Glance through our Shayari Section and find the perfect Shayari to share on your social media account or to dedicate it to your near and dear ones. We have a wide range of heart touching Shayaris that are true to one’s feelings or emotions.
E gham-e-duniya tujhe kya ilm tere waaste,
Kin bahaano se tabiyat raah pe laai gai.
Ummeed waqt ka sabse bada sahara hai,
Gar hausala hai to har mauj mein kinaara hai.
Ubhrenge ek baar abhi dil ke walwale,
Go dab gaye hain baare-gham-zindagi se hum.
Unhein apna nahin sakta magar itna bhi kya kam hai,
Ki kuchh muddat haseen khwaabon mein khokar jee liya maine.
Lo aaj humne tod diya rishta-e-ummeed,
Lo ab kabhi gila na karenge kisi se hum.
Yeh mana kisi qaabil nahin hun in nigaahon mein,
Bura kya hai agar is dil ki veerani mujhe de do.
Main dekhoon to sahi yah duniya tujhe kaise sataati hai,
Koi din ke liye tum apni nigahbaani mujhe de do.
Mere khwaabon ke jhrokhon ko sazaane waali,
Tere khwaabon mein kahi mera gujar hai ki nahin.
Meri jaan tujh pe sadke, ehsaan itna kar do,
Meri zindagi mein apni chaahat ka rang bhar do.
Phir na kije meri gustaakh nigaahon ka gila,
Dekhiye aapne phir pyaar se dekha mujhko.
Paas jaayein to hosh kho baithein,
Door rahiye to jaan pe banti hai.
Tere daaman mein gulista bhi hai veerane bhi,
Mera haasil, meri taqdeer, bata de mujhko.
Gham is kadar barhey ke mein ghabra ke pee gaya,
Is dil ki be-basi pe tarss kha ke pee gaya,
Thukra raha tha mujh ko bari der se jahan,
Main aaj sab jahan ko thukraa ke pee gaya..
Tum mere liye koi ilzaam na dhoondho,
Chaaha tha tumhein, yahi ilzaam bahut hai.
Bujhaa diye hain khud apne hathon mohabton ke diye jala ke,
Meri wafaa ne ujaarr di hain umeed ki bastiyaan basaa ke,
Tujhe bhulaa denge apne dil se yeh faisla to kiya hai lekin,
Na dil ko maluum hai na hum ko jiyenge kaise tujhe bhula ke,
Kabhi milenge jo raaste mei to muunh phiraa kr palatt parrenge,
Kahin sunen ge jo naam tera to chup rahenge nazar jhuka ke,
Na sochne pr bhi sochti huun ke zindgaani mein kya rahe ga,
Teri tamanna ko dafn kr ke tere khayaalon se duur jaa ke..
Tum mujhe bhool bhi jaao toh yah haq hai tumko,
Meri baat aur hai maine to muhabbat ki hai.
Bharrkaa rahe hain aag lab-e-naghmagar se hum,
Khamosh kya rahen ge zamaane ke ddar se hum,
Kuch aur barrh gaye jo andhere to kya hua,
Maayuus to nahin hain tuluu-e-sehar se hum,
Le de ke apne paas faqat ik nazar to hai,
Kyun dekhen zindagi ko kisi ki nazar se hum,
Maaana ke is zameen ko na gulzaar kr sake,
Kuch khaar kum to kar gaye guzre jidar se hum..
Umar bhar rengte rehane se to behtar hai,
Ek lamha jo teri rooh mein vusat bhar de.
Abhi zinda hun lekin sochta rehata hun khalwat mein,
Ki ab tak kis tamnna ke sahaare jee liya maine.
Ab aayein ya na ayein idhar puchte chalo,
Kyaa chahti hai un ki nazar puchte chalo,
Ham se agar hai tark-e-talluq to kya hua,
Yaaro koi to un ki khabar puchte chalo,
Jo khud ko keh rahe hain ke manzil-shanaas hain,
Un ko bhi kya khabar hai magar puchte chalo,
Kis manzil-e-muraad ki janib ravaan hain hum,
Ae raah-e-ravaan e khaak-bassar puchte chalo..