Glance through our Shayari Section and find the perfect Shayari to share on your social media account or to dedicate it to your near and dear ones. We have a wide range of heart touching Shayaris that are true to one’s feelings or emotions.
Ishq Ne Hume Rula Diya,
Jis Per Marte The Usne Hi Hame Bhula Diya,
Hum To Unki Yadon Mein Hi Jee Laitay,
Magar Unhone To Yaadon Mein Hi ZEHER Mila Diya.
Apno Ne Zehar Ka Jaam De Diya,
Gairoon Nay Bewafa Naam De Diya,
Jo Kehte The Hame Bhool Na Jana,
Unhi Ne Bhoolne Ka Paigam De Diya.
Aapko Bhule Vo Nazar Kaha Se Layein,
Kisi Aur Ko Chahe Vo Jigar Kaha Se Layein,
Reh Nahi Sakte Aapke Bina,
Uff Bhi Na Nikle Vo Zehar Kaha Se Layein.
Gunah Karke Saza Se Darte Hai,
Zehar Pee k Dawa Se Darte Hai,
Dushmano k Sitam Ka Khauff Nahi,
Hum Toh Doston Ki Wafa Se Darte Hain.
Baheti Hui Naadi Mein Unka Peas Hain,
Jalti Hui Shama Mein Unki Gharmi Ka Ehesaas Hain,
Kisi Aur Ke Saath Ghar Basa Liya Humne,
Seene Mein Basi Wahi Bewafa Pyar Ka Zeher Ki Raas Hain.
Woh Zeher Deta To Duniya Ki Nazzroon Mein Aaa Jaata,
Kamaal Ki Soch Thi Uski Pyaar Kyaa Or Choor Diyaa.
Apni Toh Aadat Hai Wafa Kisi Ki Bhula Nahi Sakte,
Khalus Dil Sy De Koi Zeher Bhi Thukara Nhi Sakte.
Ishq tujh se to zehar acha hai,
Kambhkat peene ke baad maut to gale laga leti hai.
Zindagi Ke Zehar Ko Yu Has Ke Pi Rahe Hai,
Tere Pyar Bina Yu Hi Zindagi Jee Rahe Hai,
Akelepan Se Ab Darr Nahi Lagta Hame,
Tere Jaane Ke Baad Yu Hi Akele Jee Rahe Hai.
Bulleh Shah Zeher Vekh Ke Peeta Te Ki Peeta,
Gaash Soch Ke Keeta Te Ki Keeta,
Dil De Ke Dil Lein Di Aas Rakhi,
Way Bulleh Pyar Ayho Jiya Kita Te Ki Keeta.
Kai rishtoon ko Jab parkha, nateeja Ek hi nikla,
Zarurat hi sabhi kuch hai, mohabbat kuch nahi hoti.
Aaj Har Ek Pal Khoobsurat Hai,
Dil Me Mere Sirf Teri Surat Hai,
Kuch Bhi Kahe Ye Duniya Gham Nahi,
Duniya Se Jyada Mujhe Teri Zarurat Hai.
Gair Ko Dard Batane Ki Zaroorat Kya Hai,
Apne Jagre Mein Zamane Ki Zaroorat Kya Hai,
Zindagi Vaise Hi Bahut Kam Hai Mohabbat Ke Liye,
Roothkar Waqt Gawane Ki Zaroorat Kya.
Pehle Se O Khaloos Wo Ulfat Nahi Rahi,
Ab Dosto Mein Rasm-E-Mohabbat Nai Rahi,
Ek Mudat Sey Meri Yaad Se Ghafil Hai Mera Dost,
Shayed Ab Usko Meri Zaroorat Nahi Rahi.
Mohabbat Se Mukar Jana Zaruri Ho Gya Tha,
Palat Ker Apnay-Gher Jana Zaruri Hogya Tha,
Nazar Andaaz Karnay Ki Saza Deni Thi Tujh Ko,
Teray Dil Meen Uttar Jana Zaruri Ho Gya Tha.
Woh Iss ANDAZ Ki Mujhse MOHABBAT Chahta Hai,
Mere Her KHUWAB Per Apni HOKUMAT Chahta Hai,
Mere Her LAFZ Mein Jo MUJ Se Barh Ker Bolta Hai,
Mere Her LAFZ Ki Muj Se WAZAHAT Chahta Hai,
Wo KEHTA Hai Ke Mein Us Ki ZARORAT Ban Chuki Hoon,
To Gaya Wo Mujh Hasb-e-Zaroorat Chahta Hai.
Shikvay Bhi Hazaron Hain Shikayat Bhi Bohat Hai,
Is Dil Ko Magar Os Say Mohabbat Bhi Bohat Hai,
Aa Jata Hai Milne Woh Tasawer Mein Sar-e-Sham,
Ik Shaks Ki Itni Si Enayat Bhi Bohot Hai,
Ye Bhi Hai Tammanna K Osay Dil Se Bhola Dein,
Is Dil Ko Magar Us Ki Zarorat Bhi Bohat Hai.
Hasrat Hai Sirf Tumhe Paane Ki,
Aur Koi Khwaahish Nahi Is Deewane Ki,
Shikwa Mujhe Unse Nahi Khuda Se Hai,
Kya Zarurat Thi Unhe Itna Kareeb Lane Ki.
Dosti Shayad Zindagi Hoti Hai,
Jo Har Dil Mein Basi Hoti Hai,
Waise To Jee Lete Hain Sabhi Akele Magar,
Phir Bhi Zaroorat Inn Ki Har Kisi Ko Hoti Hai.
Meri Chahatein Tumse Alag Kab Hain,
Dil Ki Batain Tumse Chupi Kab Hain,
Tum Sath Raho Dil Main Dharkan Ki Jaga,
Phir Zindagi Ko Sanson Ki Zarorat Kab Hai.