakhm Zakhm Hoon Ja Kar Miloon Kis Se,
Namak Se Tar Kapre Yahan Sab Pehne Hue Hain.
Dosti Jab Kisi Se Ki Jaye,
Dushmano Ki Bhi Raae Li Jaye,
Maut Kaa Zahar Hai Fizaaon Men,
Ab Kahaan Jaa Ke Saans Li Jaye,
Bas Isi Soch Men Huun Duubaa Huaa,
Ye Nadii Kaise Paar Ki Jaye,
Mere Maazii Ke Zakhm Bharane Lage,
Aaj Phir Koi Bhuul Ki Jaye,
Botalen Khol Ke To Pi Barason,
Aaj Dil Khol Ke Bhi Pi Jaye.
Kisi Dil Kusha Si Pukar Se Ussi Ek Bad-E-Bahar Se,
Kahi Barg Barg Namu Mili, Kahi Zakhm Zakhm Hara Huwa.
Bagair Jane Pehchane Ikrar Na Kijiye,
Muskurakar Dilko Bekarar Na Kijiye,
Phool Bhi De Jaate Hai Zakham Gehra Kabhi Kabhi,
Har Phool Pe Yun Aitbaar Na Kijiye.
Ae Zindagi Tu Kyon Meri Tamannayi Hai,
Yahan To Bas Dard Hai, Ashk Hain, Tanhayi Hai,
Pehli Si Mohabbat Mere Se Na Maang,
Mere Paas Bas Ab Zakham Aur Roosvai Hai.
Kaanch Chubhe Toh Zakhm Reh Jaate Hai,
Dil Toote Toh Armaan Reh Jaate Hai,
Lagaa Toh Deta Hai Waqt Marham Iss Dil Par,
Phir Bhi Umr Bhar Nishaan Reh Jaate Hai.
Kya Hai Ye Rishte, Ek Dhoka Hi To Hai,
Nadan Dilko Behlaneka Ek Samjhota Hi To Hai,
Rishte Ke Naampe Roz Dil Tutte Hai Yahan,
Kehneko Pyar Hai Par Gehra Zakham Hi To Hai.
Apne Hathon Se Chiraghon Ko Bujane Lag Jaien,
Tum To Kehte Ho K Hum Tikane Lag Jaien,
Os Ko Sochein To Rag-E-Jan Se Bhi Nazdeek Hai Wo,
Aor Dhondein To Kae Zamane Lag Jaien,
Hum Iss Aas Pe Bethe Hain Shikisht-E-Khayal,
Ain Mumkin Hai K Wo Ehd Nabhane Lag Jaien,
Mana K Zakhim Judai Ka Bohat Gehra Hai,
Aor Aisa Bhi Nahin Hai K Hum Dikhane Lag Jaien.
Zakham Dene Ka Andaz Kuch Aisa Hai,
Zakham De Kar Pochte Hain Ab Haal Kaisa Hai?
Kisi Aik Say Gila Kiya Karna Yaaro,
Saari Duniya Ka Mizaaj Aik Jaisa Hai.
Mohabbat Mein Laakhon Zakham Khaye Humne,
Afsos Unhe Hum Par Aitbar Nahi,
Mat Pucho Kya Gujarti Hai Dil Par,
Jab Vo Kehte Hai Hame Tumse Pyar Nahi..
Waqt Ke Is Mor Par Yeh Kaisa Waqt Aya Hai,
Zakhm Iss Dil Ka Zubaan Par Aaya Hai,
Nahi Rote The Hum Kanton Ki Chubhan Se,
Aaj Phoolo Ki Chubhan Ne Hume Rulaya Hai.
Ek Din Mere Dil Ko Jalan De Gaya,
Zindagi Mujhe Jeene Ka Kafan Dey Gaya,
Lakhon Pholo Mai Se Ek Phol Chuna Humne,
Jo Kanton Se Gehri Chuban Dey Gaya.