Glance through our Shayari Section and find the perfect Shayari to share on your social media account or to dedicate it to your near and dear ones. We have a wide range of heart touching Shayaris that are true to one’s feelings or emotions.
Kaun deta hai umar bhar ka sahara aye Faraz,
Log to Janaazaye main bhi kandhe badalte rahte hain.
Is tarah gaur se mat dekh mera haath ae Faraz,
In laqiron mein hasraton ke siwa kuch bhi nahin.
Kis Qadar Masoom Sa Lehja Tha Un Ka “FARAZ”
Dheere Sey Jaan Keh Kar Humein Bejaan Kar Gaya.
Mere lafzoon ki pehchaan agar kar leta wo Faraz,
Usay mujse nahi khud se muhabbat ho jati.
Itani si baat pe dil ki dhadkan ruk gai Faraz,
Ek pal jo tasvvur kiya tere bina jeene ka.
Tanhaiyoun K Dard Se Khoob Waqif Tha Wo Faraz,
Phir Bhi Dunia Main Mujhe Tanha Banaya Usne.
Is Dafaa Barishain Rukti Hi Nahi Faraz,
Hum Ne Aansu Kya Piye Sara Mausam Ro Pada.
Maine maangi thi ujaale ki fakat ik kiran Faraz,
Tum se ye kisne kahan aag laga di jaye.
Qurbat Bhi Nahi Dil Se Utar Bhi Nai Jata
Woh Shakhas Koi Faisla Kr Bhi Nai Jata
Aankhein Hain K Khali Nai Rehti Hain Lahoo Se
Or Zakham E Judai Hai K Bhar B Nai Jata
Hum Dohri Aze’yat K Giraftar Musafir
Paon B Hain Shall,Shoq E Safar B Nai Jata
Dil Ko Teri Chahat Pe Bhrosa B Bohat Hai
Or Tujh Se Bichar Jane Ka Darr B Nai Jata
Pagal Hoye Jaty Ho Faraz Us Se Mile Kya
Itni Si Khushi Se Koi Marr B Nai Jata
Kisi ki Kya majaal thi jo koi Hum ko khareed Sakta”,
Hum to khud hi Bikk gaye kharidaar dekh ke.
Maine aazad kiya apni wafaao se tujhe,
Bewafaai ki saza mujhko suna di jaye.
Maine maangi thi ujaale ki fakat ik kiran Faraz,
Tum se ye kisne kahan aag laga di jaye.
Ab maayoos Kyo ho us ki bewafai pe Faraz ?
Tum khud hi to kehte the ki wo sab se juda hai.
Bach na saka khuda bhi muhabbat ke takaazon se Faraz,
Ek mahboob ki khatir sara jahan bana dala.
Ab Ke Bichre To Shayad Kabhi Khwabon Mein Milein,
Jis Tarah Sukhe Hoye Phool Kitabon Mai Milein.
Shayad khushi ka daur bhi aa jaaye ek din Faraz,
Gham bhi to mil gaye thay tamanna kiye baghair.
Tu bhi to aaine ki tarah bewafa nikal Faraz,
Jo samane aaya usi ka ho gaya.
In Barshoon Se Dosti Achi Nahi Faraz,
Kacha Tera Makan Hai Kuch To Khayal Kar.
Woh roz dekhte hai dubte hue suraj ko Faraz,
Kaash main bhi kisi shaam ka manzar hota.
Barbaad karne ke aur bhi raaste the Faraz,
Na jane unhe muhabbat ka hi khyal kyun aaya.