Glance through our Shayari Section and find the perfect Shayari to share on your social media account or to dedicate it to your near and dear ones. We have a wide range of heart touching Shayaris that are true to one’s feelings or emotions.
Pehale sau baar idhar aur udhar dekha hai,
Tab kahin dar ke tunhen ek baar dekha hai.
Shabe intezar ki kashmkash na poonch kaise sahar hui,
Kabhi ek charag jala liya, kabhi ek charag bujha diya.
Jawfa ke jikr par tum kyon sambhalkar baith gaye,
Tumhari baat nahin, baat hai zamaane ki.
Jala ke mashal-e-jana, hum junoone sifat chale,
Jo ghar ko aag lagaye hamare sath chale.
Duniya kare sawaal to hum kya jawaab dein,
Tumko na ho khyaal to hum kya jawaab dein.
Dekh zinda ke pare joshe junoon, joshe bahaar,
Raqs karna hai to phir paanv ki zanzeer na dekh.
Rehte the kabhi jinke dil mein, hum jaan se bhi pyaaron ki tarah,
Baithe hain unhi ke koonche mein hum, aaj gunahgaaron ki tarah.
Rok sakta hume zindane bala kya Majrooh,
Hum to aawa hai deewaron se chan jate hain.
Bacha liya mujhe toofan ki mauj ne warna,
Kinaare waale safeena mera dubo dete.
Mujhe sahal ho gai manzilein wo hawa ke rukh bhi badal gaye,
Tera hath, hath mein aa gaya ki chirag raah mein jal gaye.
Main akela hi chala tha janibe-manzil magar,
Log aate gaye aur kaarvan banta gaya.
Taqdir ka sikwa bemani, jeena hi tujhe manjoor nahin,
Aap apna muqaddarban na sake, itna to koi majboor nahin.
Kis lutf se jhunjhla ke wo kahte hain shab-e-vasl,
Zaalim teri aankhon se gayi neend kidhar aaj.
Bahut dino se hai ye mashgala siyasat ka,
Ke jab jawan hon bachay tou qatal ho jayen.
Rooh ko shaad karey dil ko jo pur-noor kare,
Har nazare mein yeh tanveer kahan hoti hai.
Taaruf rog ban jaye toh usko bhulna behtar,
Taaluq bojh ban jaye toh usko todna acchha.
Tere bachpan ko jawani ki dua deti hoon,
Aur dua de ke pareshan si ho jati hoon.
Zindagi ek sulagti si chita hai “Sahir”,
Shola banti hai na ye bujh ke dhuaa hoti hai.