Glance through our Shayari Section and find the perfect Shayari to share on your social media account or to dedicate it to your near and dear ones. We have a wide range of heart touching Shayaris that are true to one’s feelings or emotions.
Ishq kya cheez hai yeh poochhiye parwaane se,
Zindagi jisko mayssar hui mar jaane ke baad.
Yeh zulf agar khul ke bikhar jaye to acha,
Iss raat ki taqdeer sanwar jaye to acha,
Jis tarah se thori si tere saath katti hai,
Baaqi bhi issi tarah guzar jaaye to acha,
Duniya ki nigaahon mein bhalaa kya hai bura kya,
Yeh bojh agar dil se utar jaaye to acha,
Waise to tumhiin ne mujhe barbaad kiyaa hai,
Ilzaam kisi aur ke sar jaaye to acha..
Kabhi khud pe, kabhi halaat pe rona aaya,
Baat nikali to har ek baat pe rona aaya.
Teri duniya mein jeene se to behtar hai ke mar jaayen,
Wohi aansuu wohi aahen wohi gham hai jidhar jaayen,
Koi to aisa ghar hota jahan se pyaar mil jaata,
Wohi begaane chehre hain jahaan jaayen jidhar jaayen,
Arey o aasmaan waale bataa is mei buraa kya hai,
Khushi ke chaar jhonke gr idhar se bhi guzar jaayen.
Jab bhi jee chahe nai duniya basa lete hain log,
Ek chehare pe kai chehare laga lete hai log.
Sazaa ka haal sunaayien jazaa ki baat karen,
Khudaa mila ho jinhe woh khudaa ki baat karen,
Unhen pata bhi chale aur woh khafaa bhi na hon,
Iss ehtiyaat se kya mudaa.aa ki baat karen,
Hamare ehd ki tehzeeb mei qabaa hi nahin,
Agar qabaa ho to band-e-qabaa ki baat karen,
Har ek daur ka mazhab neyaa khuda laaya,
Karen to hum bhi magar kis khuda ki baat karen,
Wafaa-shuaar keyi hain koi haseen bhi to ho,
Chalo phir aaj ussi bewafaa ki baat karen..
Yaad mitati hai na manzar koi mit sakta hai,
Door jaakar bhi tum apne aap ko yahan paaogi.
Ab to daaman-e-dil chorr do bekaar umeedo,
Bohat dukh sehh liye mene bohat din jee liya maine..
Mai pal do pal ka shayar hoon pal do pal meri kahani hai,
Pal do pal meri hasti hai pal do pal meri jawani hai.
Kaun rota hai kisi aur ki khaatir aye dost,
Sab ko apni hi kissi baat pe rona aaya..
Gar zindgi mein mil gaye phir ittfaak se,
Poonchhenge apna haal teri bebasi se hum.
Phir na kijiye meri gustaakh nigaahi ka gila,
Dekhiye aap ne phir pyaar se dekha mujhe..
Apni tabahiyon ka mujhe koi gham nahin,
Tumne kisi ke saath mohabbat nibha to di.
Mohabbat tark ki maine, girebaan sii liya maine,
Zamaane ab to khush ho zeher yeh bhi pii liya maine..
Wah afsana jise anjam tak, laana na ho mumkin,
Use ek khoobsurat mod dekar, chhodna achchha.
Dil mein ab yun tere bhooley howey gham ate hain
Jese bichre huye kaabey mein sanam ate hain
Ek ek kar ke huye jate hain diye tarey roshan
Meri manzil ki taraf tere kadam ate hain
Raqs-e-meh tez karo, Saaz ki leh tez karo
Suye meh-khana safeeran-e-haram ate hain
Kuch humain tou nahin ehsan uthaney ka dimagh
Woh tou jab ate hain mayel be-karam ate hain
Aur kuch der na guzrey shab-e-furkat se kaho
Dil bhi kam dukhta hai, woh yaad bhi kam ate hain
Duniya ne teri yaad se begaana kar diya,
Tujh se bhi dil-fareb hain gham rozgaar ke…
Bara hai dard ka rishta, Yeh dil ghareeb sahi,
Tumhare naam pe aayen ge ghamgusaar chale..
Phir nazar mein phool mehke, Dil mein phir shamain jali’n,
Phir tassawur ne liya uss bazmm mein jaane ka naam.