Glance through our Shayari Section and find the perfect Shayari to share on your social media account or to dedicate it to your near and dear ones. We have a wide range of heart touching Shayaris that are true to one’s feelings or emotions.
Agar na zohara-jabeenon ke darmiyaan gujare,
To phir ye kaise kate zindagi kahan gujare.
Agar-Na-Zohara-Jabeenon-Ke
Wo the na mujhse door na main unse dur tha,
Aata na tha nazar to nazar ka kusoor tha.
Ik lafz-e-mohabbat ka adna ye fasaana hai,
Simte to dil-e-aashiq faile to zamaana hai.
Humko mita sake, yah zamaane mein dum nahin,
Humse zamaana khud hai, zamaane se hum nahin.
Ye ishq nahin aasaan itna to samajh leeje,
Ek aag ka dariya hai aur doob ke jaana hai.
Kuchh khatkta to hai pahalu mein mere rah-rah kar,
Ab khuda jaane teri yaad hai ya dil mera.
Ghum ho gaya hun, bazme-e-tamnna mein aake main,
Kis-kis pe jaan dijiye, kis-kis ko chaahiye.
Sab jisko aseeri kehate hain wah hai to aseeri hi leqin,
Wah kaun-si aazadi hai yahan, jo aap khud apna daam nahin.
Sakoon hai maut yahan zauk-e-justjoo ke liye,
Yah tishnagi wah nahin hai jo bujhaai jaati hai.
Yaarab huzoom-e-dard ko de aur vusatein,
Daaman to kya abhi meri aankhein bhi nam nahin.
Yahi husn-o-ishq ka raaz hai, oi raaz iske siwa nahin,
Jo khuda nahin to khudi nahin, jo khudi nahin to khuda nahin.
Yah misra kaash naqah-e-har dar-o-deewar ho jaaye,
Jise jeena ho marne ke liye taiyaar ho jaaye.
Tere firaq ke gham ne bacha liya sabse,
Mere kareeb ab koi bala nahin aati.
Pehale sharaab zist thi, ab zist hai sharaab,
Koi pila raha hai, piye jaa raha hun main.
Phool wahi, chaman wahi, fark nazar-nazar ka hai,
Ahade-bahar mein kya tha, daure-khijaan mein kya nahin.
Meri hasti shauke-paiham meri fitrat izitraab,
Koi manzil ho magar gujara chala jaata hun main.