Glance through our Shayari Section and find the perfect Shayari to share on your social media account or to dedicate it to your near and dear ones. We have a wide range of heart touching Shayaris that are true to one’s feelings or emotions.
Tamaam umar mujhe tootna bhikarna tha “Faraz”,
Wo meherbaan bhi Kahan tak samet ta mujhe.
Tumhari Duniya me hum jaise hazaron hai “Faraz”,
Hum hi pagal the jo tumhe pa ke itraane lage.
Ek hi zakham nahi sara badan zakhmi hai “Faraz”,
Dard Hairaan hai ki uthoon to kahaan se uthoon.
Aise dooba hoon teri yaad ke samandar me “Faraz”,
Dil ka dhadakna bhi ab tere kadmon ki sda laggti hai.
Kuch aise haadse bhi zindagi me hote hain “Faraz”,
Ke Insaan to bach jata hai magar zinda nahi rehta.
Akele to hum pehle bhi jee rahe the “Faraz”,
Kyun Tanha se ho gaye hain tere jane ke baad.
Wo shakas jo kehta tha tu na mila to marr jaunga “Faraz”,
Wo aaj bhi zinda hai yehi baat kise aur se kehne ke liye.
Jisko bhi chaha shiddat se chaha hai “Faraz”,
Silsila toota nahi dard ki zanzeer ka.
Wahan se ek pani ki boond na nikal saki “Faraz”,
Tamaam umar jin aankhon ko hum jheel likhte rahe.
Pyar me ik hi mausam hai baharon ka”Faraz”,
log kaise mausamon ki tarah badal jate hain.
Tapti rahi hai aas ki kiranon pe zindagi,
Lamhe judaiyon ke ma-o-saal ho gaye.
Ye zalzale yun hi besbab nahin aate,
Jaroor zameen ke neeche koi deewana tadpta hoga.
Ye kah kar mujhe mere dushman hansta chhod gaye,
Tere dost kaafi hain tujhe rulane ke liye.
Nakam thi meri sab koshishen usko manaane ki Faraz,
Pata nahin kahan se seekhi jaalim ne adaayen rooth jaane ki.
Us shaqs se wabasta khushfehami ka ye aalam hai Faraz,
Maut ki hichqi aai to main samjha ki usne yaad kiya.
Uski zafaaon ne mujhe ek tahzeeb sikha di hai Faraz,
Main rote hue so jaata hoon par shikwa nahin karta.
Use teri ibaadaton pe yakeen hai nahin Faraz,
Jis ki khushiyan tu rab se ro ro ke maangta hai.
Tu kisi aur ke liye hoga samandar-e-ishq Faraz,
Hum to roz tere sahil se pyase gujar jaate hai.
Jo kabhi har roz mila karte the Faraz,
Wo chehare to ab Khab-o-khyal ho gaye.
Kuch muhabbat ka nasha tha pehle hamko Faraz,
Dil jo tuta to nashe se muhabbat ho gayi.