Glance through our Shayari Section and find the perfect Shayari to share on your social media account or to dedicate it to your near and dear ones. We have a wide range of heart touching Shayaris that are true to one’s feelings or emotions.
Kab Yaad Mein Teraa Saath Nahin Kab Haath Me.N Teraa Haath Nahin
Sad Shukr Ke Apanii Raaton Mein Ab Hijr Kii Koii Raat Nahin .
Pindaar Ke Khogar Ko Naqaam Bhi Dekhoge?
Aaghaaz Se Waaqif Ho Anjaam Bhi Dekhoge?
Rungini-o-Duniya Se Mayoos Sa Ho Jana……
Dukhta Howa Dil Le Kar Tanhaayi Mein Kho Jaana
Tarsi Howi Nazron Ko Hasrat Se Jhuka Lena
Faryaad Ke Tukron Ko Aahon Mein Chhupa Lena
Raaton Ki Khamooshi Mein Chhup Kar Kubhi Ro Lena
Majboor Jawaani Ke Malboos Ko Dho Lena
Jazbaat Ki Wusat Ko Sajdon Se Basaa Lena
Bhooli Howi Yaadon Ko Seenay Se Laga Lena.
Donon Jahaan Teri Mohabbat Mein Haar Ke
Woh Jaa Raha Hai Koi Shab-E-Gham Guzaar Ke..
Raaz-e-Ulfat Chhupa Ke Dekh Lia
Dil Bohat Kuch Jalaa Ke Dekh Lia
Aur Kia Dekhnay Ko Baaki Hai ?
Aap Se Dil Lagaa Ke Dekh Lia
Wo Mere Ho Ke Bhi Mere Na Howay
Un Ko Apna Banaa Ke Dekh Lia
Aaj Unki Nazar Mein Kuch Ham Ne
Sab Ki Nazrain Bacha Ke Dekh Lia
“Faiz” Takmeel-e-Gham Bhi Na Ho Saki
Ishq Ko Aazmaa Ke Dekh Lia.
Ham Parwarish-e-Loh-o-Qalam Karte Rahain Ge
Jo Dil Pe Guzarti Hai, Raqam Karte Rahain Ge.
Marne ke baad bhi meri aankhein khuli rahin,
Aadat jo parr gayi thi tere intizaar ki.
Kab Yaad Main Tera Sath Nahi Kab Hath Main Tera Hath Nahi
Sad Shukr K Apni Raaton Main Aab Hijar Ki Koi Raat Nahi.
Sach Hai Hameen Ko Aap Ke Shikway Bajaa Na The,
Be-Shak Sitam Janaab Ke Sab Dostaana The.
Yeh ajab qayamaten hain teri rahguzar main guzaari,
Na ho ke mar mittain hum, na ho ke jee uthain hum..
Kahan tak sunegi raat kahan tak sunayenge hum,
Shikwey saarey sabb aaj tere rubaruu karain..
Uth Kar Tu Aa Gaye Hain Teri Bazm Se Magar,
Kuch Dil Hi Janta Hai Keh Kis Dil Se Aaye Hain.
Mitt jaye gi makhlooq to insaaf karoge,
Munsif ho agar to hashar uthaa kyon nahin dete.
Dono jahan teri mohabbat mein haar ke,
Woh jaa raha hai koi shab-e-gham guzaar ke.
Bahut Mila Na Mila Zindagi Se Gham Kya Hai,
Mata-E-Dard Baham Hai To Besh-O-Kam Kiya Hai.
Dil na’umeed to naheen, nakaam hi to hai,
Lambi hai gham ki sham, magar shaam hi to hai..
Chand Nikale Kisi Jaanib Teri Zebaai Ka,
Rang Badale Kisi Suurat Shab-E-Tanhaai Ka.
Ab jo koi pooche bhi to us se kya sharaah-e-halaat kahen,
dil thehre to dard sunaayen dard thamme to baat karen,
shaam hui phir josh-e-qadah ne bazm-e-harifaan roshan ki,
ghar ko aag lagaayen ham bhi roshan apni raat kahen,
qatl-e-dil-o-jaan apne sar hai apna lahuu apni gardan par,
mohr-ba-lab bethe hain kis ka shikva kis ke saath karen,
hijr main shab bhar dard-o-talab ke chaand sitaare saath rahe,
subh ki viraani me yaaro kaise basar aukaat karen..
Chashm-E-Mayagun Zaraa Idhar Karde,
Dast-E-Kudarat Ko Be-Asar Karde.