Glance through our Shayari Section and find the perfect Shayari to share on your social media account or to dedicate it to your near and dear ones. We have a wide range of heart touching Shayaris that are true to one’s feelings or emotions.
Tul-e-gham-e-hayaat se ghabra na e Jigar,
Aisi bhi koi shaam hai jis ki shar na ho.
Dard o gham dil ki tabiyat ban gaye,
Ab yahan aaraam hi aaraam hai.
Teri khushi se agar gham mein bhi khushi na hui
Wo zindagi to mohabbat ki zindagi na hui
Betaabiyaan samet ke saare jahan ki,
Jab kuch na ban saka to mera dil bana diya.
Tujhe bhool jaana to mumkin nahin hai,
Magar bhool jaane ko jee chaahata hai.
Jo na samjhe naaseho phir us ko samjhaate ho kyon,
Saath deewane ke deewane bane jaate ho kyon.
Gulshan-parast hun mujhe gul hi nahin azeez,
Kaanton se bhi nibaah kiye jaa raha hun main.
Jaan hi de di “Zigar” ne aaj paa-e-yaar par,
Umar bhar ki be-karaari ko karaar aa hi gaya.
Jaa aur koi jabt ki duniya talaash kar,
E ishq ham to ab tire qaabil nahin rahe.
Jise sayyaad ne kuch gul ne kuchh bulbul ne kuchh samjha,
Chaman mein kitani maani-khej thi ik khaamushi miri.
Zindagi ik haadsa hai aur kaisa haadsa,
Maut se bhi khtm jis ka silsila hota nahin.
Gark kar de tujh ko zaahid teri duniya ko kharaab,
Kam se kam itani to har may-kash ke paimane mein hai.
Gunaahgaar ke dil se na bach ke chal zaahid,
Yahin kahin tiri jannat bhi paai jaati hai.
Gudaaz-e-ishq nahin kam jo main jawaan na raha,
Wahi hai aag magar aag mein dhuaan na raha.
Kya husn ne samjha hai kya ishq ne jaana hai,
Ham khaak-nasheenon ki thokar mein jamaana hai.
Kidhar se barq chamakti hai dekhen e waaiz,
Main apne jaam uthaata hun tu kitaab utha.