Glance through our Shayari Section and find the perfect Shayari to share on your social media account or to dedicate it to your near and dear ones. We have a wide range of heart touching Shayaris that are true to one’s feelings or emotions.
Saaz-e-ulfat chhid raha hai aansuon ke saaz par,
Muskuraaye hum to unko bad-gumani ho gai.
Sab ko maara Jigar ke sheron ne
Aur Jigar ko sharaab ne maara
Dard badh kar fugaan na ho jaaye,
ye zameen aasman na ho jaaye.
Dil mein dooba hua jo nashtar hai,
mere dil ki zubaan na ho jaaye.
Dil ko le lijiye jo lena hai,
phir ye sauda giraan na ho jaaye.
Aah kije magar lateef-tareen,
lab tak aa kar dhuaan na ho jaaye. !!
Mujhe de rahen hain tasalliyaan woh har ek taaza payaam se,
kabhi aa ke manzar-e-aam par, kabhi hat ke manzar-e-aam se.
Na gharaz kisi se na wasta, mujhe kaam apne hi kaam se
tere zikr se, teri fikr se, teri yaad se, tere naam se.
Mere saaqiya, mere saaqiya, tujhe marhaba, tujhe marhaba
tu pilaaye ja, tu pilaaye ja, issi chashm-e-jaam-ba-jaam se.
Teri subah-o-aish hai kya bala, tujhe aye falak jo ho hausla
kabhi kar le aa ke muqaabla ghum-e-hijr-e-yaar ki shaam se. !!
वही है ज़िंदगी लेकिन जिगर ये हाल है अपना
कि जैसे ज़िंदगी से ज़िंदगी कम होती जाती है
Muddat mein woh phir taza mulaqaat ka aalam,
khamosh adaaon mein woh jazbaat ka aalam.
Allah re woh shiddat-e jazbaat ka aalam,
kuchh keh ke woh bhooli hui har baat ka aalam.
Aariz se dhalakte hue shabnam ke woh qatre,
aankhon se jhalakta hua barsaat ka aalam.
Woh nazaron hi nazaron mein sawaalaat ki duniya,
woh ankhon hi ankhon mein jawaabaat ka aalam. !!
Laakh aaftaab paas se ho kar gujar gaye,
Ham baithe intizaar-e-sahar dekhte rahe.
Saaqi par ilzaam na aaye,
chaahe tujh tak jaam na aaye.
Tere siwa jo ki ho mohabbat,
meri jawaani kaam na aaye.
Jin ke liye mar bhi gaye hum,
woh chal kar do gaam na aaye.
Ishq ka sauda itna garaan hai,
inhen hum se kaam na aaye.
Maikhaane mein sab hi toh aaye,
lekin ‘jigar ka naam na aaye. !!
Na Jaane Ashk Se Aankhon Mein Kyon Hai Aaye Hue
Guzar Gayaa Zamaanaa Tujhe Bhulaaye Hue
Jo Manzilen Hain To Bas Raharavaan-E-Ishq Kii Hain
Vo Saans Ukhadii Huii Paanv Dagmagaaye Hue
Na Rahzanon Se Ruke Raaste Mohabbat Ke
Vo Kaafile Nazar Aaye Lute Lutaaye Hue
Ab Is Ke Baad Mujhe Kuchh Khabar Nahiin Un Kii
Gam Aashanaa Hue Apane Hue Paraaye Hue
Ye Iztiraab Saa Kyaa Hai Ki Muddaten Guzarii
Tujhe Bhulaaye Hue Terii Yaad Aaye Hue
Ye To Nahin Ke Gam Nahin
Haan Meri Aankh Nam Nahin
Tum Bhi To Tum Nahiin Ho Aaj
Ham Bhi To Aaj Ham Nahin
Ab Na Khushi Ki Hai Khushi
Gam Kaa Bhi Ab To Gam Nahin
Maut Agarche Maut Hai
Maut Se Zist Kam Nahin
आज कैसी हवा चली ऐ ‘फिराक’, आख बेइख्तियार भर आई।
कहाँ वह खल्वतें दिन-रात की और अब यह आलम है,
कि जब मिलते हैं दिल कहता है, कोई तीसरा होता।
अपना गम किस तरह से बयान करूँ, आग लग जायेगी इस जमाने में।
Ab aa gaye hain aap to ata nahin hai yaad,
Warna kuch hum ko aap se kehna zaroor tha..
Phir aaj ashk se ankhon mein kyun hain aye huye,
Guzar geya hai zamaana tujhe bhulaaye huye..
Yeh bhi sach hai koi ulfat mein pareshan kyun ho,
Yeh bhi sach hai koi kyun kar na pareshan ho jaye..
Ab aa gaye hain aap to aata nahi hai yaad,
Warna kuch hum ko aap se kehna zaroor tha..
Aaye the hanste khalte mai-kade main “firaq”,
Jab pee chuke sharaab to sanjeeda ho gaye..