Shayari

Glance through our Shayari Section and find the perfect Shayari to share on your social media account or to dedicate it to your near and dear ones. We have a wide range of heart touching Shayaris that are true to one’s feelings or emotions.

Latest Shayari

Saaqi Ki Mohabbat Mein Dil Saaf

Saaqi ki muhabbat mein dil saaf hua itna,
Jab sar ko jhukaata hoon sheesha nazar aata hai.

Vote This Post DownVote This Post Up 0

Sakhtiyan Karta Hoon Dil Par

Sakhtiyan karta hoon dil par gair se gaafil hoon main,
Haay kya achchi kahi zaalim hoon, zaahil hoon main.

Vote This Post DownVote This Post Up 0

Taskeen Na Ho Jisse Wo Raaz Badal Dalo

Taskeen na ho jis se wo raaz badal dalo,
Jo raaz na rakh paye hamraaz badal dalo,

Tum ne b suni ho gi bari aam kahawat hai,
Anjam ka jo ho khatra aghaz badal dalo,

Pur-soz dilon ko jo muskan na de paye,
Sur hi na mile jis mai wo saaz badal dalo,

Dushman k iradon ko hy zahir agar karna,
Tum khel wohi khelo andaz badal dalo,

Ay dost karo himat kuch door sawera hai,
Agar chahte ho manzil tu parwaaz badal dalo.

Vote This Post DownVote This Post Up +2

Sitaaron Se Aage Jahan

Sitaaron se aage jahan aur bhi hain,
Abhi ishq ke imtihan aur bhi hai.

Vote This Post DownVote This Post Up 0

Daikh Kaisi Qayamat Si Barpa Hui

DaiKh Kaisi Qayamat Si Barpa Hui Hai Aashiyanon Pay IQbaL,
Jo Lahoo Se Tameer Huye Thay, Paani Se Bah Gaye.

Vote This Post DownVote This Post Up 0

Khuda Ke Bande To Hain Hazaron

Khuda ke bande to hain hazaron bano mein firte hai mare-mare
MAin uska banda banooga jisko khuda ke bandon se pyaar hoga

Vote This Post DownVote This Post Up -1

Naheen Hai Na Umeed Iqbal

naheen hai na umeed Iqbal apni kasht o weeraan se,
zra nam ho to ya mti baree zarhaiz hai saaqi.

Vote This Post DownVote This Post Up 0

Hazaron Saal Nargis Apni Benoori

Hazaron saal nargis apni benoori pe roti hai,
Badi mushkil se hota hai chaman mein deedawar paida.

Vote This Post DownVote This Post Up 0

Masjid Khuda Ka Ghar Hai

Masjid khuda ka ghar hai, peeney ki jagha nahin,
Kaafir ke dil mein ja, Wahan khudaa nahin..

Vote This Post DownVote This Post Up +1

Mujhe Rokega Tu Ae Nakhuda Kya

Mujhe rokega tu ae nakhuda kya gark hone se,
Ki jise doobna ho, doob jaate hai safeenon mein.

Vote This Post DownVote This Post Up 0

Jin Ke Angan Mein Ameeri

Jin ke angan mein Ameeri ka shajar lagta hai,
Un ka her aaib bhi zamany ko hunar lagta hai.

Vote This Post DownVote This Post Up 0

Mita De Apni Hasti Ko Gar Kuchh

Mita de apni hasti ko gar kuchh martba chaahiye,
Ki daana khaak meinmilkar, gule-gulzaar hota hai.

Vote This Post DownVote This Post Up 0

Dil Ki Basti Ajeeb Hai

Dil ki basti ajeeb hai,
Lootne waale ko tarsati hai.

Vote This Post DownVote This Post Up 0

Woh Apne Karam Ungaliyon Par Ginte Hain

वह अपने करम उँगलियों पर गिनते हैं,
पर ज़ुल्म का क्या जिनके कुछ हिसाब नहीं

हम दूर तक यूँ ही नहीं पहुंचे ग़ालिब ,
कुछ लोग कन्धा देने आ गए थे…. .

Vote This Post DownVote This Post Up 0

Khuda To Milta Hai

Khuda to milta hai, Insaan hi nahin milta,
Yeh cheez woh hai jo dekhi kahin kahin meine.

Vote This Post DownVote This Post Up 0

Doondta Rehta Hoon Ae

Doondta rahta hoon ae ‘Iqbal’ apne aap ko,
Aap hi goya musafir, aap hi manjil hoon main.

Vote This Post DownVote This Post Up 0

Mai Joh Chaho Toh Abhi Tod Lu

मैं जो चाहों तो अभी तोड़ लु हर प्यार का नाता तुम से,
पर कम्भख्त मैं बुजदिल हूँ न जाने क्यों मुझे मौत से डर लगता है,
ये मुझे चैन क्यों नहीं पड़ता ,
एक ही शख्स था क्या पुरे जहान में,
मैं उसका हूँ, यह तो मैं जान गया हों लेकिन,
वह किस का है, ये सवाल मुझे सोने नहीं देता…

Vote This Post DownVote This Post Up 0

Bura Samjho Unhein Mujhse To Aisa

Bura samjho unhain mujhse to aisa ho nahi sakta,
Kah main khud tou hoon Iqbal apnay nukta chinoon main..

Vote This Post DownVote This Post Up 0

Jafa Jo Ishq Mein Hoti Hai

Jafa jo ishq mein hoti hai wah zafa hi nahin,
Sitam na ho to muhabbat mein kuchh maza hi nahin.

Vote This Post DownVote This Post Up 0

Meri Bahaduri Ke Kisse Kitne

मेरी बहादुरी के किस्से कितने मशहूर थे इस शहर में,
पर तुझे खो जाने के डर ने मुझे कायर बना दिया…..
मैंने कहा की बहुत प्यार आता है तुम पर,
वो मुस्कुरा की बोले और तुम्हे आता ही क्या है……
चलो अच्छा हुआ काम आ गयी दीवानगी अपनी,
वरना हम ज़माने भर को अपनी मोहब्बत समझाने कहाँ जाते?

Vote This Post DownVote This Post Up 0