Glance through our Shayari Section and find the perfect Shayari to share on your social media account or to dedicate it to your near and dear ones. We have a wide range of heart touching Shayaris that are true to one’s feelings or emotions.
Ae shama teri umar tawaai hai ek raat,
Rokar gujar de ise ya hans ke gujar de!
तुम भूलकर भी याद नहीं करते हो कभी,
हम तो तुम्हारी याद में सबकुछ भुला चुके!
Zaahid sharab peene se qaafir hua main kyon,
Kya dedh chulloo pani mein imaan bah gaya.
kal gaye the tum jise bimaar-e-hijaraa.N chhoD
kar chal basaa vo aaj sab hastii kaa saamaa.N chhoD
kar tifl-e-ashk aisaa giraa daaman-e-mizshagaa.N chhoD
kar phir na uTThaa kuuchaa-e-chaak-e-garebaa.N chhoD
kar sard-meharii se kisii kii aag se dil sard hai
yaa.N se haT jaa dhuup ai abr-e-bahaaraa.N chhoD
kar gar Khudaa deve qana’at maah-e-yak-haftaa kii tarah
dau.De saarii ko kabhii aadhii na i.nsaa.N chhoD ka
जाते हवाए-शौक* में हैं, इस चमन से “जौक”,
अपनी बला से बादे -सबा* अब कभी चले.
हवाए-शौक-शौक को पूरा करने की ख्वाहिश,
बादे-सबा- सबेरे की पुर्वा हवा.
Nigaahe-kahar ke maare jab itne khush hai to phir
NIgaahe-lutf ke maaro ka haal kya hoga?
Kya faayeda fikr e baish-o-kam se hoga,
Hum kya hain jo koi kaam hum se hoga,
Jo kuch hua, hua karam se tere,
Jo kuch hoga tere karam se hoga.
Ishq ke dastan hai pyare,
apni apni zuban hai pyare,
hum zamane se intaqam to lain,
ek hasin darmiyan hai pyare,
tu nahi main hun main nahi tu hai,
ab juch aisa guman hai pyare,
rakh qadam phunk phunk kar nadan,
zarre zarre mein jan hai pyare.
Kaat Kar Zuban Meri Keh Raha Tha Woh,
FARAZ
Aab Tumhein Ijazat Hay Haal E Dil Sunane Ki.
Mohabbat Ka Taqaza Hai Keh Band Apni Zuban Kar Lein,
Zara C Baat Pr Kyun Hum Kisi Ko Baad Gumaan Kr Lein.
Zuban Khamosh Hoti Hai Nazar Se Kaam Hota Hai,
Esi Mahool Kaa Shahid Mohabbat Naam Hota Hai.
Zubaan Khamosh Aankhoon Main Naami Hogi,
Yehi Bus Aik Dastaan-E-Zindgi Hogi,
Bharne Ko Tu Har Zakham Bhaar Jayegaa,
Kaise Barhegi Woh Jagah Jahan Teri Kami Hogi.
Piyaas Aisi Ke Pee Jaon Samunder Saare Faraz,
Naseeb Aisa Ke Muyassar Zeher Bhi Nahi.
Zehar Deta Hai Mujhe Koi Dawa Deta Hai,
Jo Bhi Milta Hai Mere Ghum Ko Badha Deta Hai,
Kyun Sulagti Hain Mere Dil Main Purani Yaadein,
Kaun Bujhete Hue Sholon Ko Hawaa Deta Hai,
Haal Hans Hans Ke Bulata Hai Kabhi Baahon Main,
Kabhi Maazi Mujhe Ro Ro Ke Sada Deta Hai.
Tere Jaan Pichhon Haal Ki Bna Leya,
Labhda Si Phull Hath Kandeya Nu Pa Leya,
Dil Di Pyaas Nu Bujhaun De Khyaal Wich,
Paani De Bhulekhe Zehar Bullan Nu La Leya.
Nafrat Thi Humse To Pyar Kyon Kiya?
Dena Tha Zeher To Ikraar Kyon Kiya?
Deke Zeher Ab Kehte Ho Ke Peena Hi Hoga,
Aur Jab Pee Gaye,
To Kehte Ho Ki Ab Jeena Bhi Hoga.
Sanam Ne Diya Zeher Toh Hum Has Ke Nigal Gaye,
Jab Hum Na Mare, To Humko Hi Humara Humshakal Keh Gaye.